ab tou thoRa sa muskura hi de...............
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
ab tou thoRa sa muskura hi de...............
Yaaraan.e Mehfil, aadaab
Ahmad Faraz marHoom ki is zameen meN ghazal kahna
itna aasaan nah tha jab ke isee zameen meN kohna mashq
buzurg shayar Janab Sarwar Raz SaHab bhi ek murassah Ghazal
pesh farma chuke haiN. Himmat saath nahiN de rahee thee
phir bhee kuch she’r kah liye haiN.maSroofiyaat ke sabab
Nazr.e Saane nahiN kar paya hooN. Koyee she’r achca lage
tou mujhe likhiyega zaroor. Amr-e i’nayat ka peshgee shukriyah.
Ahqar
Jawaid Badauni
woh bhalaa hai keh jo bhalaa hi de
apne dushman ko bhee d’ua hi de
pyar chalke hai tere Gussey se
ab tou thoRa sa muskura hi de
baKhsh dee tou ne jura’t-e Haqgoii
ab qalam haath meN Ilahee de
chakh ke dekho sharaab.e sozishj.e Gam
tum ko shayad yeh kuch mazah hi de
jitna deta hai de mire ma’bood
haaN magar sub se kuch juda hi de
Kya kaha? ek jurm hai ulfat
ab jaza choR bus saza hi de
seekh le pahle funn.e makr.o.riya
phir a’daalat meN ja, gawahee de
maut bhi hai ilaj.e Gam “Jawaid”
Kya zaroori hai woh shifa hi de
-------------------------------------

- sbashwar
- -
- Posts: 1654
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
- Do you know URDU language?: Yes
- Location: Hyderabad, India
- Contact:
Re: ab tou thoRa sa muskura hi de...............
Mohtaram Jawaid Badauni Saheb
Aapki ghazal par meri daad aur mubarakbaad arz hai.
Asha'ar pasand aaye:
pyar chalke hai tere Gussey se
ab tou thoRa sa muskura hi de
baKhsh dee tou ne jura’t-e Haqgoii
ab qalam haath meN Ilahee de
jitna deta hai de mire ma’bood
haaN magar sub se kuch juda hi de
seekh le pahle funn.e makr.o.riya
phir a’daalat meN ja, gawahee de
maut bhi hai ilaj.e Gam “Jawaid”
Kya zaroori hai woh shifa hi de
Aapki ghazal par meri daad aur mubarakbaad arz hai.
Asha'ar pasand aaye:
pyar chalke hai tere Gussey se
ab tou thoRa sa muskura hi de
baKhsh dee tou ne jura’t-e Haqgoii
ab qalam haath meN Ilahee de
jitna deta hai de mire ma’bood
haaN magar sub se kuch juda hi de
seekh le pahle funn.e makr.o.riya
phir a’daalat meN ja, gawahee de
maut bhi hai ilaj.e Gam “Jawaid”
Kya zaroori hai woh shifa hi de
سالم احمد باشوار
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
Re: ab tou thoRa sa muskura hi de...............
moHtaram Jawaid Badauni SaaHib tasleemaat!
kese mizaaj haiN? bandah baakheriyat hai. AHmad faraz marHoom ke liye aap kaa nazraanah-e-e'qeedat qaabil-e-daad hai. asha'aar aap ke makhSooS aor dilkash andaaz meN marHoom shaae'ir se aap ke be laoS e'qeedat aor jazbah-e-murawwat kaa pataa de rahe haiN. is par jitnee bhee daad-o-teHseen pesh jae kam hai.
Ummeed hai isee khulooS se aai'ndah bhee meHfil meN tashreef laate huwe apne kalam se mustafeed farmate raheeN ge. inshAllah!
Wassalam
Muzaffar

Dosto! aadaab
Ghazal ke teesre she'r per wazn ka sawal uThaya gaya tha. go main us e'traaz se muttafiq nahiN hooN magar ab woh miSra mujhe Khud bhi kamzor lag raha hai aur kisee aur karam farma ko bhi pasand nahiN is liye teesra sh'er tabdeel kar diya hai jo ab is Tarah hai:
deke jura't bana diya haqgo
ab qalam haath meN Ilaahee de
Shukriya
Jawaid

sbashwar wrote:Mohtaram Jawaid Badauni Saheb
Aapki ghazal par meri daad aur mubarakbaad arz hai.
Asha'ar pasand aaye:
pyar chalke hai tere Gussey se
ab tou thoRa sa muskura hi de
baKhsh dee tou ne jura’t-e Haqgoii
ab qalam haath meN Ilahee de
jitna deta hai de mire ma’bood
haaN magar sub se kuch juda hi de
seekh le pahle funn.e makr.o.riya
phir a’daalat meN ja, gawahee de
maut bhi hai ilaj.e Gam “Jawaid”
Kya zaroori hai woh shifa hi de
moHtarmee Bashwar Saahab,
aadaab
ghazal ki pazeeraayee ke liye aap ka mamnoon hooN.
Jawaid
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: ab tou thoRa sa muskura hi de...............
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Jawaid Badauni SaaHib tasleemaat!
kese mizaaj haiN? bandah baakheriyat hai. AHmad faraz marHoom ke liye aap kaa nazraanah-e-e'qeedat qaabil-e-daad hai. asha'aar aap ke makhSooS aor dilkash andaaz meN marHoom shaae'ir se aap ke be laoS e'qeedat aor jazbah-e-murawwat kaa pataa de rahe haiN. is par jitnee bhee daad-o-teHseen pesh jae kam hai.
Ummeed hai isee khulooS se aai'ndah bhee meHfil meN tashreef laate huwe apne kalam se mustafeed farmate raheeN ge. inshAllah!
Wassalam
Muzaffar
a'zeezi Muzaffar Saahab,aadaab
aap ke KhulooS.e bekaraN ka hamesha se qaaiil hooN. Ghazal aap ko achchi lagee mujhe iskee Khushee hai. Kya hi achcha ho jo aap bhi is zameen meN chund ash'aar se nawazeN. aapki Ghazal ka muntazir hooN.
Khoosh raheN!
Jawaid Badauni
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
Re: ab tou thoRa sa muskura hi de...............
moHtaram jawaid SaaHib aadaab!jawaid badauni wrote:Dosto! aadaab
Ghazal ke teesre she'r per wazn ka sawal uThaya gaya tha. go main us e'traaz se muttafiq nahiN hooN magar ab woh miSra mujhe Khud bhi kamzor lag raha hai aur kisee aur karam farma ko bhi pasand nahiN is liye teesra sh'er tabdeel kar diya hai jo ab is Tarah hai:
deke jura't bana diya haqgo
ab qalam haath meN Ilaahee de
Shukriya
Jawaid
khuda ma'loom kis ne yeh sawaal wazan kee babat uThaayaa hai. khaer koee bhee ho apnee raae'e ke iz^haar ke liye to khaer yeh maedaan khulaa hee hai. waese is meN wazan kee koee kamee meHsos naheeN ho rahee.
lekin jaesa keh aap ne likhaa hai keh aap khud bhee is miSra' ko kamzoor kheyaal farmaa rahe haiN. to mere zehen bhee bhee do aek ashkaal ubhar aaeeN haiN. aap ke zaoq-e-saleem kee nazr kartaa hooN mulaHiZ^ah keejiye.
pehlee shakl!
"tune bakhshee hai jurra'at-e-iz^haar"
yaa
"bakhsh dee tune jurra'at-e-iz^haar"
yaa
"Haq bayaanee to tune dee lekin"
yaa
teree na'mat keh Haq bayaN hoN maiN"
yaa
Haq bayaanee se kar diya ma'moor"
khush raheeN
Muzaffar
- munir-armaan-nasimi
- -
- Posts: 460
- Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
- Location: INDIA
- Contact:
Re: ab tou thoRa sa muskura hi de...............
Mohtaram Janab Jawaid Badauni Saaheb,
Salaam-o-Rehmat !! Mujhe aapki ghazal behad pasand aayi aur mandarza zeil ashaar mere dil ko choooo gaye.....
pyar chalke hai tere Gussey se
ab tou thoRa sa muskura hi de
chakh ke dekho sharaab.e sozishj.e Gam
tum ko shayad yeh kuch mazah hi de
jitna deta hai de mire ma’bood
haaN magar sub se kuch juda hi de
seekh le pahle funn.e makr.o.riya
phir a’daalat meN ja, gawahee de
maut bhi hai ilaj.e Gam “Jawaid”
Kya zaroori hai woh shifa hi de
Baqi ashaar bhi achche hain magar... agar jaan ki amaan paaoN to keh doon keh.. aapke meyaar ke nahin hain.... bahut halke phulke ashaar lagte hain jaise mere jaise nau-waarid ke qalam se nikle hon.
Khata gunaah maaf hum deewanoN ka....!!
Taalib-e-dua,
Munir Armaan

munir-armaan-nasimi wrote:Mohtaram Janab Jawaid Badauni Saaheb,

Munir Armaan SaaHab
aadaab
ghazal ki pazeeraayee ke liye shukriya. sare she'r ek wazn ke tou Meer ya Ghalib ki Ghazal meN bhi nahiN hote thEy. jo asha'r aap ko pasand aye unke liye shukriyah.
Khoosh raheN
Jawaid