Ghazal Hashmi ki zara dekh leiN?

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
sajhashmi
-
-
Posts: 554
Joined: Thu Oct 23, 2008 7:40 am

Ghazal Hashmi ki zara dekh leiN?

Post by sajhashmi »

Assalam o Alaihkum
[-o<
Attachments
hasmiez2.GIF
hasmiez2.GIF (18.77 KiB) Viewed 71 times
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Re: Ghazal Hashmi ki zara dekh leiN?

Post by munir-armaan-nasimi »

Sunta hoon Khabar Qatl kii to kehtaa hoon Khud se...
Kaun Aaya mere Shehr main Jungal se nikal kar

Aur...

Darkaar kisi ko naheen Roohani Gezaa yaaN
Kya dekhe koi roti o chaawal se nikal kar

Mohtarmee o Mukarramee Syed Anwar Jawed Hashmii Saaheb... yoN to puri Ghazal itni pur-kaif hai keh.. kayi baar padh liya phir bhi tashnagi baaqi rahi magar...ye do ashaar mere dil main ghar kar gaye....

Ek murassa ghazal pesh karne ke liye intehaayi shukr guzaar hoon keh aap ko padh ke hi hum jaise tifl-e-maktab shairi ke baare main bohat kuch seekh rahe hain.

Taalib-e-dua,

Munir Armaan Nasimi
sajhashmi
-
-
Posts: 554
Joined: Thu Oct 23, 2008 7:40 am

Re: Ghazal Hashmi ki zara dekh leiN?

Post by sajhashmi »

Munir Arman Nasimi Jeetey Rahiyey meiN aap ki pasandeedgi per mamnoon o mutashakkir houN
aap ce muaz`ret bhii k aap ko Nasimi ki jageh Nasim likh gaya thaa.Aap ki website aur Social work
ney mujhey muta`sir kiya Allah ager toufiq nah dey Ins`aan k bass ki baat nahiN jis terhah aap
manage ker rahey heiN Shabash! Aap ki hou`Sla afzaii kay baad meiN tazah Kalam pesh kerney
ki koshish kerta rahoounga deeger ehbaab ka bhi Shukriya Wajib hey!
Wassalam ma`a al ehtram

Syed Anwer Jawaid Hashmi
:grin:
Attachments
600I051KdrB.jpg
600I051KdrB.jpg (7.1 KiB) Viewed 65 times
Post Reply