Page 1 of 1

zakhm bhar jaaye magar kyun dard yeh jaata nahee

Posted: Sun Nov 30, 2008 10:41 am
by manu1979
Zakhm bhar jaaye magar kyun dard yeh jata nahee
Vaqt ke kyun ghaanv marham koii bhar pata nahee

Husn chhal hai,ek bh’ram hai bas nazar ka,ishq men
Chaut khaane par bhi kyun sach yeh nazar aata nahi

Umrabhar maine bahaaye ashq ke dariyaa kaii
Yaad men jis kii, vo mere zakhm sehlaata nahi


jab se maine dekh li hai fizaa tere rukhsaar kii
tab se koi mausam merii biinaayi ko bhata nahii

hai fareb niigaah ka yaa dil pe ulfat ka asar
aaiina bhi juz tere kuchh aur dikhlaata nahii

Ranj hai is baat kaa loota di jis par zindagi
shaksh woH yaado se meri khud ko behlaata nahi


Chal diye aangan se dil ke saaye teri yaad ke
Aalam-e-tanhaayi kaa ab lutf bhii aata nahi

Haar kar bhee jeet jaaooN hoon sikandar ishq kaa
khel me.n ulfat ke kabhi yu.n maat mai.n khata nahi

maan kar jis ko khudaa karte rahe ham bandagii
wehsato.n ke vaqt hee kyun reh’m dil aata nahi

haadse ne jab kisee maasoom ki hai jaan li
kyun khuda dil ko tere maatam ye pighlaataa nahi

mai kharaa hoon hausalo ki phir vahii chattaaN ban
aandhiyaa aaye agar, mai.n un se ghabhraataa nahii.n



regards
manu

Re: zakhm bhar jaaye magar kyun dard yeh jaata nahee

Posted: Mon Dec 01, 2008 5:23 am
by sbashwar
Mohtaram Manu Saheb
:salaam:

jab se maine dekh li hai fizaa tere rukhsaar kii
tab se koi mausam merii biinaayi ko bhata nahii

Aapki ghazal ka har sheir qabil-e-daad hai. Ek umda inayat par meri dili daad qubool farmayiye.

Mukhlis
Salem Bashwar

Re: zakhm bhar jaaye magar kyun dard yeh jaata nahee

Posted: Mon Dec 01, 2008 4:17 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtaram Manu SaaHib aadaab!

kese mizaaj haiN? Aap kee Ghazal dekhee aor jee khush ho geyaa. mashAllah nihayat dilkash aor pur acar asha'aar se nawaza hai. sabhee asha'aar qaabil-e-daad haiN. kiya hee achcha ho agar aap yooN hee apne kalam se nawazte raheeN aor yooN ham sab ke zaoq-e-mut^alea'ah kaa bharpoor saamaan hotaa rahe gaa.

Zakhm bhar jaaye magar kyun dard yeh jata nahee
Vaqt ke kyun ghaanv marham koii bhar pata nahee

Waah Waah!

Husn chhal hai,ek bh’ram hai bas nazar ka,ishq men
Chaut khaane par bhi kyun sach yeh nazar aata nahi

Waah!

Umrabhar maine bahaaye ashq ke dariyaa kaii
Yaad men jis kii, vo mere zakhm sehlaata nahi

Waah!

jab se maine dekh li hai fizaa tere rukhsaar kii
tab se koi mausam merii biinaayi ko bhata nahii

yeh she'er wazan meN naheeN asakaa. jaesa keh aap jaante haiN keh yeh beHr ramal mucammen meHZoof hai. is ke arkaan yooN haiN. faai'laatun........faai'laatun..........faai'laatun.........faae'lun = 2122.......... 2122.......... 2122......... 212 pas is Hawalah se is kee aek shakl yeh ho saktee hai.

"jab se dekhee hai fiZ^aa maiN ne tere rukhsaar kee
koee maosam meree beenaee ko ab bhaataa naheeN"
======================

hai fareb niigaah ka yaa dil pe ulfat ka asar
aaiina bhi juz tere kuchh aur dikhlaata nahii

pehla miSra' beHr meN naheeN aasakaa. so yeh Surat ho saktee hai.

"dil peh ulfat kaa acar hai yaa nigaahooN kaa fareb?
=================

Ranj hai is baat kaa loota di jis par zindagi
shaksh woH yaado se meri khud ko behlaata nahi

Waah! is she'er meN ta'qeed-e-lafaz^ee ke dakhal kee wajah se she'er kaa lut^f phekaa paR geya hai. so yeh Surat mumkin hai.

ranj hai is baat kaa jis par luTaaee Zindagee
ranj hai is baat kaa jis par luTaaee thee Hayaat
meree yaadooN se woh apne dil ko behlaataa naheeN
==================

Chal diye aangan se dil ke saaye teri yaad ke
Aalam-e-tanhaayi kaa ab lutf bhii aata nahi

Waah!

Haar kar bhee jeet jaaooN hoon sikandar ishq kaa
khel me.n ulfat ke kabhi yu.n maat mai.n khata nahi

dusraa miSra' wazan meN naheN yeh Surat ho saktee hai. aor dusree baat yeh keh Sikandar kee wajah-e-shuhrat koee khel naheeN thaa balkeh jang-o-jadal thaa. so is hawalah se yahaN khel kehna durust nah ho gaa. baaqee aap behtar jaante haiN. yeh Surat dekheeN.

"e'shq ke maedaaN meN hamdam maat maiN khaataa naheeN"
====================

maan kar jis ko khudaa karte rahe ham bandagii
wehsato.n ke vaqt hee kyun reh’m dil aata nahi

wehsato.n=weHshatooN

haadse ne jab kisee maasoom ki hai jaan li
kyun khuda dil ko tere maatam ye pighlaataa nahi

Waah!

mai kharaa hoon hausalo ki phir vahii chattaaN ban
aandhiyaa aaye agar, mai.n un se ghabhraataa nahii.n

chaTTaaN=ChaTaan she'er kaa maZ^moon khub hai lekin zarra barabar Saaf karne se baat ta'qeed aor tarteeb kee wajah se mazeed dilkash aor waaZ^eH ho saktee hai. ya'nee.
"maiN khaRaa hoN ban ke phir se HaoSle kee ek ChaTaaN
laakh aaeeN aaNdhiyaaN maiN in se ghabraataa naheeN
=======================


meree jaanib se is khubSurat Ghazal par dilee daad qubool keejiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
[/color]