welcome zahid
welcome zahid
aslaam_u_alikam
zahid is khusoorat bazm main khusamdeed :P
zahid is khusoorat bazm main khusamdeed :P
-
- -
- Posts: 37
- Joined: Sat Feb 19, 2005 7:46 am
- Location: Darwesh e be zamaaN
- Contact:
Re: welcome zahid
Salaam,fatimah wrote:aslaam_u_alikam
zahid is khusoorat bazm main khusamdeed :P
bahot bahot shukriya Fatima :) khush rehiye
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
KHUSHAAMADED
[rainbow][h1]
Azeezi
ZAHID JAHAANGIR
Purkhuloos Tasleemaat, :)
Ham sab aapko aapki hii is meHfil meiN tah-e-dil se khushaamaded kehte heiN. MaiN apne shakhsi ta'assuraat bayaan karne se qaasir hooN lekin itnaa zaroor kahoongaa ke aapko yahaaN dekhkar be-had masarrat houi aur yooN mehsoos houaa ke jaise apne khaandan kaa koiee fard safar se waapus aayaa hou.
Ummeed kartaa hooN ke aap poori aazaadi se apne giraNqadr afkaar aur mashwiraoN se hameN navaazte rahenge.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
KHUSHAMDEED ZAHID JAHANGIR
[/h1][/rainbow]Azeezi
ZAHID JAHAANGIR
Purkhuloos Tasleemaat, :)
Ham sab aapko aapki hii is meHfil meiN tah-e-dil se khushaamaded kehte heiN. MaiN apne shakhsi ta'assuraat bayaan karne se qaasir hooN lekin itnaa zaroor kahoongaa ke aapko yahaaN dekhkar be-had masarrat houi aur yooN mehsoos houaa ke jaise apne khaandan kaa koiee fard safar se waapus aayaa hou.
Ummeed kartaa hooN ke aap poori aazaadi se apne giraNqadr afkaar aur mashwiraoN se hameN navaazte rahenge.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Last edited by Abdullah Nazir on Tue Feb 22, 2005 7:57 pm, edited 1 time in total.
-
- -
- Posts: 136
- Joined: Sun Dec 12, 2004 5:21 am
Bradarum Zahid Jahangheer saaHeb:
Aadaaab-o-tasleemaaaaaat
iss khoobsoorat bazm meN aap ka ta'e dil se istiqbaal kartee hooN. bohat khushi ho rahi hai ke urdustan kee bahareN iss bazm ki rounaqeN baRha rahee heN. :)
Umeed kartee hooN ke aap apnee takhleeqi salahiyatooN se iss bazm ko bhi roushani bakhsheNge.
Wassalam
Zahida Raees :Raji:

Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
-
- -
- Posts: 37
- Joined: Sat Feb 19, 2005 7:46 am
- Location: Darwesh e be zamaaN
- Contact:
Aadab,sara_j wrote:[rainbow][h1]KHUSHAMDEED ZAHID[/rainbow][/h1]
Zahid aapka urdubandhan per dil ki gehraaiyon se isteqbaal hai. aapko yehan dekh ker main kis qadr khush hui iska andazah aap nahi lagasakte.
umeed ke aapko ye mehfil pasand ayegi aur aap yehan apne zarrine kahyalaat ka izhar karenge aur humein apni taqleeqaat se mustafed houne ka mauqa ata fermayenge.
Sara jee iss izzat afzayi ke liye main teh e dil se mashkoor hooN.....hamaare darmiyan hamesha se hi aik khaloos ka rishta qaayem raha hai aur insha~Allah hamesha qaayem rehe ga.bahot bahot shukriya sara jee.
-
- -
- Posts: 37
- Joined: Sat Feb 19, 2005 7:46 am
- Location: Darwesh e be zamaaN
- Contact:
-
- -
- Posts: 37
- Joined: Sat Feb 19, 2005 7:46 am
- Location: Darwesh e be zamaaN
- Contact:
Re: KHUSHAAMADED
Mohtram Nazir saheb Aadab,WEBMASTER wrote:[rainbow][h1]KHUSHAMDEED ZAHID JAHANGIR[/h1][/rainbow]
Azeezi
ZAHID JAHAANGIR
Purkhuloos Tasleemaat, :)
Ham sab aapko aapki hii is meHfil meiN tah-e-dil se khushaamaded kehte heiN. MaiN apne shakhsi ta'assuraat bayaan karne se qaasir hooN lekin itnaa zaroor kahoongaa ke aapko yahaaN dekhkar be-had masarrat houi aur yooN mehsoos houaa ke jaise apne khaandan kaa koiee fard safar se waapus aayaa hou.
Ummeed kartaa hooN ke aap poori aazaadi se apne giraNqadr afkaar aur mashwiraoN se hameN navaazte rahenge.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Meri iss bazm mein aane ki waja bhi aap hi haiN.....bakhuda aap ke saath mera ruhani tahaluq khooni rishtoN se baRh kar muqadas hai.....aap ki taraf se masalsal shafqat muje aap ke qareeb se qareeb tar kiye jati hai jisse Main apni khush naseebi samajhta hooN.Bass Allah Rubul Izzat se har pal yehi dua hai ke Main aap ki mohabbatoN ka qarz kisi tarah ada kar sakoN.
Nazir saheb be had shukriya.....Allah aap ko hamesha khush rakhe ameen.
-
- -
- Posts: 37
- Joined: Sat Feb 19, 2005 7:46 am
- Location: Darwesh e be zamaaN
- Contact:
-
- -
- Posts: 37
- Joined: Sat Feb 19, 2005 7:46 am
- Location: Darwesh e be zamaaN
- Contact:
-
- -
- Posts: 37
- Joined: Sat Feb 19, 2005 7:46 am
- Location: Darwesh e be zamaaN
- Contact:
Aadab,Raji wrote:Bradarum Zahid Jahangheer saaHeb:
Aadaaab-o-tasleemaaaaaat
iss khoobsoorat bazm meN aap ka ta'e dil se istiqbaal kartee hooN. bohat khushi ho rahi hai ke urdustan kee bahareN iss bazm ki rounaqeN baRha rahee heN. :)
Umeed kartee hooN ke aap apnee takhleeqi salahiyatooN se iss bazm ko bhi roushani bakhsheNge.
Wassalam
Zahida Raees :Raji:
Raji behn.....behneN bhaiyoN ko dekh kar issi tarah hi khush howa karti haiN aur bhayi behnoN ka maan hote haiN.....dua karen ke yeh naatwan bhayi apni behn Raji ka maan ban sake.
shukriya......khush rehiye.
- Naveed_Ahmad_Naveed
- -
- Posts: 68
- Joined: Thu Dec 09, 2004 6:46 am
- Location: Pakistan
- Contact:
-
- -
- Posts: 37
- Joined: Sat Feb 19, 2005 7:46 am
- Location: Darwesh e be zamaaN
- Contact:
W.Salaam,Naveed_Ahmad_Naveed wrote:Slaam Zahid saaHib.
aap ko is dilkash bazm meiN dekh kar inthai khushi ho rahi hai aap ka purjosh khair maqdam hai.
umeed hai aap yahaN bi fu'aal kirdaar ada kareiN ge.
Naveed bhayi be had shukriya.....mujhe aap ke naam ke saath Moderater ka title parh kar ba khuda bahot khushi ho rehi hai....bahot bahot mubarak ho.
shukriya