Page 1 of 1
Insaan
Posted: Sun Aug 05, 2007 5:15 pm
by tahira Masood
insaan
ashraf-ul-makhluqaat
akhlaaq ,aHsaas aur reh'm kaa majmuaa
tehzeeb-o-tamddun kaa manba-o-makhiz
masjud-e-malaaik?
jab apne maqaam se girtaa hai tau
drindoN aur HaiwaanoN ko bhi maat de jaata hai
uff yeh insaan
Posted: Fri Aug 10, 2007 10:42 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtarmah T^ahirah masa'ood SaaHibah aadaab!
aap kee nazm dekhee mashAllah bohot khubSurat koshish hai. Aap ko Ghazal ke saath saath nazm par bhee dastaras HaaSil hai. saadah alfaaz^ meN mudda'aa keh denaa zeyadah mushkil hotaa hai. aor khuSuSa" jab sehl-e-mumtina' ke daaei'rah meN reh kar she'er kehnaa hooN to aor zeyadah mushkil ho jataa hai.
insaan
ashraf-ul-makhluqaat
akhlaaq ,aHsaas aur reh'm kaa majmuaa
tehzeeb-o-tamddun kaa manba-o-makhiz
masjud-e-malaaik?
jab apne maqaam se girtaa hai tau
drindoN aur HaiwaanoN ko bhi maat de jaata hai
uff yeh insaan
Kiyaa kehne!!
is khubSurat nazm par meree dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye!
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Posted: Tue Mar 25, 2008 10:03 pm
by tahira Masood
MUzaffar bha'ee
salaam
aap ne mairee is saadah si nazm ko jis khoobSurat apzeera'ee se nawaaz hai woh maire liye nehaayat khsuh kun hai
aayndah bhi HauSlah afaz'ee fermaate rehiye gaa
aaj bohat dinoN k ba'd is teraf aana huaa hai is liye ajwaab takheer se de rehi hoN
wassalam