Tazah Ghazal radeef "likh rakheeN ge ham"

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Tazah Ghazal radeef "likh rakheeN ge ham"

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]Yaaraan-e-meHfil aadaab!

khaadim ne chand rooz qabl t^arH meN chand she'er kahe the. aap kee tawajjah kee moHtaaj haiN. mujhe to is t^arH meN she'er keh kar bohot lut^f aayaa hai. mujhe ummeed hai keh aap sab dost bhee t^aia'at par mazeed Zaor dete huwe apne asha'aar se mustafeed hone kaa maoqa' faraham kareeN ge. Ghazal mulaHiZ^ah farmaiye.


Ghazal

uThtaa naheeN hai dast-e-dua'aa likh rakheeN ge ham
bh~ule huwe haiN naam-e-khuda likh rakheeN ge ham!


Woh dostee ke naam peh deta rahaa fareb!
makr-o-dajal banaam-e-wafaa likh rakheeN ge ham!


maraa hai aesaa teer-e-naz^ar dil peh Yaar ne
hotaa naheeN hai dil se judaa likh rakheeN ge ham!


TooTee haiN raah-e-shaoQ meN sar par QeyamateeN
dil par tamaam Joor-o-jafaa likh rakheeN ge ham!


Kaese kareeN ise Qalam andaaZ ham faQeer
koche meN tere dee hai Sadaa likh rakheeN ge ham!


itnaa to raaZ dil peh khula a'rZ^-e-Haal se
tum ko naheeN hai khaof-e-khudaa likh rakheeN ge ham!


Yaarab hamare khemah-e-hastee kee khaer ho
aesee chalee hai baad-e-Sabaa likh rakheeN ge ham!


Ghar kaa soraaGh hai nah Wat^an kee khabar mujhe
Yaad aageya to apna pataa likh rakheeN ge ham!


pal meN jala ke rakh diya aQleem-e-jaan ko
sho'lah saa SubH dam jo uThaa likh rakheeN ge ham!


laoH-e-jahaaN peh QiSSa ba u'nwaan-e-AarZu
"us kee jafaa aor apnee wafaa likh rakheeN ge ham"


tum dekhnaa Muzaffar-e-khastah jigar kaa Haal
ho kar rahe gaa tum peh fidaa likh rakheeN ge ham!

Muzaffar A Muzaffar

[/align]
Attachments
likh rakheeN ge ham!.jpg
likh rakheeN ge ham!.jpg (434.23 KiB) Viewed 101 times
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

sara_j wrote:wah wah! kya kehne...

Muzaffar sahib is kamyaab ghazal per dhair saari daad qubool keejiye.

sabhi ashaar bohat pasand , khaas kar #2 aur #4 tou bohat ziyada.

sara
Saara jee tasleemaat!

umeed hai kheriyat se hooN gee. kalam ko pasand farmane ke liye mamnoon hooN.
ummeed hai himmat baRhaatee raheeN gee.

khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
m.naeem.sameer
-
-
Posts: 52
Joined: Tue Sep 18, 2007 5:35 pm
Location: Keamari Karachi
Contact:

Re: Tazah Ghazal radeef "likh rakheeN ge ham"

Post by m.naeem.sameer »

uThtaa naheeN hai dast-e-dua'aa likh rakheeN ge ham
bh~ule huwe haiN naam-e-khuda likh rakheeN ge ham!



Muzaffar A Muzaffar

[/align][/font][/size][/color][/quote]


Muzaffar A Muzaffar SaaHib,
aadaab


aik ghair rivaa~iiti radeef maiN itni ach~chi Ghazal kahi hai aap ney. Allah aapkii SalaahiyatoN maiN mazeed izaafa karay. Aameen.


Tifl e maktab


SAMEER
Post Reply