taazah kalaam

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

taazah kalaam

Post by tahira Masood »

Hazreen-e-meHfil ko salaam

aik terHi misr'ae per manderjah zail takhayyulaat mozoN huay haiN

ummeed hai keh aap sabko samajh aur pasand aaeiN ge Inshallah

apni aara se zaroor nawaaziye gaa

wassalam


watan-e-Aziz ki ghurbat aur Haalat k naam

taalib-e-khair be keraaN hoNge
"aap kis kis peh mehrbaaN honge?"

jis qader bhi chupaao naik amal
aur maathay peh wo AyaaN hoNge

jinke laashe giray dhmaakoN maiN
kin ghreoN k woh saaibaaN hoNge?

SeHn-e-gulshan huwaa shikaar-e-balaa
taair is maiN kayaa naghmaa khwaaN hoNge


hamaare leader aur Amrikaa

shaer ki teraH gher maiN dhaaReiN jo
saamne un k be zabaaN honge

Zulm seh ker bhi kuch nah ker paaeiN
kahiN ham se bhi be-amaaN hoNge

ger yeh Haalat rehi m'aaz Allah!
jald ham laug daastaaN hoNge


muslimo! kab Zameer jaage gaa?
kab Haqeeqat maiN musalmaaN hoNge


Amrika k Hawaale se

jis qader ham ghireiN masaaib maiN
woh tau utne hi shaadmaaN hoNge

zindagi yeh hamaiN bataa tau sahi
aur kitne yeh imteHaan hoNge



aik aur rang...

wo jau guzereiN teri maA'iyyat maiN
wohi lamHe tau Hirz-e-jaaN hoNge

waqt k saath kon jaane ay daust
tum kehaN aur ham kehaaN honge

laug achee hi baat socheiN ge
Zikr apne jehaaN jehaaN honge /nice

shakk kaa paudah bane gaa aik shajar
raabte ger nah dermiyaaN honge

unki fitrat hai jitnaa samjhaao
aur woh ham se badgumaaN honge


Image
Last edited by tahira Masood on Wed Oct 10, 2007 1:17 pm, edited 1 time in total.
live and let live

Image
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtarmah Tahirah masa'ood SaaHibah aadaab!

Agarcheh dusre mahafil meN bhee aap kaa yeh tazah kalam dekhaa thaa aor mastafeed ho chukaa hooN. isee yahaaN a't^aa karne ke liye aap kaa mamnoon hooN.

aap kaa andaaz-e-bayaN dilkash aor aap ke baaZ^ameer hone kee khulee daleel hai. sachchaee ko sab ke saamne pesh jurra'at aor jawaaN mardee se pesh karnaa baa himmar logooN kaa hee HiSSah raha hai. aap ne is rawayat ko khoob nibhayaa hai. aor taa eeN dam nibhaa rahee haiN.

meree dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye!
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Post by tahira Masood »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtarmah Tahirah masa'ood SaaHibah aadaab!

Agarcheh dusre mahafil meN bhee aap kaa yeh tazah kalam dekhaa thaa aor mastafeed ho chukaa hooN. isee yahaaN a't^aa karne ke liye aap kaa mamnoon hooN.

aap kaa andaaz-e-bayaN dilkash aor aap ke baaZ^ameer hone kee khulee daleel hai. sachchaee ko sab ke saamne pesh jurra'at aor jawaaN mardee se pesh karnaa baa himmar logooN kaa hee HiSSah raha hai. aap ne is rawayat ko khoob nibhayaa hai. aor taa eeN dam nibhaa rahee haiN.

meree dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye!
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
aap itne khuloss se uaSlah afza'ee karte haiN keh saeroN khoon baRh jaata hai

sadaa khush rehaiN :rose :rose :rose
live and let live

Image
muzafarmohsin
-
-
Posts: 11
Joined: Sun Sep 16, 2007 9:06 am
Location: Shehar.LAHORE
Contact:

Post by muzafarmohsin »

yeh sab tobohat achaa ha....welldone
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Post by tahira Masood »

muzafarm ohsin wrote:yeh sab tobohat achaa ha....welldone
:grin: shukeriyah keh aap ko yeh apsand aaya
live and let live

Image
Post Reply