chand taSweer-e-butaaN, chand HaseenoN ke Khut^oot^

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

chand taSweer-e-butaaN, chand HaseenoN ke Khut^oot^

Post by Sarwar A. Raz »

[align=center]chand taSweer-e-butaaN, chand HaseenoN ke Khut^oot^!

yaaraan-e-Anjuman: tasleemaat!

Haal hee meN ek Urdu meHfil ne apne t^araHee mushaa,i'reh ke liYe Mirza "Ghalib" kaa mash,hoor miSra' diyaa thaa:

"nah ho marnaa to jeene kaa mazaa kyaa?"

bohat se eHbaab ne is par GhazleN kaheeN aur chand UrduAnjuman meN bhee i'naayat kee gayeeN. in meN se do ek par maiN ne bhee tabSirah kiyaa hai. isee dauraan meN biraadaram Jawaid Badauni kaa :email: aayaa keh maiN bhee is zameen meN fikr karooN. maiN aisee mash,hoor zameenoN meN she'r kehne se bohat ghabraataa hooN kyoN.k aap kuchh bhee kar leN lekin Ghazal paRhte waqt qaaree sha,o'oree yaa Ghair-sha,ao'oree t^aur par aisee Ghazal kaa taqaabulah ustaad-e-fan kee Ghazal se Z^aroor kartaa hai aur is kaa nateejah z^aahir hai! aur aaKhir aisaa kyoN nah ho? "Ghalib" ba-har-Haaal "Ghalib" hee haiN!

maiN ne Jawaid SaaHeb se :koshish: karne kaa wa'dah kar liyaa aur fikr karne baiThaa to achaanak yaad aayaa keh is zameen meN muddatoN qabl maiN ne ek Ghazal kahee thee! puraanee bayaaZ^ dekhee to nah Sirf yeh Ghazal milee bal.k woh kaaGhaz bhee milaa jis par likh kar is ko waalid-e-marHoom "Raz" Chandpuri kee Khidmat meN pesh kiyaa thaa aur unhoN ne iSlaaH dee thee! Ghazal aur iSlaaH par 1 July, 1957 kee taareeKh raqam hai. goyaa "yeh qiSSah hai jab kaa ke :Atish: jawaaN thaa"! us waqt maiN 22 saal kaa naujawaan thaa! mazeed talaash kee to is Ghazal ke baare meN 14 July, 1957 kee yeh yaad-daasht bhee naz^ar aayee:

"1 July 1957 ko maiN ne darj-e-Zel teen GhazleN "Baaboo jee" (ham apne waalid SaaHeb ko "Baaboo jee" kehte the!) kee Khidmat meN pesh keeN. GhazleN dekh kar unhoN ne poochhaa keh :bha,yee! yeh GhazleN aap kee hee haiN yaa kaheeN se uRaa lee haiN? b.ilkul puKhtah kalaam hai aur in meN iSlaaH kee gunjaa,ish bohat kam hai: mere yaqeen dilaane par keh :jee naheeN, yeh meree hee haiN:, unhoN ne jawaab diyaa keh :maiN mubaarakbaad detaa hooN. Khayaalaat to doosroN ke lene hee paRte haiN magar andaaz-e-bayaan baRee cheez hai. yeh kalaam aisaa hai jaise kisee kee kayee saal kee mashq ho!:

aaj "Ghalib" kee zameen kee wohee Ghazal pesh kartaa hooN. do ek din meN baaqee kee do GhazleN bhee HaaZ^ir karooN gaa!

taazah-Khwaahee daashtan gar raazhaaYe seenah raa
gaahe gaahe baaz KhwaaN eeN qiSSah-e-paareenah raa!

(agar too yeh chaahataa hai keh tere seene ke daaGh taazah raheN to kabhee kabhee is puraane qiSSe ko duhraataa raa kar!)

shaayad yeh kehne kee Z^aroorat naheeN hai keh in GhazloN ko pesh karne se Khud-sitaayee maqSood naheeN hai. Sirf dil par jo in puraanee yaadoN se beetaa us ko bayaan kar denaa manz^oor hai:

jin ash,a'ar par waalid-e-marHoom ne iSlaaH naheeN dee un ko jooN-kaa-tooN likh diyaa hai. doosroN ke neeche un kee iSlaaH yaa apnaa tashreeHee note darj kar diyaa hai.

Sarwar A. Raz "Sarwar"

Note: yeh Ghazal UrduAnjuman meN pesh kee gayee hai. is kee peshaanee par isee liYe :yaaraan-e-UrduAnjuman: likhaa huwaa hai. aur koyee gustaaKhee maqSood naheeN hai!

==================================
GHAZAL:

abhee kyaa thaa, abhee yeh ho gayaa kyaa?
nah sochaa dil ne kuchh achhaa buraa kyaa?

miTaaYe gaa hameN woh fitnah-zaa kyaa!
siwaaYe Gham yahaaN ab reh gayaa kyaa?

zamaanah karwaTeN letaa rahe gaa
GhareeboN ke diloN kaa TooTnaa kyaa!

guZaaree HasratoN meN zindagaanee
hameN hotaa hai is kaa ranj kyaa kyaa!

sukoot-e-shab! yeh kaisee Khaamushee hai?
miTaa apnaa dil-e-dard-aashnaa kyaa?

azal se naa-muraad-e-aarzoo haiN
ab aaYe gaa woh jur,at-aazmaa kyaa!

(azal se naa-muraad-e-aarzoo hooN
zamaane se mujhe ab waast^aa kyaa?)

uRaa dee Khaak-e-gul, keh kar Sabaa ne
:SadaaYe bulbul-e-weHshat-adaa kyaa:!

(uRaa dee Khaak-e-gul keh kar Sabaa ne
:SadaaYe bulbul-e-weHshat-nawaa kyaa!)

dil-e-doneem aaNsoo KhooN ke royaa
Khudaa jaane use yaad aa gayaa kyaa!

kahaanee ranj-o-Gham kee kyaa sunaaYeN
naheeN ma'loom ham ko Khud huwaa kyaa!

gul-o-bulbul to dil kee keh rahe the
Sabaa ne chaar soo phailaa dee kyaa kyaa!

(is she'r ko waalid-e-marHoom ne kaaT kar Ghazal se Khaarij kar diyaa!)

kisee maiKhaane meN "Sarwar" ko DhooNDo
use dasht-o-jabal se waast^aa kyaa?

(kisee maiKhaane meN "Sarwar" ko DhooNDo
use dair-o-Haram se waast^aa kyaa?)
------------------------
Sarwar A. Raz "Sarwar"
[/align]
Attachments
sarwar1.gif003.gif
sarwar1.gif003.gif (27.02 KiB) Viewed 106 times
sarwar1.gif002.gif
sarwar1.gif002.gif (37.17 KiB) Viewed 106 times
sarwar1.gif
sarwar1.gif (38.55 KiB) Viewed 106 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Mohtaram Janab SARWAR RAZ SaHeb

Aadaab o tasleemat.

Sab se pehlay to aik baat is laRi k unwaan par.

mujhe naheeN pataa ke ye miSra hai ya sirf jumlaa oar kis ka hai. laikin jab "fehrist" meN ye topic aap ke naam saath daikhaa toa aisaa lagaa jaise ye aap ki kissi nayee ghazal ka miSra' hai. aor damaagh foran he chand tasweer par khatkaa. chand ke b'aad lafz waHid? kyaa ye theek hai?

ubb aate heN aap ki nojawaani ki ghazal par.

aap ki ye ghazal paRh kar pehli baat jis ka mujhe adraak huwaa woh ye hai ke aap bay shumaar SalaahetoN se maalaa maal aik qudrati shaair heN aor is par urdu zubaan par uboor, 'arooz ke maloomat aor tarakeeb ke khazaane ne aap ki shaairi ko aik nikhaar bakhsh diyaa.

agar aap iSlaaH shudaa ghazal ko pas e manzar ke baghair paish karte to shayed hi kissi ko gumaan hotaa ke ye aap ke awaaleen dor ki ghazal hai. iss leeaye meN ne aap ke leeaye qudarti shaair ka lafz istemaal kiyaa hai. mairaa khyaal hai ke 'aam shaair ki shaairy batadreeej behtar hoti hai jab ke aik qurdarti shaair ki shaairy batadreej nikharti hai. kyooNke is meN behtari ki gunjaish hi kahaaN hoti hai. woh jab shaairi shroo kartaa hai to aik shaandaar shaair hotaa hai aor jaise hi apni shaairi par kuch meHnat kartaa hai dunyaa ussay USTAAD SHAIR ke naam se jaan-na shroo kar daiti hai.

aap ki is ghazal je jahaaN aap ke fan ka andaaza hotaa hai wahaaN baaboo ji ke qad kaaTh ka andaaza bhi hotaa hai. un ki iSlaaH se shaairi par un ka 'boor Saaf nazar aataa hai. bulbal e wahshat adaa ko bulbul e wahshat nawa aor maqta' meN dasht o jabal ko ko dair o Haram se badal kar mazmoon o bayaan ko jo bulandi 'ataa ki hai woh :salute: karne ke qaabil hai.

to phir un ka khoon jab aap ki ragoN me doR rahaa hao aor unki tarbiyaat aap ki shaairy se chhalak rahi to shaairy meN aisaa nikhaar kyooN na ho?

dua' goa,
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

muhammad_19k wrote:Mohtaram Janab SARWAR RAZ SaHeb

muHibbee Khaawar SaaHeb: aadaab!

Khat^ ke liYe mamnoon hooN. Ghazal kaa aap ko pasand aanaa meree masarrat aur it^meenaan kaa baa,ic huwaa. dilee shukriyah qubool keejiYe.

fit^ree shaa,i'r ke kalaam meN bhee irtiqaa hotaa hai. jab hee to Ghalib ne apnaa awwaleeN daur kaa bohat saa kalaam shaa,ye' naheeN kiyaa. maiN jaisaa kuchh bhee hooN behtaree kee koshish ab bhee jaaree hai aur taa-u'mr rahe gee.

chand taSweer-e-butaaN, chand HaseenoN ke Khut^oot^
ba'd marne ke mire ghar se yeh saamaaN niklaa (Ghalib)

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Sarwar A'lam Raz Sarwar SaaHib aadaab! :rose

maaZ^ee kee yaadeeN azeez bhee hotee haiN. aor ba'aZ^ aoqaat dil jalaa bhee detee haiN. aap ne apne Guzre huwe dinooN kee aek yaadgaar Ghazal pesh kee jis par aap ke waalid-e-marHoom kee iSlaH-o-tanqeed bhee dikhaee gaee hai. is Hawalah se yaqeena" yeh sarmaayeh-e-ilfaaz^ aap ke liye tabarrak kaa darajah rakhte haiN. aor hamare liye bhee moa'tabar haiN. aap kee waalid-e-Giraamee urdu ke liye kaam karte rahe aor apne wasaai'l kee kamyaabee ke baawajood she'er-o-sukhan se apnaa raabit^ah badastoor qaai'm rakhaa.

maoSoof agar Delhi yaa Lakhnawo ke baasee (rehaai'shee) hote to un kee shuhrat kaa Halqah bohot waseea' hotaa. Raaz Chaanpuri SaaHib ne u'mr kaa qareeba" sabhee HiSSah "Jabal Pur" (madeeh Pardesh) meN Guzaraa. agarcheh aabaaee wat^an Chaand Pur thaa. Ghaleba" 1961 meN un kaa majmua'ah-e-kalam "Nawaa-e-Raaz" idarah Anees Urdu Ilah Abaad se shaae' huwaa thaa. urdu markaz se duree ne shuhrat aashnaa nah kiyaa lekin Gushah-e-khalwat meN baeTh kar she'er gaoee ke liye nisbata" zeyadh pursukoon maHool aor aaraam Z^aroor muhaiyaa kiyaa ho gaa.

maiN khud ko maoSoof ke paristarooN meN shumaar kartaa hooN.......maiN akcar a'rZ^ kiyaa kartaa hooN keh jo rishtah-e-iradat ham sab aarakeen-e-meHfil kaa aap se hai. usee kee laRee aap se hotee hoee RaaZ SaaHib aor Seemaab Akbar Aabadi se hotee hoee Jigar aor ASGhar GonDawi se jaa miltee hai. aor agar yooN dekhaa jae to yeh khaalee az lut^f nah ho gaa. keh aap kee wasaat^at se hamaraa qalamee rishtah kahaaN se kahaaN chalaa jataa hai.

aap kee markoomah-e-baalaa Ghazal par dost kaafee likh rahe haiN. so maiN faqat^ daad-o-taoSeef par hee iktefaa karnaa chahooN gaa. so meree janib se dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye!

==================================
GHAZAL:

abhee kyaa thaa, abhee yeh ho gayaa kyaa?
nah sochaa dil ne kuchh achhaa buraa kyaa?

Wah!

miTaaYe gaa hameN woh fitnah-zaa kyaa!
siwaaYe Gham yahaaN ab reh gayaa kyaa?

Kiyaa Kehne!! Waah! waah!

zamaanah karwaTeN letaa rahe gaa
GhareeboN ke diloN kaa TooTnaa kyaa!

Waah Waah!!

guZaaree HasratoN meN zindagaanee
hameN hotaa hai is kaa ranj kyaa kyaa!

Bohot khoob!

sukoot-e-shab! yeh kaisee Khaamushee hai?
miTaa apnaa dil-e-dard-aashnaa kyaa?

Bohot Khoob Waah Waah Waah! lajawaab she'er hai!!

azal se naa-muraad-e-aarzoo haiN
ab aaYe gaa woh jur,at-aazmaa kyaa!

(azal se naa-muraad-e-aarzoo hooN
zamaane se mujhe ab waast^aa kyaa?)

Waah Waah!

uRaa dee Khaak-e-gul, keh kar Sabaa ne
:SadaaYe bulbul-e-weHshat-adaa kyaa:!

(uRaa dee Khaak-e-gul keh kar Sabaa ne
:SadaaYe bulbul-e-weHshat-nawaa kyaa!)

Waah!

dil-e-doneem aaNsoo KhooN ke royaa
Khudaa jaane use yaad aa gayaa kyaa!

Bohot Khoob! Waah Waah!

kahaanee ranj-o-Gham kee kyaa sunaaYeN
naheeN ma'loom ham ko Khud huwaa kyaa!

Kiyaa kehne Waah Waah Waah!!

gul-o-bulbul to dil kee keh rahe the
Sabaa ne chaar soo phailaa dee kyaa kyaa!

(is she'r ko waalid-e-marHoom ne kaaT kar Ghazal se Khaarij kar diyaa!)

kisee maiKhaane meN "Sarwar" ko DhooNDo
use dasht-o-jabal se waast^aa kyaa?

(kisee maiKhaane meN "Sarwar" ko DhooNDo
use dair-o-Haram se waast^aa kyaa?)

Kiyaa kehne Waah Waah!!

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:

janaab-e-Muzaffar SaaHeb: aadaab!!

taaKheer ke liYe ma'Zirat! wajh aap ko ma'loom hee hai! Ghazal kee paZeeraayee ke liYe mamnoon hooN.

aap kaa yeh Khayaal ek Had tak durust hai ke bohat se achhe shaa,i'r Sirf is wajh se gumnaam reh gaYe kyoN.k woh Urd ke markazoN se door the. :ek Had: tak is liYe keh rahaa hooN keh be-shumaar aise bhee shaa,i'r guZre haiN jo in markazoN par reh kar bhee gum-naam aur be-naam rahe. dar aSl Urdu waale hameshah se isee beHisee aur Hamaaqat ke murtakib rahe haiN aur doosroN kee qadr kam hee karte haiN. bal.k un kee naa-qadree se ek qism kee t^amaaniyyat see meHsoos kart naz^ar aate haiN!

aaj bhee yehee Haal hai. net par bhee shaKhSiyaat aur siyaasat kaa zor hai. Haq aur Sadaaqat Sirf kaaGhaZ par hee haiN! yeh aap bhee dekhte haiN aur maiN bhee. lekin log apnee is Ghalat^ee ko waqtee ta'reef aur be-faiZ^ siyaasat kee nazr chaRhaane meN koyee sharm yaa buraayee meHsoos naheeN karte!

is Soorat-e-Haal se Urdu kabhee naheeN nikal sake gee aur yeh ek baRee wajh hai jo woh dunyaa kee zabaanoN meN apnaa jaa,iz maqaam HaaSil karne se qaaSir hai.

daad ke liYe ek baar phir shukriyah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

BAHUT KHOOB

Post by haamidbaaqri »

:salaam2:
mohtaram sarwar saahib

aapke ibtedaayee daur meiN likkhee yeh ghazal bahut acchee lagee hameN.

shayer kabhie boodha hauta hai nahIN.woh hamesha jawaan hauta hai aur apni fikr say
logoN meiN bedaari laane kee kaushish karta hai.

hamaari dilee daad qubool farmaayeN aapki is khoobsoorat takhleeq per :rose :clap01: .

mukhlis
haamidbaaqari
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Post Reply