sabki khidmat meiN salaam
Aik nazm baa Unwaan-e-Hayaa pesh-ekhidmatt . aap ki araa kaa intezaar rehay gaa.
wassalm
1-
Hayaa Husan hai Hayaa zeenat hai --------- pinhaaN es main hi iSmatt hai
2-
Haya momin ki rooh gunaah sae dhaal -------- Hayaa paighmberi treeqat hai
3-
Hayaa ImaN kaa juzv diloN kaa noor ------- Hayaa Ain qareen-e-fitrat hai
4-
Hayaa aurat meiN aur dilkash hai -------- Hayaa tau zind'gee ki lazzat hai
5-
be- Hayaaee men kuch kashish hi nahiN -------- aur Hayaa bohat khoobsurat hai
6-
jisnae choReee hayaa woh kuch bhi kerae ------- yehi fermaan-e-Aali HaZrat hai
7-
Gherz insaan ki nijaat Hayaa ------------- Yehi insaaN ki aS'l Azmatt hai
8-
be hayaaee meN Hadd sae beRh ker aaj -------- bhoolaa maghrib keh jo Haqeeqat hai
9-
nah hi rishtoN meN yaaN taqaddus hai ------- ik ajab digr gooN si Haalat hai
10-
kaash haaSil kerein yeh kuch Ibrat ----------- keh yeh aacaar-e-qurbe-e-"saa'At" hai
11-
ghulaami-e-nafs naam aazadi ???? --------- alamaaN!! almaaN !!! qayaamat hai
12-
be-Hayaaee Khudaa ki l'Anat hai --------- aur Hayaa goyaa ikk Ibaadat hai
Hayaa
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
Hayaa
- Attachments
-
- Hayaa2.JPG (64.46 KiB) Viewed 222 times
Last edited by tahira Masood on Tue Feb 15, 2005 4:01 pm, edited 1 time in total.
live and let live
-
- -
- Posts: 136
- Joined: Sun Dec 12, 2004 5:21 am
Re: Hayaa
tahira Masood wrote:sabki khidmat meiN salaam
Aik nazm baa Unwaan-e-Hayaa pesh-ekhidmatt . aap ki araa kaa intezaar rehay gaa.
wassalm
W salaam,
Tahira baaji yeh aapki nazm kahaan hai mujhe to nazer nahin aarahi kahin
RISK IS MY BUSINESS
DANGER IS MY GAME
DONT PLAY WITH ME
BCOZ KHURRAM IS MY NAME
DANGER IS MY GAME
DONT PLAY WITH ME
BCOZ KHURRAM IS MY NAME
Azeezi Tahira sis,
Aadaaaaaaaaaaaab,
wah dear sis wah kyaa takhayul hai, ham tu fida ho gaye ke "Hayaa" mera most pasandeeda subject hai.
Tum please roman meN bhi type kiyaa karo ke at least mujhe apne most pasandeeda ashaar quote karne meN aasaani ho.
baherHaal ek jaandaaar aur kamiyaab takhayul kee takhleeq per meree janib se daad qubool keejiye.
khair andesh
ur sis
Aadaaaaaaaaaaaab,
wah dear sis wah kyaa takhayul hai, ham tu fida ho gaye ke "Hayaa" mera most pasandeeda subject hai.
Tum please roman meN bhi type kiyaa karo ke at least mujhe apne most pasandeeda ashaar quote karne meN aasaani ho.
baherHaal ek jaandaaar aur kamiyaab takhayul kee takhleeq per meree janib se daad qubool keejiye.
khair andesh
ur sis
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
-
- -
- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm