guzarish 39 per meri sada see Ghazal..................

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

guzarish 39 per meri sada see Ghazal..................

Post by jawaid badauni »



bahaa hai roz tahzeeb.o.adab ka yooN lahoo barsoN
keh booRhi saas se laRtee rahee ghar meN bahoo barsoN


wohee batlayega kya cheez hai aazaar.e tanhayee
keh tanhayee men jis ne ki ho khud se guftagoo barsoN


zamana hi nahiN woh shaKhs bhi hai bekahabar mujh se
chupa ke dil meN rakhkhi jis basher ki justjoo barsoN


Yaqeenan hogee yeh turbat shaheed.e qaum.o.millat ki
wafaaye qaum ki is qabr se aayee hai boo barsoN


arey toba wohee mehroom hai bearish ki rehmat se
chala jo dhup meN paidal sahee thee jis ne loo barsoN


namaz.e ishq ki azmat wohee samjhe wohee jaane
kiya ho Khoon.e dil se jis namazee ne wozoo' barsoN


zara see wah waahee ke siva kya too ne paya hai
suKhan ki mashq jo karta raha :Jawaid: tou barsoN


aapki aara ka muntazir,

Jawaid Badauni
Muscat - Oman

User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Re: guzarish 39 per meri sada see Ghazal..................

Post by Shummu »

bahaa hai roz tahzeeb.o.adab ka yooN lahoo barsoN
keh booRhi saas se laRtee rahee ghar meN bahoo barsoN

wah wah bahut hi unique sher hai...!

wohee batlayega kya cheez hai aazaar.e tanhayee
keh tanhayee men jis ne ki ho khud se guftagoo barsoN

wahhhhhhhhhhhhhhhhh!!!!!!! is sher pe to dheron daad qubool karein..bahut bahut accha sher hai !!!!!

zamana hi nahiN woh shaKhs bhi hai bekahabar mujh se
chupa ke dil meN rakhkhi jis basher ki justjoo barsoN
wah..!
Yaqeenan hogee yeh turbat shaheed.e qaum.o.millat ki
wafaaye qaum ki is qabr se aayee hai boo barsoN
khoob..!
arey toba wohee mehroom hai bearish ki rehmat se
chala jo dhup meN paidal sahee thee jis ne loo barsoN
wah ek aur khoobsurat sher....
namaz.e ishq ki azmat wohee samjhe wohee jaane
kiya ho Khoon.e dil se jis namazee ne wozoo' barsoN
bahut khoob..!

zara see wah waahee ke siva kya too ne paya hai
suKhan ki mashq jo karta raha :Jawaid: tou barsoN
han na wah waaahee paana bhi to kaamyaabi ki nishaani hai.... aap accha likhte hain to daad paate hain jiase ye ghazla likhi hai..bahut umda..! daad pesh hai! :grin:

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: guzarish 39 per meri sada see Ghazal..................

Post by jawaid badauni »

Shummu wrote:
bahaa hai roz tahzeeb.o.adab ka yooN lahoo barsoN
keh booRhi saas se laRtee rahee ghar meN bahoo barsoN

wah wah bahut hi unique sher hai...!

wohee batlayega kya cheez hai aazaar.e tanhayee
keh tanhayee men jis ne ki ho khud se guftagoo barsoN

wahhhhhhhhhhhhhhhhh!!!!!!! is sher pe to dheron daad qubool karein..bahut bahut accha sher hai !!!!!

zamana hi nahiN woh shaKhs bhi hai bekahabar mujh se
chupa ke dil meN rakhkhi jis basher ki justjoo barsoN
wah..!
Yaqeenan hogee yeh turbat shaheed.e qaum.o.millat ki
wafaaye qaum ki is qabr se aayee hai boo barsoN
khoob..!
arey toba wohee mehroom hai bearish ki rehmat se
chala jo dhup meN paidal sahee thee jis ne loo barsoN
wah ek aur khoobsurat sher....
namaz.e ishq ki azmat wohee samjhe wohee jaane
kiya ho Khoon.e dil se jis namazee ne wozoo' barsoN
bahut khoob..!

zara see wah waahee ke siva kya too ne paya hai
suKhan ki mashq jo karta raha :Jawaid: tou barsoN
han na wah waaahee paana bhi to kaamyaabi ki nishaani hai.... aap accha likhte hain to daad paate hain jiase ye ghazla likhi hai..bahut umda..! daad pesh hai! :grin:


Azeezah Shummu doa

meri guzishta Ghazal per aap ne bohat muKhtasar (sirf 12 alfaz per mushtamil) tabsarah kiya tha. main ne is per e'traaz bhee kiya tha so is baar aap ne tafSeeli tabsarah kar ke us kotahee ka izalah kar diya. bohat bohat shukriya. aapki daad men khulooS shamil hai. behud mamnoon hooN aapka.

Is zameen meN aap ki ghazal ka muntazir hooN.

MuKhliS

Jawaid Badauni
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]Biradaram Jawaid Badauni SaaHib tasleemaat!

mushae'rah meN aap kee shirkat sabhee dostooN ke liye masarrat aor fakhr kaa baae'c hai. aap kee tashreef aawaaree ke liye mamnoon-e-eHsaan hooN.

Ghazal ganjeenah-e-lafz^-o-mua'aanee hai. aap ne medaan-e-sukhan meN sakht zameen ke baa waSf kheyaal-o-fikr ke ghooReY sarpaT dhooraeY haiN. asha'aar mua'aanee aafaraeenee hamah geeree aor jiddat-e-kheyaal kaa murakka'h haiN. aesa kalam nah hee zeyaadah qeel-o-qaal kaa moHtaaj hotaa hai aor nah hee ta'reef-o-taoSeef kaa t^aalib balkeh baqal-e-rai'ees-ul-mutaGhazzaleen HaZ^rat-e-Jigar Muradabadi,

cachaee ho to dil seenooN se khichne lagte haiN Waaee'z^
Haqeeqat khud ko manwaatee hai manwaee naheeN jaatee!

zeyaadah a'rZ^ karne kaa meHel naheeN. faqat^ daad-o-taoSeef par khat^ tamaam kartaa hooN. aor ummeed kartaa hooN keh aap yooN hee mushae'rooN meN shirkat farmaa kar apnee caqah kalam se hameeN mutafeed farmaate raheeN ge. aor aesee yaadgaar aor shehkaar GhazaleeN e'naayat farmaeeN ge.


bahaa hai roz tahzeeb.o.adab ka yooN lahoo barsoN
keh booRhi saas se laRtee rahee ghar meN bahoo barsoN

Bohot khoob! Waah Waah Waah!


wohee batlayega kya cheez hai aazaar.e tanhayee
keh tanhayee men jis ne ki ho khud se guftagoo barsoN

Kiyaa kehne Waah Waah Waah lajawaab hai Waah Waah!


zamana hi nahiN woh shaKhs bhi hai bekahabar mujh se
chupa ke dil meN rakhkhi jis basher ki justjoo barsoN

Bohot khoob Waah Waah!


Yaqeenan hogee yeh turbat shaheed.e qaum.o.millat ki
wafaaye qaum ki is qabr se aayee hai boo barsoN

Waah Waah!


arey toba wohee mehroom hai bearish ki rehmat se
chala jo dhup meN paidal sahee thee jis ne loo barsoN

Waah Waah!


namaz.e ishq ki azmat wohee samjhe wohee jaane
kiya ho Khoon.e dil se jis namazee ne wozoo' barsoN

Bohot khoob Waah Waah kiyaa barjastagee hai. Waah!


zara see wah waahee ke siva kya too ne paya hai
suKhan ki mashq jo karta raha :Jawaid: tou barsoN

Bohot khoob Waah Waah! Kiyaa kehneY jawaid bhaee!


Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
[/align]
Khurshidul Hasan Naiyer
-
-
Posts: 96
Joined: Thu Mar 20, 2008 8:23 am

Post by Khurshidul Hasan Naiyer »

Muhtaram jawaid badauni sb

Assalam Alaikum

Aap kee ghazal paRhe or kayee bar parhee. tamaam asha'aar khoob kahe haiN aapne. yeh misrah jo jb. Muzaffar sb ne Hazrat DaaGh kaa keh

Haqeeqat khud ko manwaatee hai manwaee naheeN jaatee

aap kee ghazal par chust raayee main iskee tayeed karta hooN. waqt kee kamee ke sabab har har sha'er par alag alag daad no desaka majmua'ee t^or par daad qabool farmaye. of hamare liye seekhne kaa samaan muhayya karte raha keejye.

Allah khush rakhe

Ahqar

Khurshid H Naiyer
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:[align=center]Biradaram Jawaid Badauni SaaHib tasleemaat!

mushae'rah meN aap kee shirkat sabhee dostooN ke liye masarrat aor fakhr kaa baae'c hai. aap kee tashreef aawaaree ke liye mamnoon-e-eHsaan hooN.

Ghazal ganjeenah-e-lafz^-o-mua'aanee hai. aap ne medaan-e-sukhan meN sakht zameen ke baa waSf kheyaal-o-fikr ke ghooReY sarpaT dhooraeY haiN. asha'aar mua'aanee aafaraeenee hamah geeree aor jiddat-e-kheyaal kaa murakka'h haiN. aesa kalam nah hee zeyaadah qeel-o-qaal kaa moHtaaj hotaa hai aor nah hee ta'reef-o-taoSeef kaa t^aalib balkeh baqal-e-rai'ees-ul-mutaGhazzaleen HaZ^rat-e-Jigar Muradabadi,

cachaee ho to dil seenooN se khichne lagte haiN Waaee'z^
Haqeeqat khud ko manwaatee hai manwaee naheeN jaatee!

zeyaadah a'rZ^ karne kaa meHel naheeN. faqat^ daad-o-taoSeef par khat^ tamaam kartaa hooN. aor ummeed kartaa hooN keh aap yooN hee mushae'rooN meN shirkat farmaa kar apnee caqah kalam se hameeN mutafeed farmaate raheeN ge. aor aesee yaadgaar aor shehkaar GhazaleeN e'naayat farmaeeN ge.


bahaa hai roz tahzeeb.o.adab ka yooN lahoo barsoN
keh booRhi saas se laRtee rahee ghar meN bahoo barsoN

Bohot khoob! Waah Waah Waah!


wohee batlayega kya cheez hai aazaar.e tanhayee
keh tanhayee men jis ne ki ho khud se guftagoo barsoN

Kiyaa kehne Waah Waah Waah lajawaab hai Waah Waah!


zamana hi nahiN woh shaKhs bhi hai bekahabar mujh se
chupa ke dil meN rakhkhi jis basher ki justjoo barsoN

Bohot khoob Waah Waah!


Yaqeenan hogee yeh turbat shaheed.e qaum.o.millat ki
wafaaye qaum ki is qabr se aayee hai boo barsoN

Waah Waah!


arey toba wohee mehroom hai bearish ki rehmat se
chala jo dhup meN paidal sahee thee jis ne loo barsoN

Waah Waah!


namaz.e ishq ki azmat wohee samjhe wohee jaane
kiya ho Khoon.e dil se jis namazee ne wozoo' barsoN

Bohot khoob Waah Waah kiyaa barjastagee hai. Waah!


zara see wah waahee ke siva kya too ne paya hai
suKhan ki mashq jo karta raha :Jawaid: tou barsoN

Bohot khoob Waah Waah! Kiyaa kehneY jawaid bhaee!


Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
[/align]


Bohat bohat shukriya Muzaffar SaaHab. maiN tou samjha tha is baar shayad aap ke giraaNqadr tabsarey se mehroom hi raih jaaoonga. Chaliye, "der aayad durust aayad." aap ne nihayat narm.o.nazuk kalmaaat se taaKheer ka kafi izalah kar hi diya hai. ek baar phir
shukriya.

aapka MuKhliS

Jawaid
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Khurshidul Hasan Naiyer wrote:Muhtaram jawaid badauni sb

Assalam Alaikum

Aap kee ghazal paRhe or kayee bar parhee. tamaam asha'aar khoob kahe haiN aapne. yeh misrah jo jb. Muzaffar sb ne Hazrat DaaGh kaa keh

Haqeeqat khud ko manwaatee hai manwaee naheeN jaatee

aap kee ghazal par chust raayee main iskee tayeed karta hooN. waqt kee kamee ke sabab har har sha'er par alag alag daad no desaka majmua'ee t^or par daad qabool farmaye. of hamare liye seekhne kaa samaan muhayya karte raha keejye.

Allah khush rakhe

Ahqar

Khurshid H Naiyer

moHibbee Khurshid Nayyar Saahab

Ghazal ki bharpoor pazeeraayee ke liye aap ka behud mamnoon hooN. raha aap ke seekhne ka sawal tou Bhaii maiN tou khud apne aap ko mubtadee ya Tifl-e maktab hi taSavvoor karta hooN mujh se koii kya seekhne laga. ek baar phir aap ka shukriya. aap ke kalmaat se meri himmat afzaaii huwee. ummid hai rabt qaaiim rakhkhenge.

aapka muKhliS

Jawaid Badauni
Post Reply