guzarish #29 aapkay hawaalay

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

guzarish #29 aapkay hawaalay

Post by haamidbaaqri »

:salaam2:
dosto :rose

janaabay sadr ki ijaazat say mahay rawaaN kay micray per hum apni adna kaavish pesh kar rahay haiN.

gar qubool uftad zahay..........

arz kiya hai........

faqat khuda kay liye kee haiN nekiyaaN maiN nay
hayaat paayee hai istar'ha jaawedaaN maiN nay

zameen mera hai bister takiyya hai patthar
banaaya oadhna apna hai aasmaaN maiN nay

khuda ka shukr hai aqlay saleem rakhta hooN
keh isko apna banaaya hai raazadaaN maiN nay

yeh baat mominay kaamil kabhie nah bolaygaa
"tamaam 'umr guzaari hai raayegaaN maiN nay"

yahaaN* nah bansaka apna makaaN to kya haamid
wahaaN* banaaya 'amal say hai ek makaaN maiN nay

*yahaaN=duniya
*wahaaN=aakhirat

nateejaye fikr
haamidbaaqari
al hamdulillah
Attachments
haamidbaaqri.jpg
haamidbaaqri.jpg (51.06 KiB) Viewed 249 times
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Janab Haamid Baaqri SaHeb,

apne makhSoos raNg me ghazal paish kar qaara,een ko nayee jehtaiN dikhanay par mubaarakbaad qubool kijiaye. mukhtaSirun 'arz kartaa hooN.

faqat khuda kay liye kee haiN nekiyaaN maiN nay
hayaat paayee hai istar'ha jaawedaaN maiN nay

bohat khoob lafz "tarah" ka ist'maal qaabil e ghor hai.

zameen mera hai bister takiyya hai patthar
banaaya oadhna apna hai aasmaaN maiN nay

bohat shaandaar khyaal hai. . pehla misra ke wazn ko aik baar daikh leejiaye

khuda ka shukr hai aqlay saleem rakhta hooN
keh isko apna banaaya hai raazadaaN maiN nay

bohat khoob janab

yeh baat mominay kaamil kabhie nah bolaygaa
"tamaam 'umr guzaari hai raayegaaN maiN nay"

ahaa haa. bohat achchi giraa hai

yahaaN* nah bansaka apna makaaN to kya haamid
wahaaN* banaaya 'amal say hai ek makaaN maiN nay

mujhe khyaaal bilkul samajh aa gayaa hai. laikin aisaa lagtaa hai ke khyaal bohat zydaa khoobSoorat andaaz meN paish naheeN kiyaa ga. bohat boaht ma'zirat. laikin aik eemaandaar qaari ki farz hai ke raa-aye daine meN bay-eemaani na karay.

majmooi tor par aik achhchi koshish ke leeaye mubaarakbaad qubool kijiaye.

khairandesh,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

muhammad_19k wrote: Janab Haamid Baaqri SaHeb,

apne makhSoos raNg me ghazal paish kar qaara,een ko nayee jehtaiN dikhanay par mubaarakbaad qubool kijiaye. mukhtaSirun 'arz kartaa hooN.

faqat khuda kay liye kee haiN nekiyaaN maiN nay
hayaat paayee hai istar'ha jaawedaaN maiN nay

bohat khoob
lafz "tarah" ka ist'maal qaabil e ghor hai
.

Wazn ke e'tbaar se tarah bilkul durust hai. Is lafz "tarah" ko bawazn f'el bhi istaimal kiya jata hai aur bawazn "m'afa" bhee. BuzurgoN ki beshumar misaleN maujood haiN jo is waqt yaad nahiN aa rhaee haiN.

zameen mera hai bister takiyya hai patthar
banaaya oadhna apna hai aasmaaN maiN nay

bohat shaandaar khyaal hai. .
pehla misra ke wazn ko aik baar daikh leejiaye
Takiye ko bawzn f'elun istaiman kiya jana chaahiye.
Shayad yuuN ziyadah minasib hoga:

"zameen mera hai bistar tou sung hai takiya"

khuda ka shukr hai aqlay saleem rakhta hooN
keh isko apna banaaya hai raazadaaN maiN nay

bohat khoob janab

yeh baat mominay kaamil kabhie nah bolaygaa
"tamaam 'umr guzaari hai raayegaaN maiN nay"

ahaa haa. bohat achchi giraa hai

yahaaN* nah bansaka apna makaaN to kya haamid
wahaaN* banaaya 'amal say hai ek makaaN maiN nay

mujhe khyaaal bilkul samajh aa gayaa hai. laikin aisaa lagtaa hai ke khyaal bohat zydaa khoobSoorat andaaz meN paish naheeN kiyaa ga. bohat boaht ma'zirat. laikin aik eemaandaar qaari ki farz hai ke raa-aye daine meN bay-eemaani na karay.

majmooi tor par aik achhchi koshish ke leeaye mubaarakbaad qubool kijiaye.
Yaqeenan Haamid Baaqri Sb ne apne ruNg meN ek baar phir soye
huwooN ka jagane wale paiGhamaat diye haiN. Jazak Allah Khair.

Jawaid

khairandesh,
Muhammad K. Siddiqui.
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Wazn ke e'tbaar se tarah bilkul durust hai. Is lafz "tarah" ko bawazn f'el bhi istaimal kiya jata hai aur bawazn "m'afa" bhee. BuzurgoN ki beshumar misaleN maujood haiN jo is waqt yaad nahiN aa rhaee haiN.
Jawaid SaHeb is wazaHat ke leeaye meN aap ka shukrguzaaro hooN.

khairandesh,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

shukriya

Post by haamidbaaqri »

muhammad_19k wrote: Janab Haamid Baaqri SaHeb,
Assalaam o alaikum
mohtaram mohammed khawar saahib

apne makhSoos raNg me ghazal paish kar qaara,een ko nayee jehtaiN dikhanay par mubaarakbaad qubool kijiaye.

bahut bahut shukriya aapka.jazakallah

mukhtaSirun 'arz kartaa hooN.

farmaaiye.

faqat khuda kay liye kee haiN nekiyaaN maiN nay
hayaat paayee hai istar'ha jaawedaaN maiN nay

bohat khoob

jazakallah.....shukriya

lafz "tarah" ka ist'maal qaabil e ghor hai.

zameen mera hai bister takiyya hai patthar
banaaya oadhna apna hai aasmaaN maiN nay

bohat shaandaar khyaal hai.

shukriya..takneeki baareekiyoN ko hum ustad shuraa per chodtay haiN.hum tau tiflay maktab haiN.

. pehla misra ke wazn ko aik baar daikh leejiaye

khuda ka shukr hai aqlay saleem rakhta hooN
keh isko apna banaaya hai raazadaaN maiN nay

bohat khoob janab

shukriya

yeh baat mominay kaamil kabhie nah bolaygaa
"tamaam 'umr guzaari hai raayegaaN maiN nay"

ahaa haa. bohat achchi giraa hai

shukriya

yahaaN* nah bansaka apna makaaN to kya haamid
wahaaN* banaaya 'amal say hai ek makaaN maiN nay

mujhe khyaaal bilkul samajh aa gayaa hai. laikin aisaa lagtaa hai ke khyaal bohat zydaa khoobSoorat andaaz meN paish naheeN kiyaa ga.

ummmmmmmm shayed.........hum mazeed ghaur karenge is per insha allah.

bohat boaht ma'zirat. laikin aik eemaandaar qaari ki farz hai ke raa-aye daine meN bay-eemaani na karay.

yahi baat aapki hameN bahut pasand hai.yeh aik qaari ki zimmhedaari hai aur haq bhi.

majmooi tor par aik achhchi koshish ke leeaye mubaarakbaad qubool kijiaye.

bahut bahut shukriya aapka janaab.

salaamat raheN

mukhlis
haamidbaaqari

khairandesh,
Muhammad K. Siddiqui.
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

shukriya

Post by haamidbaaqri »

Asalaam o alaikum
jawaid bhai saahib

aapnay apna besh qeemti waqt nikaal kar hamaari is adna kaavish per apni raaye bhi dee aur apni mukhlisaanah daad say bhi hameN nawaaza jis kay liye hum aapkay behad mamnoono mashkoor haiN

jazakallah khair

aapki tajweez per hum zaroor ghaur kare.nge.insha allah

aapka apna
haamidbaaqari
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Hamid Baaqri SaHib Assal Alikum!

GuZarish#29 ke liye aap kaa nateejah-e-fir naZar nawaaZ huwaa. kiyaa kehne maashAllah sabhee asha'aar Aap kee deenee Hamiyat aor jaZbah-e-eemanee ke A'lam bardaar haiN.......maiN akcar sochtaa hooN keh aap ke Waledaen ne aap kaa ism-e-Garamee "Hamid" isee maSleHat se rakhaa ho gaa keh hamaraa lakht-e-jiGar apne naok-e-Qalam se a'amalee t^aor par "Haamid" ban jaeY. aor apnee khudaa daad SalaHiyat-e-teHreer se jumlah afraad-e-khanah kaa sar fakhr se buland kar de.

AlHammdollah aap apne maqSad-e-laaZawaal meN kaamyaab-o-kamraan naz^ar aate haiN.......mujhe yaqeen hai. keh khuda-e-A'ZZ-o-jal ne apne haaN motiyooN se aap kaa daai'mee ghar sajaa rakhaa ho gaa. khuda kare keh aesaa saa hee hoo! Aameen

faqat khuda kay liye kee haiN nekiyaaN maiN nay
hayaat paayee hai istar'ha jaawedaaN maiN nay
SubhaanAllah! SubhaanAllah!

zameen mera hai bister takiyya hai patthar
banaaya oadhna apna hai aasmaaN maiN nay
maashAllah!

khuda ka shukr hai aqlay saleem rakhta hooN
keh isko apna banaaya hai raazadaaN maiN nay
Kiyaa kehne SubhaanAllah! laajawaab hai! Hamid bhaee! do Took baat keh dee hai aap ne! SubhaanAllah!

yeh baat mominay kaamil kabhie nah bolaygaa
"tamaam 'umr guzaari hai raayegaaN maiN nay"
mashAllah!
yahaaN* nah bansaka apna makaaN to kya haamid
wahaaN* banaaya 'amal say hai ek makaaN maiN nay
InshAllah inshAllah! ham sab kee dilee iltejaaeeN aor dua'aeeN aap ke saath haiN.

Wassalam
MuZaffar
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

shukriya

Post by haamidbaaqri »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Hamid Baaqri SaHib Assal Alikum!
:walikum:
muzaffar bhai sahib

kaisay mizaaj haiN?

GuZarish#29 ke liye aap kaa nateejah-e-fir naZar nawaaZ huwaa. kiyaa kehne maashAllah sabhee asha'aar Aap kee deenee Hamiyat aor jaZbah-e-eemanee ke A'lam bardaar haiN......

al hamdulillah.......

.maiN akcar sochtaa hooN keh aap ke Waledaen ne aap kaa ism-e-Garamee "Hamid" isee maSleHat se rakhaa ho gaa keh hamaraa lakht-e-jiGar apne naok-e-Qalam se a'amalee t^aor par "Haamid" ban jaeY.

dua kareN keh hum baa amal hau jaayeN.

aor apnee khudaa daad SalaHiyat-e-teHreer se jumlah afraad-e-khanah kaa sar fakhr se buland kar de.

aameen.

kaushish kar rahay haiN hum.insha allah.

AlHammdollah aap apne maqSad-e-laaZawaal meN kaamyaab-o-kamraan naz^ar aate haiN.......mujhe yaqeen hai.

aapkay yeh besh qeemti kalemaat hamaaray liye sanad haiN.

keh khuda-e-A'ZZ-o-jal ne apne haaN motiyooN se aap kaa daai'mee ghar sajaa rakhaa ho gaa. khuda kare keh aesaa saa hee hoo! Aameen

aameen yaa rabbil aalameen.

faqat khuda kay liye kee haiN nekiyaaN maiN nay
hayaat paayee hai istar'ha jaawedaaN maiN nay
SubhaanAllah! SubhaanAllah!

shukriya....

zameen mera hai bister takiyya hai patthar
banaaya oadhna apna hai aasmaaN maiN nay
maashAllah!

bahut bahut shuriya

khuda ka shukr hai aqlay saleem rakhta hooN
keh isko apna banaaya hai raazadaaN maiN nay
Kiyaa kehne SubhaanAllah! laajawaab hai! Hamid bhaee! do Took baat keh dee hai aap ne! SubhaanAllah!

bahut bahut shukriya......

yeh baat mominay kaamil kabhie nah bolaygaa
"tamaam 'umr guzaari hai raayegaaN maiN nay"
mashAllah!

shukriya

yahaaN* nah bansaka apna makaaN to kya haamid
wahaaN* banaaya 'amal say hai ek makaaN maiN nay
InshAllah inshAllah! ham sab kee dilee iltejaaeeN aor dua'aeeN aap ke saath haiN.

shukriya....jazakallah khair

Wassalam
MuZaffar
aapki purkhuloos daad aur duayeN hamesha hamaara hausalah badhaatee rahee haiN.

salaamat raheN aap yeh hamaari dilee dua hai.

aur haaN hum aapka tahay dil say shukriya ada kartay haiN keh is zahnay naaqis say niklay huay micray kau aapnay ezzat bakshee.

jazakallah