meri saadaa see ghazal Sara Bahan ki nazr................

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

meri saadaa see ghazal Sara Bahan ki nazr................

Post by jawaid badauni »

dosto! aadaab

ek muKhtaSar see ghazal Haazir.e Khidmat hai. mujhe apni beshumaar ghazaloN men yeh bohat pasaNd hai. Is ghazal ko maiN apni pasandedah bahan Sara SaHibah ki nazr kar raha hooN.

aap sub ki aara ka muntazir,

Jawaid Badauni



:Ghazal:


har gaam peh ik Taajmahal dekh raha hooN
maiN aaj ke aaiine meN kal dekh raha haooN


maiN apni wafaoN ka badal dekh raha hooN
chhup chhup ke tira radde amal dekh raha hooN


Darta hooN keh khuwaaboN ka mahal TooT nah jaaye
peshaani-e taqdeer peh bal dekh raha hooN


pyasa to azal se hooN magar haath baNdhe haiN
aur samne bahta howa jal dekh raha hooN


yeh Khuwwaab meN doobi hoii mad`hosh see aaNkheN
lagta hai keh jaise maiN kaNwal dekh raha hooN


:Jawaid: koii she’r kahiN rooTh nah jaay!
tanqeed ke sheeshe meN ghazal dekh raha hooN



jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Bohat bohat shukriya Sara Bahan.

HaaN yeh Ghazal bohat pahle kahi thee magar jaisa keh pahle bhi Arz kar chuka hooN meri pasandeedah GhazaloN men se ek hai.

Khoosh raheN!

MuKhliS

Jawaid
Post Reply