Guzarish#42

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Rehana.A
-
-
Posts: 76
Joined: Fri Dec 10, 2004 5:01 am
Contact:

Guzarish#42

Post by Rehana.A »


Aziz Dosto

tasleemaat

is baar misraa e tarha is qadar khuobsuorat tha kah ghazal likhnay ko khah makhah dil
machal uTHaa ,so chand ashaar haazir khidmat haien :-)


Image
Khurshidul Hasan Naiyer
-
-
Posts: 96
Joined: Thu Mar 20, 2008 8:23 am

Re: Guzarish#42

Post by Khurshidul Hasan Naiyer »

muHtarmaa ReHana SaHiba

aadaab


(hadiyaa aap kee Ghazal kee naz^r)

pur lut^f-o-HaseeN teree taHreer naz^r aaee
yooN dil ke machalne kee taa,ceer naz^ar aaee"


aap kee khubsoorat or pur kaif Ghazal pah daad Haz^ir hai qubool farmaaeN.
tamaam asha'aar lajawaab haiN kuSuSaN girah kaa she'r bahut pasaNd aayaa.

woh dil meiN utar kar yooN itraae se rahte haiN
unko yeh zameeN apnee jaageer naz^ar aayee

kyaa baat hai

or maqta' bhee bahut pasaNd aayaa

ek baar phir daad detaa cholooN.

umeed hai aap bakhair hoNgeeN

Khair aNdesh

Khurshidul H. Naiyer
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: Guzarish#42

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtarmah Rehanah A. JanaN SaaHibah tasleemaat!

mushae'rah haazah meN aap kee shirkat khushee aor iftekhaar kaa maojib hai. meree jaanib se mushae'rah meN bharpoor rang meN shumuliyat par shukriyah qubool keejiye. mujhe ummeed hai keh aap agle mushae'rah meN bhee isee josh-o-kharoosh se shirkat farmaa kar mamnoon farmaeeN gee. aor apnee khubSurat aor dilkash kalam se mustafeed hone kaa maoqa' faraham kareeN gee.

kalaam meN nudrat-e-bayaaN ke i'laawah jazbe kee sachchaaee kaa a'nSar numaayaaN hai. aap ne dard-e-judaaee aor qarb-e-musalsal ko Ghazal ke khubSurat peraaeY meN Dhaal kar aek kaamyaab Ghazal takhleeq kee hai. duniyaa-e-muHabbat meN tadbeer par taqdeer kee bartaree hameshah se rahee hai. kaar-e-muHad bat meN HuSool-e-waSl-e-yaar to kujaa deedaar-e-yaar ke liye aaNkheeN taras jaatee haiN. har kaawish sae'ee--e-laahaaSil aor har aawaaz baazgasht ban kar qalb-o-jigar ko kangaaltee hai. Haalaat-o-waaqea'aat ke is bheyaanak aor zehreeree fiZ^aa meN a'aashiq kaa dil kese dhaRaktaa hai? aap ne isee kaefiyat ko Ghazal kee peray meN Dhaalaa hai. jo qaabil Sad daad hai. meree jaanib se is kaamyaab Ghazal kee takhleeq par dilee daad-o-mubarar baad qubool keejiy.

khush raheeN
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Post Reply