Ghazal guzarish 29...........Sara Jabeen

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

buhat khoob
Sara jee
aap ki ghazal aap ka andaaz sabhi buhat pasand aaye
meri janib se daad qabool kijye
regards
zarqa
aakhri sher maiN aap ne ashk ain se likha jo alif se hota hai
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Bohat Khoob Saara ji,

chaahay ke aap ne ghazal bohat dair se paish ki laikin us ka Haq adaa kar diyaa. tamam sher achhay aor Saaf haiN haiN. zydaa khushi ke baat hai ke mazaameen bhi bhi nudrat e khyal chalakti hai. mujhe aap ke ye sher bohat pasand ayaa,

nuqoosh-e paa mire raihte bhi kaise saaHil per
nishaan choRe thEy maujoN ke darmiyaaN maiN ne



mairi taraf se mubaarakbaad oar daad qubool kijiaye.

Regards,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtarmah Saara JabeeN SaaHibah aadaab-o-tasleemaat! :-)

mah-e-rawaaN ke t^arHee mushae'rah meN aap kee shumuliyat himmat afZaa hone ke i'lawah baae'c-e-inbisaat^-o-raaHat bhee hai. kalam dekh kar suroor-o-mastee se jhoom uThaa. aor be ikhteyaar dil se dad-o-teseen ke kalme buland huwe.

aap ne mua'aamlaat-e-i'shq ko duniyaa se Dhakaa chupaa nah rehne diyaa. khaarajee Haqeeqat ko dakhliyat meN samo kar romaan banane kee kamyaab koshish kee hai. ra'anaaee-e-kheyaal rang-e-taGhazzul se mil kar do aatishah ho gaee hai. aap ne Husn-o-i'shq ke bayaan meN Hadd-e-aa'tedaal se tajawuZ naheeN kiyaa. aor baRe salees andaaz-o-peraae meN Haal-e-dil-e-ranjeedah keh diyaa hai.

aap ne fikr-e-sukhan ke daoraan acar khaeZee aor dilkashee-e-bayaan se badastoor apnaa rishtah barqaraar rakhaa. aor kisee mooR par bhee hamah geeree aor ma'anawee tehdaaree ko haath se nah jane diyaa. aap kee yeh Ghazal bilashubah baab-e-adab meN dilkash iZ^afah hai.


1. tiree judaii ke lamhoN meN mehrbaaN maiN ne
mehkte rakhkhe haiN yaadoN ke gulstaaN maiN ne
Waah,

2. kabhi kabhi yeh taSawwur rulaa hee detaa hai.
“tamam umr guzaaree hai raigaaN maiN ne”
Kiyaa kehne, Waah, Waah!

3. Jhulas rahee thee kaRee dhup meN zamaney ki
tiree wafa ko banaya hai saaibaaN maiN ne
Kiyaa kehne Waah, Waah, bohot khoob!

4. kabhii Khushee kabhii ashkoN ke aabshaare haiN
badalte dekha moHabbat meN har samaaN maiN ne
Bohot khoob!

5. nuqoosh-e paa mire raihte bhi kaise saaHil per
nishaan choRe thEy maujoN ke darmiyaaN maiN ne
Kiyaa kehne!

6. huuwe hai ashk-e nadaamat se aaNkh tar :Sara:
bana liya hai Khuda ko hi raazdaaN maiN ne
Bohot khoob, Waah Waah, kiyaa kehne!

Is khubSurat takhleeq par meree dilee daad aor mubarak baad Qubool farmaiye.

Wassalam
Muz^affr A Muz^affar
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: Ghazal guzarish 29...........Sara Jabeen

Post by haamidbaaqri »

sara_j wrote:Sadr-e-mushaira aur Mehfil e urdubandhan ki khidmet mein tasleemaat.

diye gaye misre per ghazal pesh hai, umeed ke pasand ayegi.



[align=center]Ghazal:

1. tiree judaii ke lamhoN meN mehrbaaN maiN ne
mehkte rakhkhe haiN yaadoN ke gulstaaN maiN ne

2. kabhi kabhi yeh taSawwur rulaa hee detaa hai.
“tamam umr guzaaree hai raigaaN maiN ne”

3. Jhulas rahee thee kaRee dhup meN zamaney ki
tiree wafa ko banaya hai saaibaaN maiN ne

4. kabhii Khushee kabhii ashkoN ke aabshaare haiN
badalte dekha moHabbat meN har samaaN maiN ne

5. nuqoosh-e paa mire raihte bhi kaise saaHil per
nishaan choRe thEy maujoN ke darmiyaaN maiN ne

6. huuwe hai ashk-e nadaamat se aaNkh tar :Sara:
bana liya hai Khuda ko hi raazdaaN maiN ne
[/align]

[align=center]Image[/align]

Niyaazmand Sara
Assalaam o alaikum
azeezah sara saahebah

kaisee haiN aap?

idhar kuch dinoN say hamaari apni masrrofiyaat ki baaic hamaara aana nahiN hua net per.

aaj hum yahaaN aaye tau sabsay pehlay aapki ghazal dekhee.

masha allah kya kehnay ...........bahut acchee ghazal hai.

hamaaray azeez bhai muzaffar saahib kay tabsoiray kay baad mazeed kuch kehna hamaaray liye mushkil hai.

bahar haal......aapki is haseen kaavish per hamaari dilee daad aur mubaarakbaad haazir hai qubool farmaayeN :rose :clap01:

allah(sbhnwt)kare zoray qalam aur ziyaadah

aapka bhai
haamidbaaqari
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Post Reply