Meri taza tarahee Ghazal.........................

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Meri taza tarahee Ghazal.........................

Post by jawaid badauni »

Image

yeh duniya hai sub apne gham dekhte haiN
kisee ki taraf log kum dekhte haiN

jo bus unke jaur.o.sitam dekhte haiN
woh beena tou haiN phir bhee kum dekhte haiN

gila lub pe hai lekin apni KhataaeN
“nah tum dekhte ho nah hum dekhte haiN”

jo nazaaN haiN Taaqat peh maqtal meN aayeN
chalo kismeN hai kitna dum dekhte haiN

ajab haiN yeh raihgeer raah.e wafa ke
nah kaaNTe nah raahoN ke Kham dekhte haiN

raqam kya hoN ahl.e sitam ki jafaaeN
khaRe door ahl.e qalam dekhte haiN

shahaadat ki Hasrat ho :Jawaid: jin ko
nah phir woh mizaaiil nah bum dekhte haiN

Aapki aara ka muntazir rahooNga.

MuKhliS

Jawaid Badauni
Last edited by jawaid badauni on Tue May 15, 2007 3:54 am, edited 1 time in total.
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

mukarram-o-moHtaram Biraadaram jawaid Badauni saHib aadaab!

aap kee Ghazal naZ^ar nawaaz ho chukee. khuda ka baRa faZ^l hai. ke aap is baaqaae'idagee se hamaree maHafil meN tashreef la kar nah Sirf apne har dil a'zeez kalam se meHfil ko garmate haiN balkeh nae likh~ne walooN kee himmat afzaaee ke silsilah meN bh~ee koee kacar uTh~aa naheeN rakh~te. khuda aap ko salamat rakh~e (Ameen)

Aap kekalam se mustafeed hote rehna yaqeena" hamaree khush bakhtee hee ho saktee hai. maiN aap ke liye hameshah dua'a gao rehta hooN keh aap isee t^arH Ghazal ke paekar meN masaae'il-e-zamanah ko bh~ee saamne la kar un ke Hal kee aasaan tarakeeb bh~ee pesh farmate rehte haiN. aor yeh maqSadee shae'iree kaar-e-cawaab bh~ee hai. Allah aap ko is ka ajr-e-a'az^eem at^a fare.

yeh duniya hai sub apne gham dekhte haiN
kisee ki taraf log kum dekhte haiN

Bohot khoob!

jo bus unke jaur.o.sitam dekhte haiN
woh beena tou haiN phir bhee kum dekhte haiN

kiya kehne!

gila lub pe hai lekin apni KhataaeN
“nah tum dekhte ho nah hum dekhte haiN”

Bohot khoob! Waah!

jo nazaaN haiN Taaqat peh maqtal meN aayeN
chalo kismeN hai kitna dum dekhte haiN

kiya kehne! Waah Waah! meree pasnd ka she'er hai :-)

ajab haiN yeh raihgeer raah.e wafa ke
nah kaaNTe nah raahoN ke Kham dekhte haiN

Waah!

raqam kya hoN ahl.e sitam ki jafaaeN
khaRe door ahl.e qalam dekhte haiN

Bohot khoob! aap ne is she'er meN baRa kuch~ keh diya hai Waah!

shahaadat ki Hasrat ho :Jawaid: jin ko
nah phir woh mizaaiil nah bum dekhte haiN

Kiya kehne! Waah Waah! Haqeeqat-e-Haal par mabanee she'er hai! Waah!

aap ko meree t^araf se is HaseeN aor nudrat-e-bayaaN se bh~arpoor Ghazal par dilee mubarak baad aor daad Qubool ho!

Note; Ghazal ke she#'er#4 ke miSra'-e-ulaa meN :t^aqat: ko :t^alaqat: likh~a geya hai. yeh typo durust farma leeN.

Wassalam
Muz^affar
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:mukarram-o-moHtaram Biraadaram jawaid Badauni saHib aadaab!

Azeezi Muzaffar SaaHab,
Aadaab

Mere sada ashAAr ko aap apni graNqadr daad.o.taHseen se nawaaz ker meri himmat afzaaii farmate haiN jiske liye main aap ka behud mamnoon hooN. Tarahee MushairoN ke tAAdaad ab baRh gaii hai. JahaN shirkat nah karo barhami aur shikayat. LeHaZah in tarahee GhazaloN per bohat ziyadah waqt dena mumkin nahiN. Jab bhee koii miSra pasaNd aata hai waheeN ke waheeN kuch sher kahe aur bhej diye. Kabhi kabhi tou in GhazaloN per nazar.e Sanee ka waqt bhi nahiN mil pata. In MushaairoN ka sub se baRa faiz yeh hai keh is tarah kuch mashq-e suKhan ka mauqa milta rahta hai.

Ziyadah doa.

MuKhliS
Jawaid
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Meri taza tarahee Ghazal.........................

Post by jawaid badauni »

sara_j wrote:
jawaid badauni wrote:Image

yeh duniya hai sub apne gham dekhte haiN
kisee ki taraf log kum dekhte haiN................wah! jawaid sahib ghazab ka matla!

jo bus unke jaur.o.sitam dekhte haiN
woh beena tou haiN phir bhee kum dekhte haiN..........waah!

gila lub pe hai lekin apni KhataaeN
“nah tum dekhte ho nah hum dekhte haiN”.....bohat khoob!

jo nazaaN haiN Taaqat peh maqtal meN aayeN
chalo kismeN hai kitna dum dekhte haiN......... :grin: bohat ache

ajab haiN yeh raihgeer raah.e wafa ke
nah kaaNTe nah raahoN ke Kham dekhte haiN....hmmmm

raqam kya hoN ahl.e sitam ki jafaaeN
khaRe door ahl.e qalam dekhte haiN........ye bhi acha hai

shahaadat ki Hasrat ho :Jawaid: jin ko
nah phir woh mizaaiil nah bum dekhte haiN.......haqeeqat hai.

Aapki aara ka muntazir rahooNga.

MuKhliS

Jawaid Badauni
jawaid bhai,

tasliimaat.

aapki tarhee ghazal bohat pasand aayi daad aur
mubarakbaad qubool keejiye :rose

sara

Sara Bahan!
Khoos raheN!

Aapko meri yeh Ghazal pasNd aaii mujhe iskee behud Khushee hai.

Aapka MuKhliS
Jawaid Badauni
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

mukarramee Jawaid SaaHeb: aadaab!

aap kee Ghazal naz^ar-nawaaz huyee. eHbaab is par likh hee
chuke haiN. maiN aap ke :missiles: aur :bam: se kuchh
ziyaadah hee Dar gayaa! is liYe Sirf :daad: par iktifaa kartaa
hooN. :-)

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Sarwar Raz wrote:mukarramee Jawaid SaaHeb: aadaab!

aap kee Ghazal naz^ar-nawaaz huyee. eHbaab is par likh hee
chuke haiN. maiN aap ke :missiles: aur :bam: se kuchh
ziyaadah hee Dar gayaa! is liYe Sirf :daad: par iktifaa kartaa
hooN. :-)

Sarwar A. Raz "Sarwar"

Mukarramee Janab Sarwar SaaHab,
Aadaab

Daad ke liye behud mamnoon hooN halaNkeh yeh Khauf
ka nateejah hai. JahaN tak Ghazal ke rung ka sawal hai
aap jaante haiN chor choree se baz aa jaye hera pheree se
baaz nahiN aata.

Aajkal bohat maSroof hooN aur kuch masaaiil bhee darpesh haiN.
Aapki doa ka mutamannee hooN.

MuKhliS
Jawaid
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

wah bahut khoob..ye ghazal bhi khoob hai....daad pesh hai...!!!

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Post Reply