tanhaee main aik mukalim

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Dawood_Rizwan
-
-
Posts: 35
Joined: Sun Feb 06, 2005 5:30 pm
Location: Islamabad
Contact:

tanhaee main aik mukalim

Post by Dawood_Rizwan »

aik nazm paish hay. aap ki ra,ay ka intizar rahay ga.
Attachments
poem.gif
poem.gif (8.35 KiB) Viewed 237 times
naheedv
-
-
Posts: 163
Joined: Sat Dec 18, 2004 3:53 am
Contact:

Re: tanhaee main aik mukalim

Post by naheedv »

Dawood_Rizwan wrote:aik nazm paish hay. aap ki ra,ay ka intizar rahay ga.
Rizwan ji,

waah, buhat hi khoob aur buhat hi umdah!

aap ne aik ch`oTi si soch ko buhat hi pukhtagee se nazm kiyaa hai aur yahi aap ki shaa'iree kaa khaaSa rahaa hai. bilaa.shuba nazm ke maidan ke aap maahir kh`ilaaRi heiN.

aaj kal lagtaa hai aap kee takhleeqi SalaahiyateN urooj par heiN :)

iss haseen kaavish par daad paish karti hooN!

mukhliS
Naheed
Dawood_Rizwan
-
-
Posts: 35
Joined: Sun Feb 06, 2005 5:30 pm
Location: Islamabad
Contact:

Post by Dawood_Rizwan »

sara_j wrote:Wow! aek aur khoobsurat takhleeq........waah Riz ji bohat khoob!

"voh khushbu ki kalyaaN
mehekne se pehle hi murjha gayein hain
gulabon ke khilne ki naubat nahin aa saki hai
abhi se bahaarein
khizaan ki adavat ka
kyunker nishana bani hain"


bohat khoob! bohat saari daad qubool keejiye.

sara
sara g nazam pasand karnay ka shukriya.
Dawood_Rizwan
-
-
Posts: 35
Joined: Sun Feb 06, 2005 5:30 pm
Location: Islamabad
Contact:

Re: tanhaee main aik mukalim

Post by Dawood_Rizwan »

naheedv wrote:
Dawood_Rizwan wrote:aik nazm paish hay. aap ki ra,ay ka intizar rahay ga.
Rizwan ji,

waah, buhat hi khoob aur buhat hi umdah!

aap ne aik ch`oTi si soch ko buhat hi pukhtagee se nazm kiyaa hai aur yahi aap ki shaa'iree kaa khaaSa rahaa hai. bilaa.shuba nazm ke maidan ke aap maahir kh`ilaaRi heiN.

aaj kal lagtaa hai aap kee takhleeqi SalaahiyateN urooj par heiN :)

iss haseen kaavish par daad paish karti hooN!

mukhliS
Naheed

naheed ji khilaRi too nahi aik adna sa talb a ilm hoon. koshish hooti hay ka kisi Zati tajurbay ko Zat say baRha ka buhat say loogoon ko sahre karwa sakoon. pata nahi kamyabi hooti hay ya nahi ????
ham sahiroon kay pass alfaz kay siwa hoota hi ki hay. koo chooT parTi hay too kuch misray kuch lainay hoo jati hain. kabhi unhain ghazal kah daytay hain kabhi namz warna ya too ........................
nazm aur ghazal hamaray bas main kahna

rizwan
Post Reply