Page 1 of 2

Lafz par Ashaar#3--"SHABNAM"

Posted: Tue Feb 08, 2005 2:26 pm
by syed bilal armaan
App sab ka bahut bahut shukriya . app ne mere diye gaye unwan par kai bahtareen ashar likhe . is martaba ka unwan(topic) hai "SHABNAM".
is unwan par bhi app apne pasandida ashar bhejein. (-BILAL)


is se pahele ke SHABNAM se gul wazoo kar lein
chale bhi aao ke thoddi si guftaguu kar lein....

Posted: Tue Feb 08, 2005 4:26 pm
by Shummu
bahut khoob!

Jab bazm-e-mohabbat mein taqseem huaa aansoo
Phoolo.n ko mili shabnam aankhon ko milaa aansoo

Posted: Wed Feb 09, 2005 12:53 pm
by syed bilal armaan
wah sara sahiba bahut achha sher likha hai app ney.
ek sher aur mulaheza kijye..


saba,SHABNAM,shafaq,ruqsar-e-gul,mahetaab in sab ka
tumhara naam leta hoon tou kyoun chahera badalta hai.

Posted: Wed Feb 09, 2005 2:00 pm
by Shummu
Jis par hamaari aankh ne shabnam bichaayi raat bhar
Bheja vahi KaaGhaz tujhe us par likha kuch bhi nahi

Posted: Thu Feb 10, 2005 2:38 pm
by tabasum
hont'oun pey pachalta hua shabnam sa tabasum
masoom nigha'oun main zia khel rahi hai.....

Posted: Fri Feb 11, 2005 9:19 am
by Shummu
Lagti hai chot dil par, aata hai yaad jis dum
Shabnam ke aansuon par kaliyon ka muskurana.

Posted: Sat Feb 12, 2005 6:59 am
by Hashmat Usmani
aNklhiyoN ke jharokhoN meN aaNsuuoN kii maalaa hai
shabnamii sii palkoN par, motiiyoN kii jhaalaa hai


Hashmat Usmani

Posted: Sat Feb 12, 2005 1:26 pm
by Hashmat Usmani
mere she'r ko pasand farmaane ka shukria. to, lijiiye ek aur she'r fil_badii irsaal-e-Khidmat kar rahaa huuN.

shabnam ke qatre aaye nazar bar daaman-e-gulaab
aisa laga ki jaise hoN tere vo honT laal, laal


Hashmat

Posted: Mon Feb 14, 2005 5:33 am
by Ibn-e-siddique
kabhi gul se shabnam Tapakte jo dekhi
mujhe qatra-e-chashm-e-tar yaad aaya

Posted: Tue Feb 15, 2005 12:59 pm
by Shummu
Maine Khushboo Kee Tarah Tujhko Kiya Hai Mehsoos,
Dil Ne Chheda Hai Teri Yaad Ko Shabnam Ki Tarah

Posted: Fri Feb 18, 2005 10:14 am
by Ibn-e-siddique
kisee kee yaad meiN poNhache haiN ham iss aalam ko
suboo banaa diyaa gul ko, sharaab shabnam ko!

sarwar raz :)

Posted: Fri Feb 18, 2005 12:31 pm
by Shummu
Partav-e-khur se hai shabnam ko fana'a ki taaleem
maiN bhee hooN ik inaayat ki nazar hone tak

Posted: Fri Feb 18, 2005 11:48 pm
by Ibn-e-siddique
Jab koii kale sehne gulistaaN meiN khili hai
Shabnam se meree aankhoN meiN tair gaee hai

Posted: Sat Feb 19, 2005 9:14 am
by fatimah
aslaam_u_alikam


shabnam jo miley khawahish_e_deryaa nahin kertey
hum had sey kabhi barh ker tamnaa nahin kertey

Posted: Sat Feb 19, 2005 11:33 am
by tabasum

jugnoo,shabnam,tare bankar meri ankhein dhoond rahi hain
aane wale tu hi bata dey mere humdam kaise hain......