GuZarish#45 1/10/08 ke liye t^araHee miSra'!

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

GuZarish#45 1/10/08 ke liye t^araHee miSra'!

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

Yaaraan-e-meHfil aadaab-o-tasleemaat! :-)

GuZarish#45 1/10/08 ke liye t^arhee miSra' pesh-e-khidmat hai. jise Ustaad Shaae'ir janab Abdullah Nazir SaaHib kee kitaab "taar-e-infaas-e-Ghazal" se muntakhib kiya geya hai. ummeed hai miSra' pasand farmate huwe apne dilkash kalam se mustafeed farmaaeeN ge.

*jahaN tak tumharee naz^ar jaae gee*

BeHer: yeh beHer beHer-e-mutaqaarib mucamman meHZoof kehlaatee hai. ya'nee is beHer (mutaqaarib) kee woh aaTh ruknee shakl jis meN meHZoof ZaHaaf istema'aal kiya geya hai. waZ^eH rahe keh HaZaf kaa a'mal woh hai. keh jis ke zariye'e faoo'lun se lun nikaal diya jataa hai. aor yooN bache huwe HiSSah faoo' ko fa a'l se tabdeel kar diya jataa hai. miSra' kee taqt^ee' bhee dostooN kee aasaane ke liye darj-e-zael hai.

taqt^ee'
jahan tak=122=faoo'lun
tumharee=122=faoo'lun
naz^ar jaa=122=faoo'lun
e gee=12=fa a'l

Quwafee: naz^ar, acar, Dagar, khabar waGhaerah.
radeef: jaae gee.

afaaei'l: faoo'lun......faoo'lun.......faoo'lun....fa a'l
122.........122........122......12
//0/0......//0/0......//0/0....//0

mutamannee-e-shirkat
intez^aamiyah Urdubandhan
Steve Almas
-
-
Posts: 43
Joined: Mon Jun 06, 2005 6:52 pm

Re: GuZarish#45 1/10/08 ke liye t^araHee miSra'!

Post by Steve Almas »

Azeezan-e-Mahfil
Apni aik adna si koshash pesh kerne ki ju'rat kr raha hoon. Umeed kerta hoon keh pasand aayegi
Arsa ke ba'ad mehfil mein hazir hooa hoon, kuch purani yadon ko daman mein liye, iss umeed per keh shayed uoon puraney dost ahbab se phir mulaqat ho. Agar parhney ka moa'qa miley to yaad zaroor kijiye ga.

Mutmani
Steve Almas
Image
Baat khanjar si dil mein utar jaye gi
Zindagi dard ban ker guzar jaye gi
Phoot nikley ga aankhon se sailab-e-Gham
Bebasi phir liye darbadar jaye gi
Toot jaye ga jab ishq ka sab bharam
Aarzoo seeney mein ghut ke mar jaye gi
Log pochein gey uoon bicharhne ka sabab
Har gali mein jo apni khabar jaye gi
Chaand nazron se posheeda ho jaye ga
Zulf rukh pe preshan bikhar jaye gi
Sochta tha tumharey haseen saath mein
Zindagi aik din phir sudher jaye gi
Door tak hongey Almas toofan-e-gham
Jahan tak tumhari nazar jaye gi
[/size]
sajhashmi
-
-
Posts: 554
Joined: Thu Oct 23, 2008 7:40 am

Re: GuZarish#45 1/10/08 ke liye t^araHee miSra'!

Post by sajhashmi »

Steve Almas wrote:Azeezan-e-Mahfil

:grin: Wah wah Steve Almas Khoosh rahiyey
Bohut hii rawani ce aap ney iss zameen ko pani pani kerdiya
mager aakhri misre`y meiN JahaN tek ce pehly ghaliban {phir] typo mistake meiN reh gaya
Phir jahaN tek tumhari nazer jaye gi
mubarak ho itni khobsoorat ghazal per mubarkbad

Syed Anwer Jawaid Hashmi
sajhashmi
-
-
Posts: 554
Joined: Thu Oct 23, 2008 7:40 am

Re: GuZarish#45 1/10/08 ke liye t^araHee miSra'!

Post by sajhashmi »

Assalam o Alaihkum wa aadab hazireen o nazireen

SHEIR KO NAAZIR ZINDAH RAKHNA MUSHKIL HEY
ROOH NAH HOJABB TEK ALFAAZ O MUANI MEIN!
Hazret Abdullah Nazir ka yeh sheir ager teraHee ghazal ki dawat deitey houey
Header kay `tour per lagadia gaiye to kaisa ?
apni ra'ay se mut'tala karain...

Syed Anwer Jawaid Hashmi
afzalshah
-
-
Posts: 30
Joined: Wed Oct 22, 2008 1:09 am

Re: GuZarish#45 1/10/08 ke liye t^araHee miSra'!

Post by afzalshah »

sajhashmi wrote:
Steve Almas wrote:Azeezan-e-Mahfil
Apni aik adna si koshash pesh kerne ki ju'rat kr raha hoon. Umeed kerta hoon keh pasand aayegi
Arsa ke ba'ad mehfil mein hazir hooa hoon, kuch purani yadon ko daman mein liye, iss umeed per keh shayed uoon puraney dost ahbab se phir mulaqat ho. Agar parhney ka moa'qa miley to yaad zaroor kijiye ga.

Mutmani
Steve Almas
Image
Baat khanjar si dil mein utar jaye gi
Zindagi dard ban ker guzar jaye gi
Phoot nikley ga aankhon se sailab-e-Gham
Bebasi phir liye darbadar jaye gi
Toot jaye ga jab ishq ka sab bharam
Aarzoo seeney mein ghut ke mar jaye gi
Log pochein gey uoon bicharhne ka sabab
Har gali mein jo apni khabar jaye gi
Chaand nazron se posheeda ho jaye ga
Zulf rukh pe preshan bikhar jaye gi
Sochta tha tumharey haseen saath mein
Zindagi aik din phir sudher jaye gi
Door tak hongey Almas toofan-e-gham
Jahan tak tumhari nazar jaye gi
[/size]
:grin: Wah wah Steve Almas Khoosh rahiyey
Bohut hii rawani ce aap ney iss zameen ko pani pani kerdiya
mager aakhri misre`y meiN JahaN tek ce pehly ghaliban {phir] typo mistake meiN reh gaya
Phir jahaN tek tumhari nazer jaye gi
mubarak ho itni khobsoorat ghazal per mubarkbad

Syed Anwer Jawaid Hashmi
Steeve Almas ki ghazal paRh key khooshi houi mosouf ce hamar
KhaS taa`ruf to nahiN mager khoosh iss liyey houey k ahle zaban nah
hotey houey bhi itni achchi ghazal likhi meri daad unn tek pohnchey

Afzal Shah_poet@yahoo.com[/color]
Post Reply