Aik maAmooli sii Taazah Ghazal - -- - ABDULLAH NAZIR
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Aik maAmooli sii Taazah Ghazal - -- - ABDULLAH NAZIR
MuHtaramaat o MuHtarameen
Ahbaab-e-Sukhan,
- -- -
Purkhuloos Tasleemaat,
Apni aik mamooli sii taazah ghazal paish karrahaa hooN is ummeed se ke aapko pasand aayegi.
Aapki giraaNqadr aaraa kaa intizaar rahegaa. Shukriyah.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
- Attachments
-
- a_na_ud1plus.JPG (116.09 KiB) Viewed 302 times
Re: Aik maAmooli sii Taazah Ghazal - -- - ABDULLAH NAZIR
Abdullah Nazir wrote:
MuHtaramaat o MuHtarameen
Ahbaab-e-Sukhan,
- -- -
Purkhuloos Tasleemaat,
Apni aik mamooli sii taazah ghazal paish karrahaa hooN is ummeed se ke aapko pasand aayegi.
Aapki giraaNqadr aaraa kaa intizaar rahegaa. Shukriyah.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
janab abdullaah nazir sahib
assalam-o-alaikum
aap ki ghazal parhee, bass 1 zara ghair maamooli c ghalatii aap kar gaey .
keh
ghazal to :maa, moolii: naheen , bal-k :GHAIR-MAA,MOOLEE: niklee :D
bohat khoob .
janab! har sher hasil-e-ghazal hay.dheron daad hazir-e-khidmat hain, qubool farmaiyey.
khair andesh
najma
:)
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut bahut shukriyah
MuHtaramah
NAJMA Saahibah,
Purkhuloos Tasleemaat,
Aap ne likhkhaa hei:
(((janab abdullaah nazir sahib
assalam-o-alaikum
aap ki ghazal parhee, bass 1 zara ghair maamooli c ghalatii aap kar gaey .
keh
ghazal to :maa, moolii: naheen , bal-k :GHAIR-MAA,MOOLEE: niklee
bohat khoob .
janab! har sher hasil-e-ghazal hay.dheron daad hazir-e-khidmat hain, qubool farmaiyey.
khair andesh
najma )))
Aapke tabsireh kii pahli saTr paRhte hii maiN ne apnaa qalam uThaaya ke usko underline karuN aur apni ghalaTi ko samjhooN. Jab doosri saTr per nazar paRi tou qalam vaheeN dounoN saTraoN ke darmiyan ruk gayaa aur yakayak mujhe hansi aagaii
Aapki bahut hii khoobsoorat teHreer paRhkar maiN aapki adabi salaaHiyyataoN kaa qaayil hougayaa.
Meri nazar meiN tou yeh ghazal ab bhii maAmooli sii hei lekin yeh aap jaise doust aHbab ki qadrdaani hei ke isko kisi qaabil samjhaa. Bahut bahut shukriyah.
Aapka Mukhlis,
Nazir.