Khawer bhai assalam o alaekum!
aap kay hukem kay mutabiq hazir huN.
to the point
sher kay teknikee lawazimat to ab aap bohat behteri say nibhanay lagay haiN albata khayal kay muamilay maiN abhi kafi behteri ki gunjaesh hay.
1.
abhi bulbul kiye rakh saaya tu gul ke shabistaaN par
" abhi baaqi hai kuch kuch dhoob dewaare gulistaaN par
gul kay shabistaN say aap kia murad laina chahtay haiN. ager yahaN aap zahiri maani tek mehdud haiN to phir bulbal ka phool kay soonay ki jagah per saya kiay rekhna aur us waqt tek keh jab tek dhoop baaqi ho aik ghair haqeeqi khayal hay aur ager aap kissi aur maani ko zahir kerna chahtay haiN to bata dijiay.
2.
lagaa saktaa hai wo kaise koi ilzaam jaanaaN par
sajaayaa jis ne hai farmaan us ka Taaq e nisyaaN par
yeh bhi koi acha khayal nahiN laga
3.
khudaa se shikwaa hai tum ko mujhe hai maan ik but par
khudaa kyooN kar nah raazi ho miree mazboo^T eemaaN par
yeh khayal jis maiN shuara kai mertaba but aur khuda taala ki zaat ko aik terrah kay comparison maiN lay aatay haiN meri nigah maiN shaan e baari taala kay muqaam kay shayaN nahiN hay.
4.
junooN mairaa mujhe phir kheench laayaa aap ke dar par
baRaa naadim hooN qaaim reh na paayaa apne paimaaN par
acha sher hay
5.
tiray abroo ki junbash ne zamaana kar diyaa dushman
ta'ajub kyaa kissi ne haath Daalaa hai girebaaN par
sher acha hay laikin kaam acha nahiN hay
6.
mirii chasme rawaaN se 'ishq tapke hai lahoo ban kar
moHabbat daaqh bar kar reh gayee hai maire daamaaN par
sachi baat to yeh hay keh mujhay is khayal nay kuch mutaCir nahiN kia
7.
ho-ee doshaiz e shab gaamazan hay subH ki jaanib
andhairaa aaj phir hoga fidaa ik rooaye taabaaN par
hay ka istemaal is muqaam per munasib nahiN lag raha -- ager is ko phir say badal laiN to koi herj nahiN hay
8.
mujhe kyooNkar moHabbat ho dar o deewaar se laikin
vo 'aashiq kaisaa jo qurbaan na ho koo-aye jaanaaN par
kiunker kay saath lakin ka istemaal Theek nahiN lag raha... aik shakel yeh banti hay
muhabbet to nahiN mujh ko dar o deewar say laikin
albata sher ka khayal kuch khas dil ko laga nahiN
9.
faqat vo zaat hi :Khawar: hayaat e jaavidaaN paa-aye
karay qurbaan apni zaat ko jo zaat e khoobaaN par
yahaN bhi masala yehi hay keh khubaaN per qurbaan honay waala kis qism ki hayat e jaavidaaN paye ga. yeh mubaligh ameezi hay aur aisi mubaligha aarayi ka kia faeda.
khush rehihay
sohail malik