Mohtarma Tahira Masood Saahiba,
Aapki aamad faal-e-nek hai hamare 'urdubandhan' ke liye.. aap ki ghazal bohat dilkush hai, pasand aayi. Ghazal ke wazn, behr ke baare main meri jaankari sifar hai phir bhi do ek baat jo mujhe aapki ghazal main lagi wohh likh deta hoon... Khata Gunaah Muaf Hum DeewaanoN ka........!!
justju-e-jehaan rakhtaa hai
Azm insaaN mahaan rakhtaa hai
matla to bohat khoob hai magar misra-e-sani main mujhe "insaaN mahaaN" ek saath.... achcha nahin lag raha hai. Kya koi aur tarteeb nahin ho sakti hai???
bhool jaata hai josh maiN isnaaN
faani woh jism-o-jaan rakhtaa hai
Sher bohat pyara hai bas typo ho gaya hai... insaaN ki jagah 'isnaaN' ho gaya hai... waise hamare India main hindi main isnaaN - Ghusal karne ko, Nahane ko kehte hain
faqr maiN bhi hai ro'ab momin kaa
shaahi yeh aan baan rakhtaa hai
Sher haqeequat ke qareeb hai magar Moumeen kabhi Shaahi aan-baan nahin rakhte aur na Ro'ab dikhaate hain. Aazeezi inksaari hi unka shewa hai.
gham ki shorish ho yaa dukhoN kaa hujoom
shukr wird-e-zabaan rakhtaa hai
Puri ghazal ki jaan hai yeh Maqtaa... Masha'Allah bohat pyara sher ban gaya hai. Daad qobol kiziye.
Armaan