Page 1 of 1

Aik maAmooli sii Taazah Ghazal - -- - ABDULLAH NAZIR

Posted: Sun Feb 13, 2005 6:59 am
by Abdullah Nazir

MuHtaramaat o MuHtarameen
Ahbaab-e-Sukhan,
- -- -


Purkhuloos Tasleemaat,

Apni aik mamooli sii taazah ghazal paish karrahaa hooN is ummeed se ke aapko pasand aayegi.

Aapki giraaNqadr aaraa kaa intizaar rahegaa. Shukriyah.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


Posted: Sun Feb 13, 2005 10:41 am
by Shummu
wah bahut khoob..ye maamoooli nahi balqi bahut umda ghazla hai..daad haazir hai nazir bhai :)

Shumaila

Re: Aik maAmooli sii Taazah Ghazal - -- - ABDULLAH NAZIR

Posted: Sun Feb 13, 2005 11:17 am
by najma
Abdullah Nazir wrote:
MuHtaramaat o MuHtarameen
Ahbaab-e-Sukhan,
- -- -


Purkhuloos Tasleemaat,

Apni aik mamooli sii taazah ghazal paish karrahaa hooN is ummeed se ke aapko pasand aayegi.

Aapki giraaNqadr aaraa kaa intizaar rahegaa. Shukriyah.


Aapka Mukhlis,
Nazir.


janab abdullaah nazir sahib
assalam-o-alaikum
aap ki ghazal parhee, :roll: bass 1 zara ghair maamooli c ghalatii aap kar gaey :roll:.
keh
ghazal to :maa, moolii: naheen :o , bal-k :GHAIR-MAA,MOOLEE: niklee :D
bohat khoob .
janab! har sher hasil-e-ghazal hay.dheron daad hazir-e-khidmat hain, qubool farmaiyey.
khair andesh
najma
:)

Bahut bahut shukriyah

Posted: Mon Feb 14, 2005 3:46 am
by Abdullah Nazir

MuHtaramah
NAJMA Saahibah,


Purkhuloos Tasleemaat,

Aap ne likhkhaa hei:
(((janab abdullaah nazir sahib
assalam-o-alaikum
aap ki ghazal parhee, bass 1 zara ghair maamooli c ghalatii aap kar gaey .
keh
ghazal to :maa, moolii: naheen , bal-k :GHAIR-MAA,MOOLEE: niklee
bohat khoob .
janab! har sher hasil-e-ghazal hay.dheron daad hazir-e-khidmat hain, qubool farmaiyey.
khair andesh
najma )))

Aapke tabsireh kii pahli saTr paRhte hii maiN ne apnaa qalam uThaaya ke usko underline karuN aur apni ghalaTi ko samjhooN. Jab doosri saTr per nazar paRi tou qalam vaheeN dounoN saTraoN ke darmiyan ruk gayaa aur yakayak mujhe hansi aagaii :oops:

Aapki bahut hii khoobsoorat teHreer paRhkar maiN aapki adabi salaaHiyyataoN kaa qaayil hougayaa.

Meri nazar meiN tou yeh ghazal ab bhii maAmooli sii hei lekin yeh aap jaise doust aHbab ki qadrdaani hei ke isko kisi qaabil samjhaa. Bahut bahut shukriyah.


Aapka Mukhlis,

Nazir.