[align=center]
Yaaraan-e-meHfil-e-Urdubandhan tasleemaat!
GuZashtah dinooN Sarwar A'alam Raz SaaHib kee Ghazal :Had se GuZra teree furqat meN shab-e-taar kaa lut^f: manaSSahe-e-shahood par aaee. aor garmee-e-meHfil kaa cabab banee. faqeer ko woh Ghazal dil-o-jaaN se pasand aaee thee. lehazah maiN Ghazal ko baar baar paRhtaa raha aor :lut^f: letaa raha. yahaaN tak keh saaree raat GuZar gaee aor (bilamubaalGhah) SubH ke 6:30AM ho gaeY. neend aaNkhooN se Ghaae'b ho chukee thee. kaef-o-mastee kaa a'aalam thaa. alqiSSah sone kee GharaZ^ se bistar par daraaZ huwaa hee thaa keh aamad shuru' ho gaee. aor barjastah mundarajah-e-zael asha'aar ho gaeY. jo aap SaaHibaan-e-shaoq kee khidmat meN pesh kar rahaa hooN.
Haashiyah: yeh Ghazal Sarwar A'alam Raz SaaHib kee nazar kar rahaa hooN. Sarwar SaaHib se Guzaarish hai keh yeh hadiyah-e-khulooS qubool farmaa kar mamnoon farmaeeN.
Ghazal
Nazr Sarwar A'alam Raz Sarwar
1,
Koee kiyaa jaaneY tireY shua'lah rukhsaar kaa lut^f
saoZish-e-Zakhm-e-jigar jaZbah-e-sarshaar kaa lut^f!
2,
tham geyaa naalah mira hijr kee shab meN aakhir
miT geyaa khanjar-e-bedaad ke aaZaar kaa lut^f!
3,
jooN hee khulne laga kuch raaZ-e-t^ilism-e-hastee
aor baRhne lagaa andaaZ-e-fusooN kaar kaa lut^f!
4,
us ghaRee beY basee-e-dil peh bohot rotaa hooN
khaar bhee letaa hai jab goshah-e-dastaar kaa lut^f!
5,
meree Qeemat nah lagaao abhee aeY kam naz^araaN
kuch to leene do mujheY garmee-e-baaZaar kaa lut^f!
6,
shal nah hoteY jo mirey dasht-e-t^alab meN paaooN
kiyooN nah taa Hashr uThaataa bun-e-har khaar kaa lut^f!
7,
Aai'nah khaanah dil TooTeY huwe u'mr huwee
Aaj tak letaa hooN maiN sanG-e-GiraaN baar kaa lut^f!
8,
taa Qiyaamat mujheY laaHiq raheY beemaaree-e-dil
haaeY! poocheY to koee bistar-e-beemaar kaa lut^f!
9,
yeh bhee ea'jaaZ-e-muHabbat hai keh dil se nah geyaa
beY wafaa dost kaa Gham saaZish-e-aGhyaar kaa lut^f!
10,
naqd-e-jaaN dee hai yeh sab ehl-e-naz^ar jaante haiN
tab Muz^affar ne liya abru-e-khamdaar kaa lut^f!
Muzaffar A Muzaffar
[/align]
Koee kiyaa jaaneY tireY shua'lah rukhsaar kaa lut^f!
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
Koee kiyaa jaaneY tireY shua'lah rukhsaar kaa lut^f!
- Attachments
-
- shua'lah-e-rukhsaar kaa lut^f!.gif (275.17 KiB) Viewed 87 times
-
- -
- Posts: 52
- Joined: Tue Sep 18, 2007 5:35 pm
- Location: Keamari Karachi
- Contact:
Re: Koee kiyaa jaaneY tireY shua'lah rukhsaar kaa lut^f!
2,
tham geyaa naalah mira hijr kee shab meN aakhir
miT geyaa khanjar-e-bedaad ke aaZaar kaa lut^f!
3,
jooN hee khulne laga kuch raaZ-e-t^ilism-e-hastee
aor baRhne lagaa andaaZ-e-fusooN kaar kaa lut^f!
4,
us ghaRee beY basee-e-dil peh bohot rotaa hooN
khaar bhee letaa hai jab goshah-e-dastaar kaa lut^f!
5,
meree Qeemat nah lagaao abhee aeY kam naz^araaN
kuch to leene do mujheY garmee-e-baaZaar kaa lut^f!
7,
Aai'nah khaanah dil TooTeY huwe u'mr huwee
Aaj tak letaa hooN maiN sanG-e-GiraaN baar kaa lut^f!
8,
taa Qiyaamat mujheY laaHiq raheY beemaaree-e-dil
haaeY! poocheY to koee bistar-e-beemaar kaa lut^f!
moHtaram janaab muzaffar A muzaffar SaaHib.
aadaab.
bhaii wah.....wah wah... mazah aagaya. such toh yeh hai kay abtak maiN ney jitna bhi kalaam aapka paRha hai us maiN sub say ziyadah mujhey yeh Ghazal pasand aayii hai. aur yeh barjastah shair aap kii naZr.
teri taKhleeQ e murassa pe nazar jam si gayee
maiN uthaata raha shab bhar tere ashAar ka lutf.
wah. bharpoor daad HaaZir hai Qabool kijye. muntaKhib ashAar per toh Khaas to^r per daad Qabool kijye.
SAMEER

m.naeem.sameer wrote:2,

Biradaram Naeem Sameer SaaHib tasleemaat!
Aap kaa teh-e-dil se mamnoon hooN keh aap ne baRee khubSuratee se muHabbat aor she'er fehmee kaa cuboot dete huwe khaadim kee Ghazal ko pasand farmayaa aor dil khool kar daad-o-taoSeef ke gul nichaawar kiye. meree dua'aa hai keh Allah ta'la aap ko SeHat-o-salamatee se rakheY.
mujheY ummeed hai keh aap aae'indah bhee bandah ke kalam ko pasand farmate huwe isee khulooS-o-murawwat se himmat baRhate raheeN ge. maiN aap kaa bohot mamnoon hooN.
khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar