Page 1 of 3

MAHAK - Lafz pe pasandeedah Sher bheziye... Please !!

Posted: Tue Aug 14, 2007 7:12 am
by munir-armaan-nasimi
Dosto,

Salaam-o-Rehamt !! Mujhe "MAHAK" (khushboo magar khushboo lafz nahin.. sirf Mahak).. lafz ke kuchh Ashaa'r chaahiye. Meherbaani hogi agar aap log meri madad kar dein.

Aap ka apna,

Armaan

Posted: Wed Aug 15, 2007 10:37 pm
by hassan_bashir
kaliyoN kii mahak hotaa taaroN kii ziyaa hotaa,
maiN bhii tere gulshan meiN phuloN ka Khudaa hotaa!

Posted: Wed Aug 15, 2007 10:39 pm
by hassan_bashir
jahaaN na terii mahak ho udhar na jaauuN maiN
merii sarisht safar hai guzar na jaauuN maiN

Posted: Wed Aug 15, 2007 10:41 pm
by hassan_bashir
shamashiir barahanaa maaNg Ghazab baaloN kii mahak phir vaisii hai!
juuRe kii guNdhaavat bahar-e-Khudaa zulfoN kii laTak phir vaisii hai!!

Posted: Wed Aug 15, 2007 10:43 pm
by hassan_bashir
dil meiN mahak raheN haiN kisii aarzuu ke phuul
palkon meiN khilane vaale haiN shaayad lahuu ke phuul

Posted: Wed Aug 15, 2007 10:47 pm
by hassan_bashir
tere aane kii jab Khabar mahake
tere Khushbuu se saaraa ghar mahake


shaam mahake tere tasavvur se
shaam ke baad phir sahar mahake


raat bhar sochataa rahaa tujh ko
zahan-o-dil mere raat bhar mahake


yaad aaYe to dil munavvar ho
diid ho jaaye to nazar mahake


vo ghaRii do ghaRii jahaaN baiThe
vo zamiiN mahake vo shajar mahake



~ Navaaz Deobandi ~

Posted: Thu Aug 16, 2007 3:48 pm
by munir-armaan-nasimi
Beradaram Hassan Bashir Saaheb,

Intehaayi shukr guzaar hoon ke aap ne "Mahek" unwaan pe dher saare ashaar ke Mahak se POST ko ekdum Mehka diya hai.... Alla'h kare ye mahek ta-der qaayam rahe...

Plz. kuch aur sher bhi enayat karein.

aap ka bhai,

Armaan

Posted: Fri Aug 17, 2007 5:22 pm
by munir-armaan-nasimi
WAH WAH SAARA JI.... KYA BAAT HAI... KUCHH AUR HO JAAYE.... MUJHE CHAAHIYE... "MAHAK" PE KHAAS 'IMPORTANCE" HO AUR PURA SHER US PE MUNHASAR (DEPEND) KARTA HO... PLZ. AISA KUCH YAAD HAI TO LIKH DIZIYE NA PLZ.

Posted: Sun Aug 19, 2007 2:34 am
by ummassad
MAHAK uthaingi fizaiyen guloun ki khushboo se.
wo rang o noor ka payker jidher se nikleyga.

Posted: Sun Aug 19, 2007 2:27 pm
by balvinder
saNdal se mahaktii huii purkaif hawaa ka
jhoNka koii Takraaye to lagtaa hai ki tum ho


jaaN nisar ''aKhtar''

Posted: Sun Aug 19, 2007 2:30 pm
by balvinder
Khud-b-Khud niiNd-sii aaNkhoN meN ghulii jaatii hai
mahakii-mahakii hai shab-e-gham tere baaloN ki tarah

jaaN nisar ''aKhtar''

Posted: Sun Aug 19, 2007 2:36 pm
by balvinder
laakh gham siine se lipTe raheN naagan ki tarah
pyaar sachchaa thaa, mahaktaa rahaa chaNdan ki tarah


krishn bihari ''noor''

Behad Pyara Sher Hai...

Posted: Sun Aug 19, 2007 3:02 pm
by munir-armaan-nasimi
ummassad wrote:MAHAK uthaingi fizaiyen guloun ki khushboo se.
wo rang o noor ka payker jidher se nikleyga.
Wah Wah.. kya baat hai.... wo rang-o-noor ka payker jidhar se guzrega.... kamaal ka sher hai.. agar aap ka apna hai to Dobara Daad qobool kiziye... waqayi behad pyara sher hai...!!

Shukriya Balvinder Bhai....

Posted: Sun Aug 19, 2007 3:10 pm
by munir-armaan-nasimi
balvinder wrote:laakh gham siine se lipTe raheN naagan ki tarah
pyaar sachchaa thaa, mahaktaa rahaa chaNdan ki tarah


krishn bihari ''noor''
BERADARAM BALVINDER INDORI SAAHEB.... MAIN AAP KA SHUKR GUZAAR HOON KE AAP NE "MAHAK' LAFZ PE ITNE PYARE PYARE ASHAAR POST KIYE.... MAGAR MUJHE YE BHI MAALOOM HAI KE AAP KE PAAS AUR BHI ACHCHE SHER HAIN.... MAIN SIRF "MAHAK" LAFZ PE SHER CHAAHTA HOON.... MAHAKTI, MAHAKTA, MAHKI-MAHKI.. WAGERA NAHIN... SIRF "MAHAK" PLZ. KUCH AUR SHER...PLZ.


aap ka apna,

Munir Armaan

N.B.: Aanjehani Krishn Bihari Noor Saaheb se main personally mila hoon aur unke haathon se likhe hoye kayi sher jo mere autograph book main hain un main se mandarza bala sher bhi ek hai. Aur zaati tor pe mujhe ye sher be-had pasand hai.

Posted: Sun Aug 19, 2007 8:45 pm
by hassan_bashir
munir-armaan-nasimi wrote:Beradaram Hassan Bashir Saaheb,

Intehaayi shukr guzaar hoon ke aap ne "Mahek" unwaan pe dher saare ashaar ke Mahak se POST ko ekdum Mehka diya hai.... Alla'h kare ye mahek ta-der qaayam rahe...

Plz. kuch aur sher bhi enayat karein.

aap ka bhai,

Armaan

Bhaii Arman,

aap k diye gaye lafz par jitane ash'aar mujhe yaad the voh aap ki nazr kar hi chooka hooN, aur is se ziyadah to milnaa shaayad mushkil hai, phir bhii khaatir aap ke koshish jaari rahe gi. fil vaqt yeh do ash'aar aur leejiYe.


un ki mahak ne dil k GhooNche khilaa diYe haiN!
jis raah chal gaye haiN, kooche basaa diYe haiN!!

~ Aala hazrat (R.A.) ~


tere aane ki jab se milii hai khabar,
terii khushboo mahakne lagii mere ghar!

~ khaaksaar ~


shukriYah!