Page 1 of 1

Kabhi SeHra kabhi darya nazar aaye ghar say....Farhan

Posted: Tue Jun 26, 2007 2:37 pm
by farhan

As Salamu Aalaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuhu,,,

apni ik kaavish peesh-e-khidmat hai jo ik miSra-e-TaraH per kahi gayii hai. ummid hia pasand aaygii.aap ki aara ka muntazir rahoonga..

Farhan

Posted: Tue Jun 26, 2007 3:12 pm
by muhammad_19k
bohat khoob janab

aisi shaandaar ghazal par bhalaa aap ko mubaarakbad na paise ki jaa-aye to kyaa kiaa jaa-aye? :-). zydaa khushi ki baat ye rahi ki tamaam ashaar aik hi standard par meHsoos huway jis se aap ki khonaa mashqi ka pataa chaltaa hai. darj zail sher mujhe sub se zydaa pasand aayaa.

lout aayaa hooN pardes ke zindaaN meN phir,
dil pe rishtoN ka baRa bojh uThaa-aye ghar se


umeed hai ke aap iss taraH apne kalaam se mustafeed farmateN rahaiN geN,

shukriya,

Muhammad K. Siddiqui.

Posted: Tue Jun 26, 2007 3:18 pm
by farhan
muhammad_19k wrote: bohat khoob janab

aisi shaandaar ghazal par bhalaa aap ko mubaarakbad na paise ki jaa-aye to kyaa kiaa jaa-aye? :-). zydaa khushi ki baat ye rahi ki tamaam ashaar aik hi standard par meHsoos huway jis se aap ki khonaa mashqi ka pataa chaltaa hai. darj zail sher mujhe sub se zydaa pasand aayaa.

lout aayaa hooN pardes ke zindaaN meN phir,
dil pe rishtoN ka baRa bojh uThaa-aye ghar se


umeed hai ke aap iss taraH apne kalaam se mustafeed farmateN rahaiN geN,

shukriya,

Muhammad K. Siddiqui.


Janab Muhammad K. Siddiqui SaHib

sub say pahlay to main aap kay "instant" reply ka shukriya aada karna chahoonga......bahut bahut shukriya janab...

ghazal ki pasandeedgii aur pazarayii ka shukriya.....

quote karda shair ki bil khusoos pasandeedii per mamnoon hoon....ummid hai aap isi tarh himmat afzayii farmatay raheeNgaye...

waisay ik baat aur ki main abhi tilf-e-maktab hoon...
aap ki muhabbat o eenayat ka bhaut bahut shukriya..


Jazakallahu khaira..

farhan

Posted: Wed Jun 27, 2007 3:31 pm
by farhan
Muhtaram Sara SaHiba

salam o rahmat

ghazal ki pasandeedgii ka bahut bahut shukriya.....ummid hai aap isi tarah housla afzayii farmati raheeNgii...

daad kay liye mamnoon hooN..

Farhan