Page 1 of 1

Posted: Sat Dec 08, 2007 1:34 am
by Afzaal Naveed
Sara Ji,
Aap ki adabi wabastagi aur mehnat ka qaail ho gaya hoon. Bohot shukriya.
Dosto,
Lafz Muashqi nahin he balke "Muashqae" (Bohot sare ishq) he. My mistake. aur lafz "soojhta" hae. Yeh zara si wazahat karni thi.
Salaa-e-aam he yaran-e-nukta daan ke liye.
Regards
Afzaal
http://www.afzaalnaveed.com

Posted: Sun Dec 09, 2007 9:03 pm
by waQaar
Afzaal SaaHeb,

aapnay girah bh~ii khoob lagaa,ii aur She'r bh~ii aCHh~aa nikaalay. daad qubool kee jiYay!

waQaar :)

Re: Na jaane kaise khabar hougayii zamaane ko...Afzaal Navee

Posted: Tue Dec 11, 2007 4:05 pm
by haamidbaaqri
sara_j wrote:ahl-e-mehfil ki khidmet men tasliimaat!

Assalaam o alaikum
azeezah sara saahbah


Moshaire ke mehmaan-e-khushoosi Mohtaram Afzaal Naveed sahib

ki ghazal pesh e khidmet hai.

'ata keejiye

[align=center]Image[/align]
mash allah bahut khoob afzaal naveed saahib..........

aapki is kaavish per hamaari daad qubool farmaayeN :rose

allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah

khoobsoorat image meiN mohtaram afzaal saahib ka kalaam hum tak pahunchaanaay ka bahut bbahut shukriya sara saahebah

jazakallah

haamid