Page 1 of 1
AAP BHI MUJH PE TOHMAT LAGANE LAGE!
Posted: Tue Feb 22, 2005 10:27 am
by Shummu
Re: AAP BHI MUJH PE TOHMAT LAGANE LAGE!
Posted: Tue Feb 22, 2005 1:54 pm
by Hashmat Usmani
Re: AAP BHI MUJH PE TOHMAT LAGANE LAGE!
Posted: Tue Feb 22, 2005 1:57 pm
by naheedv
shummu wrote:Salaam ahl-e-bazm...Guzaarish#43 ke tehet diye gaye misre pe kuch likhne ki koshish ki hai...I hope maine radeef ko sahi se baandhaa hai...agar koi ghalti hui to plz mujhe zaroor bataaiyega...Shukriya :)
dheere dheere nazar se giraane lage
'Aap bhi mujh pe tohmat lagaane lage'
fikr not, unheen kaa nuqsaan hai :)
kaun si baat hai jo chupaane lage?
aap kyoN hum se nazreiN churaane lage?!
ya'nee "chor kee daRhee meiN tinkaa" :)
is tarah woh humeiN to jalaane lage
Ghair ki bazm meiN aane jaane lage!
arey naheeN ba'ee, voh jalaa thoRee rahe heiN, voh tau aap ko aazmaa rahe heiN ;)
jab se khaaboN meiN hum ghar basaane lage
log aa aa ke hum ko jagaane lage
tumhaaraa matlab "zaailm samaaj" :)
zindagii meiN ajab daur aane lage
hum raqeeboN se milne milaane lage!
bas bayee, ziNdagee meiN buhat kuch naa.chaahate huve bhee karnaa paRtaa hai, tum dil choTaa mat karo :)
haath mere ye kaise khazaane lage?!
log kyoN cheena jhapTi machaane lage?! 8O
jab line ghaTne lage tau bataanaa, "hum bhee line meiN aa jaa'eN ge" ;)
jab se karne lage unki taareef hum
nit naye pairahan mein woh aane lage
achaa hai isee tarah un ke kapRon ko havaa bhee lag ga'ee ho gee ;)
aap ke aane se gham ke baadal chaTe
chaand,taare sabhii muskuraane lage! :D
waah, lagtaa hai koee habs kaa mosam thaa jo ch`aT gyaa :)
hum ne ye kab kahaa deejiye hum ko jaaN?!
khwaamakhwaah aap baateiN banaane lage!
ya'nee "aNgoor kh`aTe heiN" :)
jab bhi chaahaa ke unse kaheiN haal-e-dil
muuh phiraa ke woh mehfil se jaane lage! :x
kam.zaraf log aisaa hi karte heiN :)
aalam-e-yaas ne jab bhi gheraa humeiN
aas ki jyot hum to jalaane lage! :D
good sipirit, keep it up :)
Aap ki aara ki muntazir,
Shumaila
Shumaila,
aaj 2 din ke ba'd forum par aanaa huvaa tau aap kee ye khobsoorat ghazal paRhne ko milee,
waaah, waaah ,
kyaa khoob be.laag ghazal irshaad kee hai.
mashaa'Allah aap tau matlo'N kee line hee khaRee kar deteeN heiN, koee khyaal kisee aur ke liye bhee choR diya karo ;)
mazaq bar.taraf, mujhe tumhaaree ye saadah aur shokh byaanee ke andaazd meiN kahee ga'ee ghazal buhat pasaNd aa'ee,
aur isey paRhte huve maiN apnee shokh.byaani kee rag par qaaboo na rakh sakee aur chaNd jule likh diye, ummeed karti hooN tum buraa naheeN maano gee :)
ab tau buhat ach`aa likhne lagee ho, allah kare zor-e-qalam aur zeyaadah!
mukhliS
Naheed
Re: AAP BHI MUJH PE TOHMAT LAGANE LAGE!
Posted: Wed Feb 23, 2005 1:16 pm
by Shummu
Maine jis jis bamz meiN ye ghazal post ki..waAllah logon ne dil khol ke saraaha ..shayad isliye bhi ke bahut halki phulki si thi...sab hanste rahe mera kalam paRhke lolz... mujhe aap ke bhi comments parhke bahuuuuuuuuuut achcha laga...enjoyed it....Thanx a lot for the daad and tehseen lolz :mrgreen:
Shumaila
Posted: Wed Feb 23, 2005 1:20 pm
by Shummu
naheedv wrote:shummu wrote:Salaam ahl-e-bazm...Guzaarish#43 ke tehet diye gaye misre pe kuch likhne ki koshish ki hai...I hope maine radeef ko sahi se baandhaa hai...agar koi ghalti hui to plz mujhe zaroor bataaiyega...Shukriya :)
dheere dheere nazar se giraane lage
'Aap bhi mujh pe tohmat lagaane lage'
fikr not, unheen kaa nuqsaan hai :)
lolz
kaun si baat hai jo chupaane lage?
aap kyoN hum se nazreiN churaane lage?!
ya'nee "chor kee daRhee meiN tinkaa" :)
bilkul
is tarah woh humeiN to jalaane lage
Ghair ki bazm meiN aane jaane lage!
arey naheeN ba'ee, voh jalaa thoRee rahe heiN, voh tau aap ko aazmaa rahe heiN ;)
achcha lolz lekin unki is harkat se hum jal ke raakh ho jaate haina..uska kya kiya jaaye
jab se khaaboN meiN hum ghar basaane lage
log aa aa ke hum ko jagaane lage
tumhaaraa matlab "zaailm samaaj" :)
han na ...wahan bhi chain se rehne nahi dete
zindagii meiN ajab daur aane lage
hum raqeeboN se milne milaane lage!
bas bayee, ziNdagee meiN buhat kuch naa.chaahate huve bhee karnaa paRtaa hai, tum dil choTaa mat karo :)
dilaasa dene ka shukriya
haath mere ye kaise khazaane lage?!
log kyoN cheena jhapTi machaane lage?! 8O
jab line ghaTne lage tau bataanaa, "hum bhee line meiN aa jaa'eN ge" ;)
aap bhi..hadh hai lolz
jab se karne lage unki taareef hum
nit naye pairahan mein woh aane lage
achaa hai isee tarah un ke kapRon ko havaa bhee lag ga'ee ho gee ;)
well said!
aap ke aane se gham ke baadal chaTe
chaand,taare sabhii muskuraane lage! :D
waah, lagtaa hai koee habs kaa mosam thaa jo ch`aT gyaa :)
han na...unki judaii mein habs ka hi mausam tha na ..samjhaa kareiN
hum ne ye kab kahaa deejiye hum ko jaaN?!
khwaamakhwaah aap baateiN banaane lage!
ya'nee "aNgoor kh`aTe heiN" :)
LOL
jab bhi chaahaa ke unse kaheiN haal-e-dil
muuh phiraa ke woh mehfil se jaane lage! :x
kam.zaraf log aisaa hi karte heiN :)
sahi kaha!
aalam-e-yaas ne jab bhi gheraa humeiN
aas ki jyot hum to jalaane lage! :D
good sipirit, keep it up :)
THANX :D
Aap ki aara ki muntazir,
Shumaila
Shumaila,
aaj 2 din ke ba'd forum par aanaa huvaa tau aap kee ye khobsoorat ghazal paRhne ko milee,
waaah, waaah ,
kyaa khoob be.laag ghazal irshaad kee hai.
mashaa'Allah aap tau matlo'N kee line hee khaRee kar deteeN heiN, koee khyaal kisee aur ke liye bhee choR diya karo ;)
mazaq bar.taraf, mujhe tumhaaree ye saadah aur shokh byaanee ke andaazd meiN kahee ga'ee ghazal buhat pasaNd aa'ee,
aur isey paRhte huve maiN apnee shokh.byaani kee rag par qaaboo na rakh sakee aur chaNd jule likh diye, ummeed karti hooN tum buraa naheeN maano gee :)
ab tau buhat ach`aa likhne lagee ho, allah kare zor-e-qalam aur zeyaadah!
mukhliS
Naheed
arey ye sab aap logon ki hausla afzaii ka nateeja hai warna main kis qaabil :D mujheeeeee bahut khushi hui ke aap ko mera kalaam is darjaa pasand aaya....har sher pe fardna fardan comments dene ka shukriya...i was laughing after reading ur comments..maine halki phulki hi ghazal likhi thi aur usi tarah ke halke phulke comments bhi expect karti hoon isliye buraa maanne ka sawaal hi paida nahi hota..I really enjoyed it!Shukriya bahut bahut NAHEED sis :rose
Shumaila
Aapki yeh TaraHi ghazal bhii khoob hei
Posted: Wed Feb 23, 2005 6:31 pm
by Abdullah Nazir
SHUMMU
Purkhuloos Tasleemaat,
Re:Ghazal guz.43.
Aapki yeh TaraHi ghazal paRhkar bahut khushi houi. Aap ne bahut achche ashAar nikaale heiN.
Hameshah kii TaraH sab se pahle yeh Arz kartaa chalooN ke aapka meri aaraa se muttafiq huunaa zaroori nahiN hei.
Meri raaye:
dheere dheere nazar se giraane lage
'Aap bhi mujh pe tohmat lagaane lage'
Gireh ke saath bahut khoobsoorat maTlaH hei. Bahut khoob.
kaun si baat hai jo chupaane lage?
aap kyoN hum se nazreiN churaane lage?!
Husn-e-MaTlaA bhii seedhi saadah zubaan meiN bahut hii khoob hei.
is tarah woh humeiN to jalaane lage
Ghair ki bazm meiN aane jaane lage!
Is maTleA meiN bhi bahut hii achcha andaaz-e-tagahazzul hei.
jab se khaaboN meiN hum ghar basaane lage
log aa aa ke hum ko jagaane lage
Yeh Husn-e-maTlaA bhii achcha hei.
zindagii meiN ajab daur aane lage
hum raqeeboN se milne milaane lage!
Yeh Husn-e-MaTlah bhii bahut khoob hei.
haath mere ye kaise khazaane lage?!
log kyoN cheena jhapTi machaane lage?!
Yeh maTlaA bhii khoob hei.
jab se karne lage unki taareef hum
nit naye pairahan mein woh aane lage
Kiyaa kehne Shummu, yeh sheAr bhii bahut pasand aayaa mujhe.
aap ke aane se gham ke baadal chaTe
chaand,taare sabhii muskuraane lage!
Waah waah, bahut hii khoob. Aap tou bahut hii achche ashAaar kehne lagi heiN. Mubarakbaad.
hum ne ye kab kahaa deejiye hum ko jaaN?!
khwaamakhwaah aap baateiN banaane lage!
Yeh sheAr bhii Theek hei.
jab bhi chaahaa ke unse kaheiN haal-e-dil
muuh phiraa ke woh mehfil se jaane lage!
Waah wah kiyaa taghazzul hei is sheAr meiN. Bahut hii khoob. Albattah agar muHaavirah "muNh phair ke" aasaktaa tou behtar houtaa.
aalam-e-yaas ne jab bhi gheraa humeiN
aas ki jyot hum to jalaane lage!
Bahut achchaa sheAr hei.
Mujhe aapki yeh ghazal behad pasand aayi, jiske liye meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aakhir meiN, aek kaam kii baat bataataa hooN. Aap hamaishah yeh koushish kareN ke aise alfaaz jaise "tou", "phir", "maiN", "too" "tum", waghairah kam se kam isteAmaal karne kii koushish kareN aur us jagah jahaN unke nah houne se sheAr ka mafhoom adaa nah housake.
Aapka Mukhlis,
Nazir.[/i]
Re: Aapki yeh TaraHi ghazal bhii khoob hei
Posted: Thu Feb 24, 2005 1:03 pm
by Shummu
Abdullah Nazir wrote:

Wow Nazir bhai.....aap ne to har sher pe alag se daad di...mujhe itni khushi hoti hai aap ki jaanib se daad paa kar ....bahut bahut shukriya poori ki poori ghazal ko dil khol ke saraahne ka..aap ne jo baateiN kahin inshaAllah un pe bhi ghaur karungi..aayenda koshish karungi magar woh kehte haina...dheere dheer hi insaan seekhta hai ummeed hai aayenda bhi hausla afzaii farmaate rahenge!
Shumaila
Posted: Thu Feb 24, 2005 1:05 pm
by Shummu
sara_j wrote:shumaila,
wah bhai wah! kya khoob ashaar likhe hain aap. bohat khoob!
dhair saari daad aur mubarakbaad qubool keejiye.
sara.
Mukhtasir hi sahi magar aap ki jaanib se daad paa ke bahuuuuuuuuuut khushi hui...thank u so much dear Sara jee...ho sake to meri woh ghazal bhi zaroor dekhiyega jo haal hi mein post ki thi "mukhtasir zindagi na ho jaaye"
Thanx for daad and mubarak baad
take care..!
Shumaila
Posted: Thu Feb 24, 2005 8:05 pm
by Anis Hasan
Mohtarma "Shumaila" aap ki ghazal buhat pasand aayee. Buhat hi saada aur dilkash andaz-e-bayan hai saray hi ashaar buhat umdah hain magar mujhay zaati taur par shair no.4 & 5 ziyada pasand aayay.
Posted: Fri Feb 25, 2005 3:27 pm
by Shummu
Anis Hasan wrote:Mohtarma "Shumaila" aap ki ghazal buhat pasand aayee. Buhat hi saada aur dilkash andaz-e-bayan hai saray hi ashaar buhat umdah hain magar mujhay zaati taur par shair no.4 & 5 ziyada pasand aayay.
Mohtaram "Anis" sahab..bahut bahut shukriya ghazla ko pasand karne ka aur daad se nawaazne ka
Shumaila
Posted: Sat Feb 26, 2005 9:13 am
by fatimah
Posted: Sun Feb 27, 2005 1:09 pm
by Shummu
w'salaam ...thank u sooooooo much FATIMA..ek ek karke har sher pe daad di tumne aur saath pyaare pyaare comments diye...main tumhari mamnoon hoon!waise tumne bhi khoob ghazal kahi hai is misre pe.... :)
Shumaila