Page 1 of 1

t^arHee miSra' GuZarish#38 pesh-e-khidmat hai.

Posted: Sun Mar 02, 2008 2:32 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]Yaaraan-e-meHfil aadaab-o-tasleemaat!

GuZarish#38 mah-e-rawaN maarch 2008 ke liye t^arHee miSra' pesh-e-khidmat hai. jise kalam-e-A'bdul Hameed A'dam se muntakhib kiya geya hai. ummeed hai pasand farmaeeN geY.

:rose "SharabeeN tiree baadah khaneY tireY" :rose


Sadr-e-mushae'rah A'bdullah Nazir SaaHib.

beHer= iseY beHer-e-mutaqarib musaddis meHZoof kehte haiN. jaesa keh hameeN e'lm hai. keh yeh beHer-e-mutaqaarib kee aaTh rukanee shakl hai. jis meN HaZaf ke a'mal ke zaria'eY :fa oo'lun: meN se :lun: nikaal liya jata hai. aor bacheY huweY HiSSah (fa oo') ko :fa e'l: se badal dete haiN.

Quwaafi=bahneY, ThikaaneY, jalaneY, taraneY, fasaaneY WaGhaerah.

radeef=:tireY:


afae'il= fa oo'lun...........fa oo'lun........fa oo'lun.......fa e'l
=//0/0............//0/0.............//0/0.........//0
=122...........122.................122...........12


eHbaab se darkhuwaast hai keh diye gaeY miSra' par t^aba' aaZma kar mamnoon farmaeeN.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
[/align]

Tarhi ghazal #38 pa chhoTi see kawish lekar hazir hooN

Posted: Mon Mar 24, 2008 6:01 am
by Khurshidul Hasan Naiyer
haiN aabaad sab quaid khaane tere
yeh aaNkheN teri zulfo shaane tere

huye riNdo saaquee deewaane tere
"sharabeN teree baadah khaane tere"

yeh Aushwa yeh ghamza yen naazo adaa
loobhane ke haiN sab bahaane tere

bichhe jaate haiN Taere Ishque khood
KhaTa kaise hote nishaane tere

Ghazal maiN paDhooNga to yaad aayeNge
jawaani keh sapne suhaane tere

nah hotaa mere Gham kaa gar taZkirah
nah mashoor hote fasaane tere

wahee snag saari meN shamil huye
jo apne the Naiyer begaane tere

Khurshidul Hasan Naiyer