Ghazal: "aaneN baRe baRoN kii ..."

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
irfan abid
-
-
Posts: 98
Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am

Ghazal: "aaneN baRe baRoN kii ..."

Post by irfan abid »

aadaab, dosto!

ek Ghazal ba.rang-e-:Meer: Urdu shaairii ke be.taaj baadshaah ko Khiraaj-e-tahseen ke taur par pesh hai. mulaahiza farmaaiye aur apnii raae se navaaziye.

Ghazal

aaneN baRe baRoN kii Khatre meN DaaliyaaN haiN
kitnoN kii TopiyaaN ik dil ne uchhaaliyaaN haiN

qaail haiN, ai falak! ham kaarii.garii ke terii
kyaa kyaa qayaamateN ik saaNche meN DhaaliyaaN haiN!

puuchho na kaise kaise tuufaan uThe haiN dil meN
jab dekh kar nigaaheN us ne jhukaa liyaaN haiN

ab us ke dil meN kyaa hai, ham kis tarah bataayeN
arz-o-niyaaz us ne sab haNs ke TaaliyaaN haiN

ashkoN ne haal meraa sab khul ke kah sunaayaa
aur aap kii nigaaheN ab bhii savaaliyaaN haiN!

kyaa chaara.gar se kahiye, kyaa rog lag gayaa hai
ham ne kisii kii yaadeN seene meN paaliyaaN haiN

ai zeest! Dhang tere ham ko na raas aaye
do din kii aish-o-ishrat, phir Khasta.haaliyaaN haiN

sachchaa bane hai jhuuTaa, mujrim bane hai munsif
yaaN kii tamaam baateN, ai dil! niraaliyaaN haiN

:Abid: ne yaad taazah kii :Meer: kii kuchh aise
har lab pe vaah vaa hai, har samt taaliyaaN haiN

niyaazmand,
Irfan :Abid:
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Re: Ghazal: "aaneN baRe baRoN kii ..."

Post by Raji »

irfan abid wrote: aadaab, dosto!

ek Ghazal ba.rang-e-:Meer: Urdu shaairii ke be.taaj baadshaah ko Khiraaj-e-tahseen ke taur par pesh hai. mulaahiza farmaaiye aur apnii raae se navaaziye.


moHtaram janab-e-Irfan Abid
Aadaab

aap ka yeh kalaam hasb-e-mamool naya rang liye hove hai.


aaneN baRe baRoN kii Khatre meN DaaliyaaN haiN
kitnoN kii TopiyaaN ik dil ne uchhaaliyaaN haiN
nice thought


qaail haiN, ai falak! ham kaarii.garii ke terii
kyaa kyaa qayaamateN ik saaNche meN DhaaliyaaN haiN!
"ai falak????" ka matlab yahaaN samajh naheiN aaya

puuchho na kaise kaise tuufaan uThe haiN dil meN
jab dekh kar nigaaheN us ne jhukaa liyaaN haiN
wah


ab us ke dil meN kyaa hai, ham kis tarah bataayeN
arz-o-niyaaz us ne sab haNs ke TaaliyaaN haiN
bohat khoob


ashkoN ne haal meraa sab khul ke kah sunaayaa
aur aap kii nigaaheN ab bhii savaaliyaaN haiN!
:) nice

kyaa chaara.gar se kahiye, kyaa rog lag gayaa hai
ham ne kisii kii yaadeN seene meN paaliyaaN haiN
acha :) bohat khoob

ai zeest! Dhang tere ham ko na raas aaye
do din kii aish-o-ishrat, phir Khasta.haaliyaaN haiN
zabardaast special daad hazir hai :)

sachchaa bane hai jhuuTaa, mujrim bane hai munsif
yaaN kii tamaam baateN, ai dil! niraaliyaaN haiN
wah wah yeh bhi acha hai

:Abid: ne yaad taazah kii :Meer: kii kuchh aise
har lab pe vaah vaa hai, har samt taaliyaaN haiN

vaah vaah Abid saaHeb waqai meN aap ka yeh kalaam zameen-e-meer bhi bohat khoob hai. so hamaree janib se daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

Wassalam

Zahida Raees :Raji:


niyaazmand,
Irfan :Abid:
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaram Bhaayi
IRFAN ABID Saahib


Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal paRhkar bahut hii luTf aayaa. Yehi tou aek qaadir-ul-kalaam kaa maqaam hei.

Aap ne urdu ke ameer-ul-shuAaraa Meer Taqii Meer ke andaaz meiN jou yeh ghazal kahi hei bahut hii kamaal kii baat hei. Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

irfan abid
-
-
Posts: 98
Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am

Post by irfan abid »

Raji sahiba, aadaab!

maiN aap kaa behad shukr.guzaar huuN ki aap ne Ghazal par is qadar pasandeedagii kaa izhaar kiyaa. sher #2 meN maiN ne 'ai falak' kah kar dar.asl qudrat ko muKhaatib kiyaa hai.

niyaazmand,
Irfan :Abid:
irfan abid
-
-
Posts: 98
Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am

Post by irfan abid »

muhtaram Nazir Sb, aadaab!

aap ne ye adnaa kaavish pasand farmaa kar merii jo izzat.afzaaii kii hai, us ke liye maiN tah-e-dil se aap kaa manuun huuN. bahut bahut shukriya!

niyaazmand,
Irfan :Abid:
irfan abid
-
-
Posts: 98
Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am

Post by irfan abid »

Sara sahiba, aadaab!

aap bahut dinoN baad nazar aayiiN. ummeed hai mizaaj baKhair hoNge. Ghazal pasand farmaane kaa shukriya qubuul keejiye!

niyaazmand,
Irfan :Abid:
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

Assalam-o-a'laikum,

moHtarami Irfan Abid SaaHib, kaise haiN aap ?

mu'aaf kejeye zaraa bussy tha , is leye Haazir na hosaka :oops:

aap ki ye ghazal bhi Dil-o-jaaN ko choo k guzree , aur rooH tak ko sarshaar kar gayee , jo aap k kalaam ka khaaSSa hai , ab is k siwaa mujh jaisa jaahil aur kyaa keh saktaa hai :?

DheroN daad qabool kejeye !!

shukriya

mokhliS : Zia
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
irfan abid
-
-
Posts: 98
Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am

Post by irfan abid »

mukarramee Zia Sb, v'assalaam!

janaab, aap ne Ghazal pasand farmaayii to Khaaksaar kaa dil baaGh baaGh ho gayaa. :-) inaayat kaa bahut bahut shukriya!

niyaazmand,
Irfan :Abid:
nigaah
-
-
Posts: 44
Joined: Sun Jan 02, 2005 12:55 pm

Re: Ghazal: "aaneN baRe baRoN kii ..."

Post by nigaah »

irfan abid wrote:aadaab, dosto!

ek Ghazal ba.rang-e-:Meer: Urdu shaairii ke be.taaj baadshaah ko Khiraaj-e-tahseen ke taur par pesh hai. mulaahiza farmaaiye aur apnii raae se navaaziye.

Ghazal

aaneN baRe baRoN kii Khatre meN DaaliyaaN haiN
kitnoN kii TopiyaaN ik dil ne uchhaaliyaaN haiN

qaail haiN, ai falak! ham kaarii.garii ke terii
kyaa kyaa qayaamateN ik saaNche meN DhaaliyaaN haiN!

puuchho na kaise kaise tuufaan uThe haiN dil meN
jab dekh kar nigaaheN us ne jhukaa liyaaN haiN

ab us ke dil meN kyaa hai, ham kis tarah bataayeN
arz-o-niyaaz us ne sab haNs ke TaaliyaaN haiN

ashkoN ne haal meraa sab khul ke kah sunaayaa
aur aap kii nigaaheN ab bhii savaaliyaaN haiN!

kyaa chaara.gar se kahiye, kyaa rog lag gayaa hai
ham ne kisii kii yaadeN seene meN paaliyaaN haiN

ai zeest! Dhang tere ham ko na raas aaye
do din kii aish-o-ishrat, phir Khasta.haaliyaaN haiN

sachchaa bane hai jhuuTaa, mujrim bane hai munsif
yaaN kii tamaam baateN, ai dil! niraaliyaaN haiN

:Abid: ne yaad taazah kii :Meer: kii kuchh aise
har lab pe vaah vaa hai, har samt taaliyaaN haiN

niyaazmand,
Irfan :Abid:
Irfan Abid Sahab

aap ki suKhanwari ke tou ham qaail hain hi....lekin Shehenshaah-e-TaGhazzul ke raNg maiN Ghazal kehna....aur wo bhi itni Khoobi say ...bila shubaa bohut muKhtalif baat hai.... jis tarah Mehdi Hasan sahab ya Nusrat Fateh Sahab ki gaai hui Ghazal kisi aur ki aawaz maiN mushkil hi say achi lagti hai...isi tarah ye bhi ek amr-e-muhaal hai.....jisay aap nay umdagi say nibhaaya...

meri jaanib say bohut si daad aur mubaarakbaad qubool kijye....

Nigaah
irfan abid
-
-
Posts: 98
Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am

Post by irfan abid »

nigaah sahiba, aadaab!

baRe dinoN baad mulaaqaat huii. ummeed hai mizaaj bakhair hoNge. aap ne Ghazal pasand farmaayii, ye jaan kar intihaayii masarrat huii. navaazish kaa shukriya qubuul keejiye!

niyaazmand,
Irfan :Abid:
Post Reply