aHbaa-e-bazm
salaam-o-raHmah
ek Ghazal pesh hai
jise apnaa muqaddar likh rahaa hooN
use hee sab se kamtar likh rahaa hooN
pyaasa hooN magar unke laboN par
samuNdar hee samuNdar likh rahaa hooN
zameen achhee,na paanee hai na mosam
shajar lekin tanaa war likh rahaa hooN
hai zakhme jaan-o-dil jiskee i'naayat
kahaaN usko sitamgar likh rahha hooN
bahak jaayeN na zahid ke qadam bhee
maiN saaqee jaam-o-saaGhar likh rahaa hooN
saNbaalo chashm-e-dil apne sanbhaalo
maiN dard-e-dil mukarrar likh rahaa hooN
khilaa kar SeHn-e-dil meiN pyaar ke gul
rag-e-jaaN ko mu't^t^ar likh rahaan hooN
suno aye sheesh maHloN ke makinoN
guloN par ab maiN patthar likh rahaa hooN
huwaa jataa hai warq-e-dil munawwar
ab unkaa(SAW) zikr-e-anwar likh rahaa hooN
bayaaN karke i'naayat dostoN kee
sukhanwar khud ko :Naiyer: likh rahaa hooN
khurshidul H. Naiyer
jise apna muqaddar likh rahaa hooN
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 96
- Joined: Thu Mar 20, 2008 8:23 am