Aadab arz hey kaha gaya hey k mazed kalam pesh kareiN hukm kii ta`ameel hogi
sajhashmi
Ghazal Hashmi ki zara dekh leiN?
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
Ghazal Hashmi ki zara dekh leiN?
- Attachments
-
- ghazal---raaho.GIF (10.97 KiB) Viewed 524 times
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
Re: Ghazal Hashmi ki zara dekh leiN?
moHtaram hashami SaaHi aadaab a'rZ^ hai!
kese mizaaj haiN. Ghazal naz^ar afrooz huee kiya kehne lut^f aageya. mashAllah kalam meN aek infaradiyat hai jo ras ghool rahee hai. ra'anaee-e-kheyaal aor fikr kee upaj ne alag se mutacer kiya hai. sabhee asha'aar dilkash haiN. meree jaanib se is khubSurat kalam mar dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.
mujhe ummeed hai keh aap apne kalam se mustafeed farmate raheeN ge. aate rahiye yeh aap kee apnee chaopaal hai. shukriyah!
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar

- munir-armaan-nasimi
- -
- Posts: 460
- Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
- Location: INDIA
- Contact:
Re: Ghazal Hashmi ki zara dekh leiN?
Mohtaram Janab Hashmi Saaheb....
Ek aur :Anmol: Ghazal pesh kii aap ne.. Masha'Allah... meri rooh tak jhoom uthee. Aapki ghazal padh padh ke bohat kuch seekh raha hoon... Alla'h kare aap yoN hi roz do chaar ghazal pesh karte rahein aur hamari bazm ki raunaq badhaate rahein....!!
Inehaayi adab o ehteram ke saath arz karna chaahta hoon keh... main ye do ashaar theek tarah samajh nahin paaya, agar aap kuch rehnumayi kar dein to shayad baat meri samajh main aa jaaye.....
Humse to Ek JahaaN na dekha gaya
Log kehte hain Do-jahaan main raho
aur...
Dooor tak rah-guzar hai be-saaya
Der tak Dhoop SaaibaaN main raho
Taalib-e-dua,
Munir Armaan Nasimi

M2 yeani Muzaffar aur Munir A2 yeani Ahmad aur Arman aagey M k baad N hi aiyega naaN , Kaiesa!? :-"
DonouN ney iss Ghazal ko kiya khoob hii pasand
asha`ar naql kerdiyey abb ho yeh baab b a n d
Hashmi mamnoon hey ehbaab
Shukriya sadd shukriya sad shukriya
- munir-armaan-nasimi
- -
- Posts: 460
- Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
- Location: INDIA
- Contact:
Re: Ghazal Hashmi ki zara dekh leiN?
Jee Huzur....
Hamesha "M" ke baad hi "N" aata hai
aur yeh meri khush-nasibi hai.........
Aap ne mujhe aur Muzaffar Bhai ko mila kar jo "Cocktail" pesh kiya hai wohhh........
Qaabil-e-Taareef hai... =D>
Hamesha "M" ke baad hi "N" aata hai
aur yeh meri khush-nasibi hai.........
Aap ne mujhe aur Muzaffar Bhai ko mila kar jo "Cocktail" pesh kiya hai wohhh........
Qaabil-e-Taareef hai... =D>
-
- -
- Posts: 24
- Joined: Sat Dec 31, 2005 9:41 pm
- Location: jubail.ksa
- Contact:
Re: Ghazal Hashmi ki zara dekh leiN?
hashmi sahib .sajhashmi wrote:Aadab arz hey kaha gaya hey k mazed kalam pesh kareiN hukm kii ta`ameel hogi
sajhashmi
salam _o_alaekum
TUM NAHI ME RAHO KE HAA;N ME RAHO.
KHILWATI HO KE KIYO’N GUMAA’N ME RAHO
MATLA SADA HAI , INKAAR AUR IQRAAR KE DARMIYAA’N PAHLEYA MISRA APNEY CANI KI MADAD SE ACHA AMZMOON DARYAFT KAR PAYA HAI .” KHILWATI “RAH KE GUMAA’N ME RAHENA AUR KHUD ME PARESHAAN RAHENA, KHOOB
HAM SE TOU IK JAHAA’N NA DEKHA GAYA .
LOG KAHTEY HAIN DO JAHAA’N ME RAHO.
AAP NE IK JAHAA’N ISTEMAAL KIYA HAI , ABHI AAAP ISS JAHAA’N KO ALHAMDULLIAH DEKH HI RAHE HAIN , ALLAH AAP KI UMR DARAZ KAREY . AAMEEN . LOG KIS BINA PE KAH RAHEY HAIN KE DO JAHAAN ME RAHO?
DO JAHAAN KON SA JAHAA’N ? .... AAP JIS JAHAA’N ME ZINDAH HAIN .SANS LE RAHEY HAIN , APNI ZINDAGI GUZAAR RAHEY HAIN , ,ASAP KI AANKHEIN BAND HOTEY HI AAAP KO AUR HAM SAB KO QABR ME JANA HAI . PHIR YOM_E_EHTESAAB ZINDAH HO KAR UTHNA HAI , YAHI IMAAN HAI YEHI AQEEDAH HAI HAM SAB KA , PHIR KIS DO JAHAA’N KI BAAD KAR RAHEY HAIN , KOI TASAWRATI JAHAA’N TOU NAHI HAI AAP KE ZAHN ME . ISS SHEIR KE HAWALEY SE ?
DOOR TAK RAH GUZAR HAI BE SAYA
DER TAK DHOOP SAEYBAA’N ME RAHO .
DHOOP SAEYBAA’N ASAP NE KHOOB NIKALA , BAA_Z LOGO’N KO MAIN NE KAGAZI JANGAL BHI ISTEMAAL KARTEY DEKHA HAI , YANI DAFTAR KE MUTALLIQ KAHA GAYA “KAGAZI JANGAL “
ALFAZ KO NAEI NAEI TRAKEEB ME DHALNA ACHI BAAT HAI BASHARTEY KE UNKA MAFHOOM BA AASANI QARI YA SAMEY KE ZAHN ME AA JAEY .
MAIN SHAYED ISS SHEIR KE ASL MAFHOOM TAK NAHI PAHO’N CH PAYA , LILLAH ROSHNI DALEIN ,
JANE KIS NE HAWA SE KAH DALA
KASHTIYAA’N CHORO BADBAA’N ME RAHO
HASHMI SAHIB , YEH EAK SEEDHA SADA SHER HAI , LAF_FAZI HAI ISS ME
JAB AAP SE HO GAYA TOU GAZAL ME RAH GAYA ,
WAESEY BHI HAWA KA KAAM BADBAA’N KE SAATH HI HAI . HAWA KO BADBAA’N SE HI SAROKAAR HOTA HAI , HAA.N KABHI KABHI BEGAIR BADBAA’N KE KISHTI HAWA KE RUKH PAR CHAL PARTI HAI . BEGAIR MANZIL KA TAIYO’N KIYE HUWEY . ILLA YA KE USS PAR SAWAR KOI APNI HIMMAT AUR MAHNAT SE USSEY SAHIH SAMT KI JANIB GAMZAN KAR DE .
ISS SHEIR ME BHI KOI CHNOUKANEY WALI BAAT NAHI HAI , ALFAZ KI BANDISH HAI BAS , , BAQI MAFHOOM WOHI SADA !!!!!
KASHTIYAA’N CHORO BADBAA’N ME RAHO
BAHOT SARI KASHTIYO’N KO CHOR KAR HAWA KO KISI NE BADBAA’N ME RAHNEY KO KAH DIYA , KAESEY ? BADBAA’N KI JAMA HAM ISTEMAAL KARTEY HAIN , TOU KEYA LIKHTEY HAIN ?
SAB MUQAD_DAR KE KHEL LAGTEY HAIN
RANJ JHELO KE RAEYGAA’N ME RAHO .
HAA’N HAMARA IMAAN YEHI HAI KE SAB MUQADAR ME LIKHA HOTA HAI , AUR WOHI HOTA HAI JO MALIKEY TAQDEER NE LIKH DIYA HAI
AAKHIR IK ROZ AAEY GI YE SADA
AB ZAMEE’N CHORO AASMAA’N ME RAHO .
MOUT SE KIS KO RASTAGARI HAI
IK NA IK DIN SABHO’N KI BARI HAI
MINJUMLA GAZAL SADA MAGAR KHOOB HAI , AUR JIN NUQTO’N PAR MERE NAQIS ILM NE MUJHEY PARESHAAN KIYA , AZ_RAH_E_ KARAM UN PAR APNI USTADANA ROSHNI DALEIN , TAKE MERE ILM ME IZAFA HO ,
DILSHADNAZMI
KSA .,
dilshadnazmi.jubail.ksa
Re: Ghazal Hashmi ki zara dekh leiN?
JhaRkunD ce aljubail ki tamam vadiaN, kohsaar,jungle,darya,maidan aur havaieN aap per nisSar
Mohtrem Dilshaad Nazmi Saheb aadab o tasleemat
abhi Mehfileehbaab meiN mmmughal ko man`a kerke aaya houN aur aap ki khidmat meiN hadiya e tabreek wa iZhaar-e-
tashakkur bhi kiya hey!
Aap jiss qadr inhimaak dilchaspi ce meri ghazal paRh key tabcirah fermatey heiN meiN ney bohut cumm sukhan shanaS
aise dekhey meiN aap ka mamnoon houN meri Shairi meri apni hey iss ka eik khaS passmanzer hota hey meiN sehl sadah
micrey likhta houN koi aiench pech iss meiN nahiN hota isi liyey aap aasani ce tafheem karletey heiN jo khooshi ki baat hey
mujhey ummid hey kay aap aaindah bhi apni tawajjuh markoz rakheiNgay meray doust anwer ansari 15th ko Jeddah wapes
pohnchengay Urdu News[Anwer Ansari ,magazine@urdunews.com] contact kijiyey gaa.
Re: Ghazal Hashmi ki zara dekh leiN?
munir-armaan-nasimi wrote:Jee Huzur....
Hamesha "M" ke baad hi "N" aata hai
aur yeh meri khush-nasibi hai.........
Aap ne mujhe aur Muzaffar Bhai ko mila kar jo "Cocktail" pesh kiya hai wohhh........
Qaabil-e-Taareef hai... =D>
aap mera jawab paRh lejiyey
Jee Huzuri ki baat janeN deiN
Aap tazah hawa ko aane deiN
Aim A Aim aur Aim A Ain
aisi ranjish houi hey kya maabain
aap mujhko aziz heiN armaan
meray likhey ka abb bura na maan
meiN mohabbat ce baat kerta houN
bass younhi dinn ce raat kerta houN
Shukriya aap ki enayet hey
aap ko mujh ce jo shikayet hey
meiN usey doour ker raha houN abb
khood ko majboor kerraha houN abb
aafiyet ho salamati tum per
khatm ho sheir qamti tum per
Syed Anwer Jawaid Hashmi filbadih jawab likha gaya
11.11.2008
-
- -
- Posts: 24
- Joined: Sat Dec 31, 2005 9:41 pm
- Location: jubail.ksa
- Contact:
Re: Ghazal Hashmi ki zara dekh leiN?
sajhashmi wrote:
JhaRkunD ce aljubail ki tamam vadiaN, kohsaar,jungle,darya,maidan aur havaieN aap per nisSar
Mohtrem Dilshaad Nazmi Saheb aadab o tasleemat
abhi Mehfileehbaab meiN mmmughal ko man`a kerke aaya houN aur aap ki khidmat meiN hadiya e tabreek wa iZhaar-e-
tashakkur bhi kiya hey!
Aap jiss qadr inhimaak dilchaspi ce meri ghazal paRh key tabcirah fermatey heiN meiN ney bohut cumm sukhan shanaS
aise dekhey meiN aap ka mamnoon houN meri Shairi meri apni hey iss ka eik khaS passmanzer hota hey meiN sehl sadah
micrey likhta houN koi aiench pech iss meiN nahiN hota isi liyey aap aasani ce tafheem karletey heiN jo khooshi ki baat hey
mujhey ummid hey kay aap aaindah bhi apni tawajjuh markoz rakheiNgay meray doust anwer ansari 15th ko Jeddah wapes
pohnchengay Urdu News[Anwer Ansari ,magazine@urdunews.com] contact kijiyey gaa.
hashmi sahib ,
aadab
mutmain rahein , jahaan tak tanqeed ka swal hai , woh mere bas ki baat nahi , uske liye qadaawar log bharey pad>hey hain , haan apne zati ilm ki bina par jo mujhey ilm hai ke naqis hai , kuch batein bebaki se kah jata hoonn , shayed ke kabhi logo'n ko nagaawar guzrati hain , aur kabhi log meraa shukriya bhi ada kar letey hain , bahr haal urdu anjumanein hain hi issi liye ke apne khayalat ka ezhaar be bakana andaz me kiya jaey , aur phir wazahat ki roshni me apne sawal ke jawab se kuch hasil kiya ja sakey , waesey aap mere mutalliq bahot ziyadahh tajas_sus ka shikaar hain , janab seedha saadha urdu ka khadim hoon , aur kuch nahi , abhi seekh raha hoon , aap jaeso'n ke tufail .....
shukriya ,
mukhlis
dilshadnazmi
dilshadnazmi.jubail.ksa