jou chala gaya mujhay chhoR kar, wohi aaj tak meray sath hai

UstadaoN aur MuntaKhib ShoAraa ki shaayeri

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
NAZRANA
-
-
Posts: 58
Joined: Thu Dec 09, 2004 6:14 am

Re: jou chala gaya mujhay chhoR kar, wohi aaj tak meray sath

Post by NAZRANA »

sara_j wrote:Salaam,

ye nazm nazar se guzri aur pasand aayi to share kar rahi hoon

shayar kaun hai nahi maloom.


[align=center]Image[/align]


[align=center]jou chala gaya mujhay chhoR kar, wohi aaj tak meray sath hai[/align]


[align=center]jou na mil saka wohi bewafa, yeh bari ajeeb si baat hai
jou chala gaya mujhay chhoR kar, wohi aaj tak meray sath hai

jou kisi nazar se ataa hui,wahi roshni hai khayal may
woh na aa sakay,rahoon muntazir, yeh khalish kahan thi wisaal may

meri justuju ko khabar nahin, na woh din rahay na woh raat rahay
jou chala gaya mujhay chhor kar wohi aaj tuk meray sath hai

karay pyar lub pe gila na ho,yeh kisi kisi ka naseeb hai
yeh karam hai uski jafa nahin,woh juda bhi reh kar qareeb hai

wohi aankh hai meray roo-baroo,usee haath may mera haath hai
jou chala gaya mujhay chhor kar wohi aaj tuk meray sath hai

mera naam tuk jo na le saka,jo mujhay qaraar na day saka
jisay ikhtyaar tau tha magar, mujhay apna pyar na day saka

wohi shakhs meri talash hai,wohi dard meri hayaat hai
jou chala gaya mujhay chhor kar wohi aaj tuk meray sath hai
[/align]

[align=center]~~~~~~*~~~~~~*~~~~~~*~~~~~~*~~~~~~*~~~~~~*~~~~~~[/align]
aadab
Image
Post Reply