asslaam o alikum
apni aik taza ghazal ke saath hazir e mehfil hoon aur ummeed karta hoon aap apni aara se zaroor aagaah karenge
Husaini
ghazl
jaan meri miri jaaN jalane lage
woh qaseedah hareefoN ka gaane lage
jaaNkani ki miri jab unheN di KHabar
jane kiya ho gaya ? khilkhilane lage
us ne shab men jo ruKH se haTaee naqqab
taeeraan e chaman chehchahane lage
lafz men ishq ke heN calaaca Hroof
un se kehne meN lekin zamaane laga
mujh se badzan to tha hee zamaana magar
aap bhi mujh pe tohmat lagane lage
joonhee ponhche jawani ki dehleez per
dost bachpan ke nazreN churaane lage
chashm e nam kar diya mujh ko ehbaab ne
jab woh had se ziyaadah hansaane lage
pur acar itni hoti he zarb e zubaaN
dil pe jaise kaee taaziyaane lage
ashk kiya Dhal gaye un ke ruKHsaar per
najm KHursheed per jagmagane lage
qatAa
kal jahaaN lehlahaate huye khait the
aslaHe ke wahaaN kaarKHane lage
woh paseenah baha kar bhi bhooka raha
KHoon ab us ke beTe bahane lage
pesh ki jab Husaini ne taaza ghazal
saare ashAar unko puraane lage
taraHi ghazal aap bhi mujh pe tohamat lagane lage
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- khozema husaini
- -
- Posts: 150
- Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
- Contact:
taraHi ghazal aap bhi mujh pe tohamat lagane lage
- Attachments
-
- 55 jaan meri miri jaaN jalane lage.gif (147.12 KiB) Viewed 89 times
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee
husaini
laakh chahay bura karay koee
husaini