chand taSweer-e-butaaN, chand HaseenoN ke Khut^oot^
Posted: Fri Aug 10, 2007 2:18 am
[align=center]chand taSweer-e-butaaN, chand HaseenoN ke Khut^oot^!
yaaraan-e-Anjuman: tasleemaat!
Haal hee meN ek Urdu meHfil ne apne t^araHee mushaa,i'reh ke liYe Mirza "Ghalib" kaa mash,hoor miSra' diyaa thaa:
"nah ho marnaa to jeene kaa mazaa kyaa?"
bohat se eHbaab ne is par GhazleN kaheeN aur chand UrduAnjuman meN bhee i'naayat kee gayeeN. in meN se do ek par maiN ne bhee tabSirah kiyaa hai. isee dauraan meN biraadaram Jawaid Badauni kaa aayaa keh maiN bhee is zameen meN fikr karooN. maiN aisee mash,hoor zameenoN meN she'r kehne se bohat ghabraataa hooN kyoN.k aap kuchh bhee kar leN lekin Ghazal paRhte waqt qaaree sha,o'oree yaa Ghair-sha,ao'oree t^aur par aisee Ghazal kaa taqaabulah ustaad-e-fan kee Ghazal se Z^aroor kartaa hai aur is kaa nateejah z^aahir hai! aur aaKhir aisaa kyoN nah ho? "Ghalib" ba-har-Haaal "Ghalib" hee haiN!
maiN ne Jawaid SaaHeb se :koshish: karne kaa wa'dah kar liyaa aur fikr karne baiThaa to achaanak yaad aayaa keh is zameen meN muddatoN qabl maiN ne ek Ghazal kahee thee! puraanee bayaaZ^ dekhee to nah Sirf yeh Ghazal milee bal.k woh kaaGhaz bhee milaa jis par likh kar is ko waalid-e-marHoom "Raz" Chandpuri kee Khidmat meN pesh kiyaa thaa aur unhoN ne iSlaaH dee thee! Ghazal aur iSlaaH par 1 July, 1957 kee taareeKh raqam hai. goyaa "yeh qiSSah hai jab kaa ke :Atish: jawaaN thaa"! us waqt maiN 22 saal kaa naujawaan thaa! mazeed talaash kee to is Ghazal ke baare meN 14 July, 1957 kee yeh yaad-daasht bhee naz^ar aayee:
"1 July 1957 ko maiN ne darj-e-Zel teen GhazleN "Baaboo jee" (ham apne waalid SaaHeb ko "Baaboo jee" kehte the!) kee Khidmat meN pesh keeN. GhazleN dekh kar unhoN ne poochhaa keh :bha,yee! yeh GhazleN aap kee hee haiN yaa kaheeN se uRaa lee haiN? b.ilkul puKhtah kalaam hai aur in meN iSlaaH kee gunjaa,ish bohat kam hai: mere yaqeen dilaane par keh :jee naheeN, yeh meree hee haiN:, unhoN ne jawaab diyaa keh :maiN mubaarakbaad detaa hooN. Khayaalaat to doosroN ke lene hee paRte haiN magar andaaz-e-bayaan baRee cheez hai. yeh kalaam aisaa hai jaise kisee kee kayee saal kee mashq ho!:
aaj "Ghalib" kee zameen kee wohee Ghazal pesh kartaa hooN. do ek din meN baaqee kee do GhazleN bhee HaaZ^ir karooN gaa!
taazah-Khwaahee daashtan gar raazhaaYe seenah raa
gaahe gaahe baaz KhwaaN eeN qiSSah-e-paareenah raa!
(agar too yeh chaahataa hai keh tere seene ke daaGh taazah raheN to kabhee kabhee is puraane qiSSe ko duhraataa raa kar!)
shaayad yeh kehne kee Z^aroorat naheeN hai keh in GhazloN ko pesh karne se Khud-sitaayee maqSood naheeN hai. Sirf dil par jo in puraanee yaadoN se beetaa us ko bayaan kar denaa manz^oor hai:
jin ash,a'ar par waalid-e-marHoom ne iSlaaH naheeN dee un ko jooN-kaa-tooN likh diyaa hai. doosroN ke neeche un kee iSlaaH yaa apnaa tashreeHee note darj kar diyaa hai.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Note: yeh Ghazal UrduAnjuman meN pesh kee gayee hai. is kee peshaanee par isee liYe :yaaraan-e-UrduAnjuman: likhaa huwaa hai. aur koyee gustaaKhee maqSood naheeN hai!
==================================
GHAZAL:
abhee kyaa thaa, abhee yeh ho gayaa kyaa?
nah sochaa dil ne kuchh achhaa buraa kyaa?
miTaaYe gaa hameN woh fitnah-zaa kyaa!
siwaaYe Gham yahaaN ab reh gayaa kyaa?
zamaanah karwaTeN letaa rahe gaa
GhareeboN ke diloN kaa TooTnaa kyaa!
guZaaree HasratoN meN zindagaanee
hameN hotaa hai is kaa ranj kyaa kyaa!
sukoot-e-shab! yeh kaisee Khaamushee hai?
miTaa apnaa dil-e-dard-aashnaa kyaa?
azal se naa-muraad-e-aarzoo haiN
ab aaYe gaa woh jur,at-aazmaa kyaa!
(azal se naa-muraad-e-aarzoo hooN
zamaane se mujhe ab waast^aa kyaa?)
uRaa dee Khaak-e-gul, keh kar Sabaa ne
:SadaaYe bulbul-e-weHshat-adaa kyaa:!
(uRaa dee Khaak-e-gul keh kar Sabaa ne
:SadaaYe bulbul-e-weHshat-nawaa kyaa!)
dil-e-doneem aaNsoo KhooN ke royaa
Khudaa jaane use yaad aa gayaa kyaa!
kahaanee ranj-o-Gham kee kyaa sunaaYeN
naheeN ma'loom ham ko Khud huwaa kyaa!
gul-o-bulbul to dil kee keh rahe the
Sabaa ne chaar soo phailaa dee kyaa kyaa!
(is she'r ko waalid-e-marHoom ne kaaT kar Ghazal se Khaarij kar diyaa!)
kisee maiKhaane meN "Sarwar" ko DhooNDo
use dasht-o-jabal se waast^aa kyaa?
(kisee maiKhaane meN "Sarwar" ko DhooNDo
use dair-o-Haram se waast^aa kyaa?)
------------------------
Sarwar A. Raz "Sarwar" [/align]