Guzarish #34

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Rehana.A
-
-
Posts: 76
Joined: Fri Dec 10, 2004 5:01 am
Contact:

Guzarish #34

Post by Rehana.A »


Aziz Dosto!

Umeed he aap sub khairiat se hoon gay .
Ghazal paish kar rahi hoon aap sub kee ra,ay aur mashweray ka intzaar rahey ga . :-)

[align=center]
Image
Ghazal

[align=justify]Ajeeran Zindgee kee,khud ko hairaan kar liya maien ne
kah jis Hazrat e naaSaH ko mahmaan kar liya maien ne

SaHan ke saaray gul booTay laga aa,ee hoon rastoon peh
"ye kis umeed par ghar ko bayaanbaan kar liya maien ne"

hansay nah ghair,jab daikhay woh aansoo meree aankhon mien
ye kah rakha he ghairo se charaghaan kar liya maien ne

undhairay jab baRhay gham ke jalaa ke yaad ki shamaa
asi ghamkhana e dil ko shabistaan kar liya maine ne

dil e wahshatzada se tang aa kar chooR dee Duniya
mataa.e azmat e aashiq ko arzaan kar liya maien ne

tumhaaree yaad mienruoaien to aankhaien gul khilaatee haien
khizaan ke duor mien aksar bahaaraan kar liya maien ne

gilaa karnay ki aadat to nah thi ,par rah nahien paa,ee
tumhaien Hairaan to khud ko bhi paraishaan kar liya maien ne

kitaab e dil khulee rakhi ka afsana paRhaien aashiq
yoon apni saaree hastee ko dabistaan kar liya maien ne

woh mere dil ke rastoon se guzartay rehtay haien :Janaan:
so apnay dil ke raston ko khayaabaan kar liya maien ne
[/align]
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]moHtarmah ReHanah AHmad JanaN SaaHibah tasleemaat! :-)

Awwal-ul-Zikr to mujhe aap kaa shukriyah ada karna hai. keh aap ne apnee intehaaee maSrufiyat aor naasaaZee-e-t^abi'at ke hote huwe bhee Urdubandhan ke rawaN mushae'rah meN shumuliyat ko yaqeenee banayaa aor aek intehaee khubSurat aor dilkash Ghazal bat^ao-r-tabarruk hadiya-e-Qaraee'n kee. meree dua'aa hai keh Allah aap ko shaad-o-aabaad rakhe aor aap yooN hee hamaree maHafil meN shaamil ho kar raonaq-e-meHfil kaa caabab caabet hooN. Aameen!

kalam meN nah Sirf hamah geeree kaa a'nSar puree aab-o-taab ke saath dikhaee detaa hai. balkeh agar baGhaor Ghazal ke asha'aar kaa mut^alea'ah kiya jae to ma'loom hotaa hai keh Ghazal meN nishaat^-e-rooH kaa bhee saamaan maojood hai. jo qaree ko aek a'jab kaef-o-mastee se hamkinaar kar detaa hai. qaree Ghaer sha'ooree t^aor par aek aesee mastee se hamkinaar ho jataa hai gaoyaa andaaZ-o-acaraat ke beHer-e-bekaraaN meN Ghot^ah zan ho jataa hai. aor ra'anaaee-e-kheyaal aor nukt^ah aafareenee ke seHer se khud ko aek lamHah ke liye bhee aazaad naheeN kar saktaa.

Ajeeran Zindgee kee,khud ko hairaan kar liya maien ne
kah jis Hazrat e naaSaH ko mahmaan kar liya maien ne

Bohot Khoob waah Waah!

SaHan ke saaray gul booTay laga aa,ee hoon rastoon peh
"ye kis umeed par ghar ko bayaanbaan kar liya maien ne"

Kiya kehne!

hansay nah ghair,jab daikhay woh aansoo meree aankhon mien
ye kah rakha he ghairo se charaghaan kar liya maien ne

Waah Waah!

undhairay jab baRhay gham ke jalaa ke yaad ki shamaa
asi ghamkhana e dil ko shabistaan kar liya maine ne

Kiya kehne waah waah!

dil e wahshatzada se tang aa kar chooR dee Duniya
mataa.e azmat e aashiq ko arzaan kar liya maien ne

Bohot khoob!

tumhaaree yaad mienruoaien to aankhaien gul khilaatee haien
khizaan ke duor mien aksar bahaaraan kar liya maien ne

Waah Waah!

gilaa karnay ki aadat to nah thi ,par rah nahien paa,ee
tumhaien Hairaan to khud ko bhi paraishaan kar liya maien ne

Waah!

kitaab e dil khulee rakhi ka afsana paRhaien aashiq
yoon apni saaree hastee ko dabistaan kar liya maien ne

Kiya kehne Waah!

woh mere dil ke rastoon se guzartay rehtay haien :Janaan:
so apnay dil ke raston ko khayaabaan kar liya maien ne

Kiya kehne Waah Waah Waah!

Is khubSurat Ghazal par meree janib se dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

[/align]
Post Reply