aap kyooN kar na shaadmaaN hoN ge - Muhamamd K. Siddiqui.

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

aap kyooN kar na shaadmaaN hoN ge - Muhamamd K. Siddiqui.

Post by muhammad_19k »

Salam 'azeezan e bazm.

kehne ke aik ghazal meN ne keh to Daali hai. laikin kyaa waqitan is ko ghazal kahaa ja saktaa hai. ye to mujhe aap hi bataa-eN ge. mujhe apni kam ilmi par afsoos hai laikin izhaar meN koi 'aar naheeN ke meN naheeN jaantaa ke kyaa aik ghazal meN aik se zydaa qit'aat kahe jaa sakte heN ke naheeN. agar aap ki tabiat par ye naagwaar guzre to meN ma'zirat chaahtaa hooN.

niazmand,
Muhammad K. Siddiqui.

1. zakhm e dil jab kabhi ayaaN hoN ge
aap kyooN kar na shaadmaaN hoN ge

2. phir baghawat koi janam lay gi
ahl e dil jab bhi ham zubaaN hoN ge

3. jaam phir se uchhaly jaa-eN ge
dost sab hi baraajamaN hoN ge
aaj ki raat daikhna hai hameN
" aap kiss kiss pe mehrabaaN hoN ge

4. aik lazzat hai hijr meN un ke
waSl meN ye mazay kahaaN hoN ge
waSl ke b'aad par unheN hai umeed
apne kuch aor hi bayaaN hoN ge.


5. Zab^t kitna kareN ge maire Huzaoor
aik dinaap khastaa jaaN hoN ge
jinta rokeN ge aap askhoN ko
utnaa hi aor ye rawaaN hoN ge

6. rok leN na kaheeN tumheN :khawar:
raah meN kayee saaibaaN hoN ge.
Attachments
aap kyooNkar na shaadmaN hoN ge.gif
aap kyooNkar na shaadmaN hoN ge.gif (10.63 KiB) Viewed 482 times
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
waQaar
-
-
Posts: 22
Joined: Mon Sep 03, 2007 9:50 pm

Post by waQaar »

Mohtaram Khawar SaaHeb,

aadaab,

aapkii takhleeq to hamaiN pasand aa,ii magar isko kYa naam diYa jaaye Yeh to asaatizah hii bataa sakaiNgay.

aakhiri She'r maiN aapnay "nah" jo keh Chh~oTii aavaaz hay baRii aavaaz kay vazn per baaNdh~aa hay. us per naZr-e-caani kee jiYay gaa.

daad haaZir hay is kalaam per, qubool kee jiyay!
waQaar :)
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Re: aap kyooN kar na shaadmaaN hoN ge - Muhamamd K. Siddiqui

Post by munir-armaan-nasimi »

muhammad_19k wrote:Salam 'azeezan e bazm.

kehne ke aik ghazal meN ne keh to Daali hai. laikin kyaa waqitan is ko ghazal kahaa ja saktaa hai. ye to mujhe aap hi bataa-eN ge. mujhe apni kam ilmi par afsoos hai laikin izhaar meN koi 'aar naheeN ke meN naheeN jaantaa ke kyaa aik ghazal meN aik se zydaa qit'aat kahe jaa sakte heN ke naheeN. agar aap ki tabiat par ye naagwaar guzre to meN ma'zirat chaahtaa hooN.

niazmand,
Muhammad K. Siddiqui.


BERADARAM MUHAMMAD KHAWAR SAAHEB, GHAZAL KO GHAZAL HI REHNE DEIN.... GHAZAL KE ANDAR EK SE ZIYADAA QIT'AAT KYON THOOONS RAHE HAIN????? GHAZAL KUCHH MOTI LAG RAHI HAI........ AAP JAANTE HAIN KE HAR CHEEZ KA EK KHAAS ANDAAZ HOTA HAI.... US MAIN PHER BADAL KARNE SE USKA MAZAA BIGADH JAATA HAI.

YE MERI RAI HAI AUR MAIN JAANTA HOON KE AAP BURRA NAHIN MAANGENGE..... Waise Ghazal pe dher saare tazrubaat ho rahe hain...



1. zakhm e dil jab kabhi ayaaN hoN ge
aap kyooN kar na shaadmaaN hoN ge

WAH WAH... AAP NE APNE MEHBOOB/DOST KI POL KHOL HI DI. ITNA JAALIM DOST.... KHUDA KHAIR KARE.


2. phir baghawat koi janam lay gi
ahl e dil jab bhi ham zubaaN hoN ge

BAHUT HI PYARA SHER HAI... AHL-E-DIL JAB BHI HAM ZUBAAN HON GE...... WO DIN KAB AAYEGA KHAWAR BHAI.. MUJHE ABHI SE INTEZAAR HAI.


3. jaam phir se uchhaly jaa-eN ge
dost sab hi baraajamaN hoN ge
aaj ki raat daikhna hai hameN
" aap kiss kiss pe mehrabaaN hoN ge

4. aik lazzat hai hijr meN un ke
waSl meN ye mazay kahaaN hoN ge
waSl ke b'aad par unheN hai umeed
apne kuch aor hi bayaaN hoN ge.


5. Zab^t kitna kareN ge maire Huzaoor
aik dinaap khastaa jaaN hoN ge
jinta rokeN ge aap askhoN ko
utnaa hi aor ye rawaaN hoN ge

6. rok leN na kaheeN tumheN :khawar:
raah meN kayee saaibaaN hoN ge.
BAHUT KHOOB... KYA BAAT HAI.... UMDA MAQTA' HAI.... EK THAKE HOYE AADMI KE LIYE KOYI SAAIBAAN..... JANNAT SE KAM NAHIN..... KYA MANZARKASHI KI HAI AAP NE.... DAAD KE PHOOL NAHIN.. BALKI KAYI GULDASTE QOBOOL KIZIYE.

Aap ka bhai,

M.A.N.
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

waQaar wrote:Mohtaram Khawar SaaHeb,

aadaab,

aapkii takhleeq to hamaiN pasand aa,ii magar isko kYa naam diYa jaaye Yeh to asaatizah hii bataa sakaiNgay.

aakhiri She'r maiN aapnay "nah" jo keh Chh~oTii aavaaz hay baRii aavaaz kay vazn per baaNdh~aa hay. us per naZr-e-caani kee jiYay gaa.

daad haaZir hay is kalaam per, qubool kee jiyay!
waQaar :)
Mohtaram Waqar SaHeb

aap ne mairi ghazal par apni qeemti raa-aye se nawaaza, is ke leeaye bohat shukrguzaar hooN. na ki nishaandahi karne ka bhi shukriyaa. aap theek farmaateN heN ke aaj kal na ko chhoTi aawaaz ke Tor par hi baaNdhaa jaataa hai. laikin shayed abhi bhi iss baRi awaaz ke Tor par baandhnaa, naa pasandeeda to ho saktaa hai. laikin ghalat naheeN.

aap jab jab mairi kissi takhleeq par koi comment deN ge, meN shukrguzaar hooN ga.

niazmand,
Muhammad K. Siddiqu.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Re: aap kyooN kar na shaadmaaN hoN ge - Muhamamd K. Siddiqui

Post by muhammad_19k »

Saara ji,

Aadaab

aik ye khushi kyaa kam hai ka aap ne mujh naa cheez ki ghazal paRhi aor phir us par ye daad o teHseeN. banda e naacheez aap ka bohat bohat shukrguzaar hai.

aap likhti heN.
sara_j wrote: 3. jaam phir se uchhaly jaa-eN ge
dost sab hi baraajamaN hoN ge
aaj ki raat daikhna hai hameN
" aap kiss kiss pe mehrabaaN hoN ge................ :-) aapne jo girah lagaayii hai uske kai maine nikalte hain janaab!!
meN ye kehnaa chaahtaa thaa ke " aaj ki raat phir meHfil sajhay gi aor sab hi log wahaaN hoN ge. daikhna ye hai ke to kis kis par apna meHrebaan hotaa hai. ( yani us ki taraf nazar kartaa hai)

agar behtari ke leeaye koi tajveez ho to zaroor bataa-iaye ga.


shukrguzaar,
Muhammad K. .Siddiqui
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Re: aap kyooN kar na shaadmaaN hoN ge - Muhamamd K. Siddiqui

Post by muhammad_19k »

Muneer bhai

ghazal meN khoobsoorti hai ya naheeN, laikin aap ki daad meN khoobSoorti par koi shubaa naheeN :).

meN naheeN jaantaa ke ghazal meN kitne qitaa't kahe jaate heN. bas jo zehn me aayaa likhtaa gyaa. ab is ko behtar karnaa to aap jaise ahl e ilm logoN ka kaam hai. Hukm farmaa-iaye kyaa karnaa hai?

waise aap ne qiT'aat par comments to diaye hi naheeN?


shukrguzaar
Muhammad K. Siddiqui.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]
moHtaram Biradaram M, Khawar SaaHib aadaab-o-tasleemaat!

GuZarish#26 ke liye aap kee Ghazal firdoos-e-naz^ar hoee. nae'e tajrube fikr ke na'e Zaawiye paedah karte haiN. aor Zabaan-o-bayaan ke na'e imkanaat ko raoshan karte haiN. dilchasp baat yeh hai keh aap kee Ghazal meN sabhee kuch miltaa hai. ya'nee taGhazzul aor jamaliyaatee taskeen ke sarchashme, taSawwuf aor rooHnee taskeen, a'alam-e-wajd-o-kaef ke eHsaasaat-o-jazbaat kee farawaanee GharZ^ Hasrat kaa mushaahidah-e-Zindanee, yaganah kee be qabu ananiyat, Faani kaa falsafah-e-Gham, aor AsGhar kaa mutaSawwafanah jamaal-o-jalal kaa partao aap ke asha'aar meN Saaf dikhaaee detaa hai.

i'shqiyah jazbaat kee shiddat jo faeZ^aan-e-muHabbat hee se naheeN balkeh i'rfaan-e-muHabbat se HaaSil hotee aap ke haaN a'aam dekhee jaa saktee hai. baa eeN hamah maiN yeh baat Zeyadah yaqeen se keh saktaa hooN keh aap shaae'ir se zeyadah achche naqqaad caabit hooN ge. is kaa yeh mat^lab naheeN keh aap shaae'iree se haath kheench leeN. balkeh muraad yeh hai keh aap ko qudrat ne naaqidanah SalaHiyatooN se mala maal kar rakhaa hai. aap aage chal kar aek achche shaae'ir kee haeciyat se bhee apnee khuda daad SalaHiyatooN kaa laohaa manwaa sakte haiN. jaesaa keh kaha jataa hai keh shaae'iree ke liye chaar cheeZeeN bohot Z^arooree haiN. 1, mut^aale'ah,2, mushaahidah, 3, muraaqibah, aor 4, mujaahidah. maiN yeh naheeN keh saktaa keh aap kaa dam,an is Jumlah aoSaaf se tahee hai. bafaZ^l-e-khuda aap in jumlah aoSaaf-e-Z^aruriyah se kamah Haqqah hu faeZ^ yaab haiN. aor baRee barQ raftaaree se aap apnaa irteqaaee safar-e-sukhan t^aeY kar rahe haiN. meree mukhliSanah dua'aeeN aap ke shaamil-e-haal raheeN gee. aor woh din door naheeN jab aap aek manjhe huwe shaae'ier aor naqqaad kee Haiciyat se manaSSah-e-shahood par jalwah afrooz hooN ge.

1. zakhm e dil jab kabhi ayaaN hoN ge
aap kyooN kar na shaadmaaN hoN ge

Waah!

2. phir baghawat koi janam lay gi
ahl e dil jab bhi ham zubaaN hoN g

Waah!

(Q)

3. jaam phir se uchhaly jaa-eN ge
dost sab hi baraajamaN hoN ge

aaj ki raat daikhna hai hameN
"aap kes kes pe mehrabaaN hoN ge"

Kiyaa kehne!

(Q)

4. aik lazzat hai hijr meN un ke
waSl meN ye mazay kahaaN hoN ge

waSl ke b'aad par unheN hai umeed
apne kuch aor hi bayaaN hoN ge.

Waah!

(Q)

5. Zab^t kitna kareN ge maire Huzaoor
aik din aap khastaa jaaN hoN ge

jinta rokeN ge aap askhoN ko
utnaa hi aor ye rawaaN hoN ge

Bohot khoob! waah! Waah!

6. rok leN na kaheeN tumheN :khawar:
raah meN kayee saaibaaN hoN ge.

maZ^moon bohot achchaa hai. aor az khud mat^lab khez hai. lekin dusra miSra' beHer meN nah aasakaa.
do aek SurateeN pesh-e-khidmat haiN.

laakh rahooN meN saae'baaN hooN ge!

yaa

dhoop meN ThanDe saae'baaN hooN ge!

yaa

jaa bajaa reh meN saae'baaN hooN ge!

meree janib se is khubSurat koshish par dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye!
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
[/align]
Post Reply