meri taza nazm..."Taj Mahal"

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

meri taza nazm..."Taj Mahal"

Post by jawaid badauni »

"Taj Mahal"


"Yamuna" ke kanare jo HaseeN Taj Mahal hai
lagta hai keh jaise kisee shayar ki Ghazal hai

devaaroN meN ik soz.e moHabbat sa nihaaN hai
yeh Taj kahaN aah.e dil.e “Shah JahaN” hai

hai Shaah ki rudaad nah malika ki kahani
yeh Taj hai dou ishq ke maroN ki nishani

is mulk ke jalwoN ka hai sartaj yehee Taj
har mulk ke sayyaHoN ki m’eraaj yehee Taj

jo dekhe isey aatish.e ulfat se woh jal jaye
paththar meN kashish aisee keh paththar bhi pighal jaye

duniya meN nah aisee koii devar na dar hai
yeh Taj nahiN m’ojzaa.e funn.o hunar hai

maGrib ki faza apne nazaaroN pe hai nazaaN
is Taj ki rAnaaii pe lekin hai woh HairaN

ai Taj tire Husn ke andaaz nirale
har samt se aate haiN tujhe dekhne waale

yakta hai tira Husn woh yakta hi rahega
tou ek Ajoobah hai Ajoobah hi rahega
------------------------------------------------


Jawaid Badauni



Image
Last edited by jawaid badauni on Mon Jan 28, 2008 10:35 am, edited 1 time in total.
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

sara_j wrote:Jawaid bhai tasliimaat!

Haseen "Taj" per likhi aapki haseen nazm paRhi aur

Taj ke haseen tasavvur mein kho gai , poori nazm

hi umda hai lekin khusoosi daad is per!


"devaaroN meN ik soz.e moHabbat sa nihaaN hai
yeh Taj kahaN aah.e dil.e “Shah JahaN” hai

hai Shaah ki rudaad nah malika ki kahani
yeh Taj hai dou ishq ke maroN ki nishani "


waah! bohat khoob!

forum ki raunaq barqaraar rakhne ke liye aapka tahe dil

se shukriya ada karti hoon.

mukhlis

sara

Azeezah Sara SaHibah
aadaab

ummid hai baKhairiyat pahooNch gayee hoNgee. Is baar Agra zaroor jaiyega aur saath meN meri nacheez nazm bhi letee jaiye. isey Taj ke samne baiThker paRhiyega bohat maza aayega. Lekin wahaN ka mausam bohat sard hai puri tayyari se jaaiyega.

mujhe fikr thee nah jane yeh nazm aap dekh sakeNgee ya nahiN. jumla forums per isey bohat pasaNd kiya gaya hai.

ummid hai tAteel ka pura maza le rahee hoNgi. aapke tamam aaizaa' KhuSoosan aap ki walidah ki Khidmat meN mera aadaab.

Doago,
Jawaid
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Biradaram Jawaid SaaHib tasleemaat!

Aap kee dilkash aor dilpaZeer nazm "Taj maHal" dekhee. qabl is se maqbool shaae'ir SaaHir Ludhyanawi marHoom kee isee maoZ^o' par nazm bhee ka'ee baar dekhee hai. donooN naz^meeN apnee micaal aap haiN. kheyaal kee upaj aor qaadir-ul-kalamee donooN meN khoob numay'yaaN ho gaee hai.

Aap ne Saara jee ko khoob mashwarah diya hai keh woh Taaj mahal ke saamne baeTh kar yeh paRheeN.........agar maiN India geya hota to aesaa Z^aroor kartaa lekin apnee aesee qismat kahaN.

meree jaanib se is khubSurat aor muraSSa' koshish par dilee daad qubool keejiye.

"Yamuna" ke kanare jo HaseeN Taj Mahal hai
lagta hai keh jaise kisee shayar ki Ghazal hai

Waah! Waah!

devaaroN meN ik soz.e moHabbat sa nihaaN hai
yeh Taj kahaN aah.e dil.e “Shah JahaN” hai

Kiya kehne!

hai Shaah ki rudaad nah malika ki kahani
yeh Taj hai dou ishq ke maroN ki nishani

Waah!

is mulk ke jalwoN ka hai sartaj yehee Taj
har mulk ke sayyaHoN ki m’eraaj yehee Taj

Waah!

jo dekhe isey aatish.e ulfat se woh jal jaye
paththar meN kashish aisee keh paththar bhi pighal jaye

Kiya kehne Waah Waa!

duniya meN nah aisee koii devar na dar hai
yeh Taj nahiN m’ojzaa.e funn.o hunar hai

Bohot khoob Waah Waah!

maGrib ki faza apne nazaaroN pe hai nazaaN
is Taj ki rAnaaii pe lekin hai woh HairaN

Bohot khoob!

ai Taj tire Husn ke andaaz nirale
har samt se aate haiN tujhe dekhne waale

Bohot khoob!

yakta hai tira Husn woh yakta hi rahega
tou ek Ajoobah hai Ajoobah hi rahega

Waah Waah!

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Biradaram Jawaid SaaHib tasleemaat!

Aap kee dilkash aor dilpaZeer nazm "Taj maHal" dekhee. qabl is se maqbool shaae'ir SaaHir Ludhyanawi marHoom kee isee maoZ^o' par nazm bhee ka'ee baar dekhee hai. donooN naz^meeN apnee micaal aap haiN. kheyaal kee upaj aor qaadir-ul-kalamee donooN meN khoob numay'yaaN ho gaee hai.

Aap ne Saara jee ko khoob mashwarah diya hai keh woh Taaj mahal ke saamne baeTh kar yeh paRheeN.........agar maiN India geya hota to aesaa Z^aroor kartaa lekin apnee aesee qismat kahaN.

meree jaanib se is khubSurat aor muraSSa' koshish par dilee daad qubool keejiye.

"Yamuna" ke kanare jo HaseeN Taj Mahal hai
lagta hai keh jaise kisee shayar ki Ghazal hai

Waah! Waah!

devaaroN meN ik soz.e moHabbat sa nihaaN hai
yeh Taj kahaN aah.e dil.e “Shah JahaN” hai

Kiya kehne!

hai Shaah ki rudaad nah malika ki kahani
yeh Taj hai dou ishq ke maroN ki nishani

Waah!

is mulk ke jalwoN ka hai sartaj yehee Taj
har mulk ke sayyaHoN ki m’eraaj yehee Taj

Waah!

jo dekhe isey aatish.e ulfat se woh jal jaye
paththar meN kashish aisee keh paththar bhi pighal jaye

Kiya kehne Waah Waa!

duniya meN nah aisee koii devar na dar hai
yeh Taj nahiN m’ojzaa.e funn.o hunar hai

Bohot khoob Waah Waah!

maGrib ki faza apne nazaaroN pe hai nazaaN
is Taj ki rAnaaii pe lekin hai woh HairaN

Bohot khoob!

ai Taj tire Husn ke andaaz nirale
har samt se aate haiN tujhe dekhne waale

Bohot khoob!

yakta hai tira Husn woh yakta hi rahega
tou ek Ajoobah hai Ajoobah hi rahega

Waah Waah!

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

azeezi wa moHibbee Muzaffar Sb.,
aadaab.o.tasleemaat

meri ek qadrdaaN moHtarma Dr. Tayyaba Qidwai SaHibag jo Muscat meN hi rahtee haiN mujh se yeh farmaaiish ki thee keh maiN Taj Mahal per nazm kahoN. yeh koii mukamal nazm tou nahiN hai haaN chuNd ashAAr Shah JahaN ke jazbaat ko peshnazar rakhte huuwe kah diya haiN. mujhe Khud Hairat hai tamam forums meN is nazm ko meri tawaqqo se ziyadah pazeeraayee milee hai.

Aaap ki daad hamesha ki tarah baaYise masarrat hai. himmat afzaayee ke liye mamnoon hooN.

maiN jo muKhtaSar ghazaleN aur nazmeN kahta hooN uska ek sabab yeh bhi hai keh maiN chaahta hooN mera kaha log paRhen aur mujhe apni aara se nawazeN. ziyadah tafSeeli cheezeN maiN Khud nahiN paRh pata hooN tou auroN se yeh tawaqqo kyuuNker karoN keh woh meri taweel taKhaliq ko paRhnge.

ek baar phir aap ka shukriya.

aapka muKhliS
Jawaid Badauni
Post Reply