tanhaee main aik mukalim
Posted: Fri Feb 11, 2005 6:11 pm
aik nazm paish hay. aap ki ra,ay ka intizar rahay ga.
Rizwan ji,Dawood_Rizwan wrote:aik nazm paish hay. aap ki ra,ay ka intizar rahay ga.
sara g nazam pasand karnay ka shukriya.sara_j wrote:Wow! aek aur khoobsurat takhleeq........waah Riz ji bohat khoob!
"voh khushbu ki kalyaaN
mehekne se pehle hi murjha gayein hain
gulabon ke khilne ki naubat nahin aa saki hai
abhi se bahaarein
khizaan ki adavat ka
kyunker nishana bani hain"
bohat khoob! bohat saari daad qubool keejiye.
sara
naheedv wrote:Rizwan ji,Dawood_Rizwan wrote:aik nazm paish hay. aap ki ra,ay ka intizar rahay ga.
waah, buhat hi khoob aur buhat hi umdah!
aap ne aik ch`oTi si soch ko buhat hi pukhtagee se nazm kiyaa hai aur yahi aap ki shaa'iree kaa khaaSa rahaa hai. bilaa.shuba nazm ke maidan ke aap maahir kh`ilaaRi heiN.
aaj kal lagtaa hai aap kee takhleeqi SalaahiyateN urooj par heiN :)
iss haseen kaavish par daad paish karti hooN!
mukhliS
Naheed