Page 1 of 1
taazah ghazal
Posted: Wed Dec 17, 2008 7:57 pm
by tahira Masood
salaam
aik taazah ghazal aap ki nazr.
aara ki mutaZir rehoN gee.
wassalam
justju-e-jehaan rakhtaa hai
Azm insaaN mahaan rakhtaa hai
bashr-e-khaaki ko bakhshaa yeh aizaaz
raabtay aasmaan rakhtaa hai
tund khuee maiN bhool jaaey bashar
jaan hai tau jehaan rakhtaa hai
bhool jaata hai josh maiN isnaaN
faani woh jism-o-jaan rakhtaa hai
aadmi hai wahi Khudaa ko pasand
jo keh achaa gumaan rakhtaa hai
faqr maiN bhi hai ro'ab momin kaa
shaahi yeh aan baan rakhtaa hai
gham ki shorish main bhi yeh mard-e-Haq
shukr wird-e-zabaan rakhtaa hai
Re: taazah ghazal
Posted: Fri Dec 19, 2008 6:16 am
by munir-armaan-nasimi
Mohtarma Tahira Masood Saahiba,
Aapki aamad faal-e-nek hai hamare 'urdubandhan' ke liye.. aap ki ghazal bohat dilkush hai, pasand aayi. Ghazal ke wazn, behr ke baare main meri jaankari sifar hai phir bhi do ek baat jo mujhe aapki ghazal main lagi wohh likh deta hoon... Khata Gunaah Muaf Hum DeewaanoN ka........!!
justju-e-jehaan rakhtaa hai
Azm insaaN mahaan rakhtaa hai
matla to bohat khoob hai magar misra-e-sani main mujhe "insaaN mahaaN" ek saath.... achcha nahin lag raha hai. Kya koi aur tarteeb nahin ho sakti hai???
bhool jaata hai josh maiN isnaaN
faani woh jism-o-jaan rakhtaa hai
Sher bohat pyara hai bas typo ho gaya hai... insaaN ki jagah 'isnaaN' ho gaya hai... waise hamare India main hindi main isnaaN - Ghusal karne ko, Nahane ko kehte hain
faqr maiN bhi hai ro'ab momin kaa
shaahi yeh aan baan rakhtaa hai
Sher haqeequat ke qareeb hai magar Moumeen kabhi Shaahi aan-baan nahin rakhte aur na Ro'ab dikhaate hain. Aazeezi inksaari hi unka shewa hai.
gham ki shorish ho yaa dukhoN kaa hujoom
shukr wird-e-zabaan rakhtaa hai
Puri ghazal ki jaan hai yeh Maqtaa... Masha'Allah bohat pyara sher ban gaya hai. Daad qobol kiziye.
Armaan
Re: taazah ghazal
Posted: Fri Dec 19, 2008 2:11 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
moHtarmah T^ahirah Masa'ood SaaHibah tasleemaat!
mashAllah Aap ke kalam meN din bah din nikhaar aor mazeed pukhtagee aatee jaa rahee hai. is kaa Saaf mat^lab yeh huwa keh aap mashq-e-sukhan se wabastah haiN. aor Urdu zabaan-o-bayaan se apnaa rishtah jooRe huwe haiN. Allah kare keh aesaa hee ho.
Ghazal dekhne kee taofeeq milee kiya kehne sabhee asha'aar meHnat-o-zaoq se kahe gae haiN. meree jaanib se dilee daad qubool keejiye. chand aek baateeN zehn meN haiN so aap kee khidmat meN daoraan-e-mut^ala'ah-e-Ghazal rakhooN gaa.
justju-e-jehaan rakhtaa hai
Azm insaaN mahaan rakhtaa hai
Waah Waah khub kaha hai.
=======================
yahaN aek baat qaabil-e-Ghaor hai. keh faarsee kee tarakeeb meN a'aam t^aor par :aa'laan-e-noon: ko jaai'ez naheeN samjhaa jataa. jaesa keh aap ke miSra'-e-awwal meN :justuju-e-jahan: se z^aahir hai. maiN ne a'aam t^aor par is liye kaha hai keh Jigar Muradabadi saaHib ne apnee Ghazal ke maqat^a' meN "teraa deewaanah Ghareeb jigar fakhr-e-Hindustan hai peyaare" yahaN unhooN ne :fakhr-e-Hindustaan: kee tarkeeb baandh kar neeche Haashiyah meN likh chooRa hai. keh maiN is aa'laan-e-noon ko jaai'z samajhtaa hooN. ya'nee woh yeh samajhte haiN keh ise jaai'z naheeN samjhaa jata lekin woh apne :ijtihaad: se kaam lete huwe ise jaai'ez samajhte haiN. khaer!
dusre miSra' meN lafz^ :mahaan: Hindee ka hai. jo keh Z^aroorat-e-she'er ke liye to durust sahee lekin Quwaai'd kee rooH se she'er meN Ghaer maozooN samjhaa jae gaa. yooN to she'er Theek hee hai. lekin aese alfaaz^ jo hunooZ Urdu Zaban meN puree t^raH raai'j naheeN ho sake haiN. un se gurez behtar hai.
=============================
khaak kaa putlaa aur yeh aizaaz
raabtay aasmaan rakhtaa hai
yahaN :putlaa: kaa :alif: dab geya hai. jis kee wajah se miSra' ka Husn baaqi naheeN raha. aor dusree baat yeh keh Aasmaan raabit^eY rakhnaa muHaawirah naheeN. aor :aasmaan: ke ba'd lafz^ :par: kee kami bhee meHsoos ho rahee hai.
=============================
tund khuee maiN bhool jaaey bashar
jaan hai tau jehaan rakhtaa hai
Kiya kehne Waah Waah Waah Bohot khoob Waah Waah! HaZ^rat-e-RaZ^a AHmad Khan Barelawi RH ke miSra' "jaan hai to jahan hai" ko bohot khubSuratee se pesh kiya hai. Waah!
============================
bhool jaata hai josh maiN isnaaN
faani woh jism-o-jaan rakhtaa hai
Waah Waah! neeche ke miSra' meN :fanee: kee :yeh: dab gaee hai. so :fanee: ko :a'araZ^ee: kar deeN. to Theek ho gaa. ya'nee "a'araZ^ee jism-o-jaan rakhtaa hai.
===========================
aadmi hai wahi Khudaa ko pasand
jo keh achaa gumaan rakhtaa hai
Waah Bohot khoob!
faqr maiN bhi hai ro'ab momin kaa
shaahi yeh aan baan rakhtaa hai
Kiya kehne Waah! ya'nee faqr-o-faaqah meN bhee us kee shaahanah shaan baan hee qaae'im rehtee hai. Waah! ya'nee donooN SuratooN meN woh shaan baan rakhta hai. Aameeree meN bhee aor Ghareebee meN bhee!
==========================
gham ki shorish ho yaa dukhoN kaa hujoom
shukr wird-e-zabaan rakhtaa hai
Waah Waah! agarcheh yeh musalsal andaaz kee Ghazal hai. lekin baa eeN hamah is she'er ko agar infaradee t^aor par paRha jaae to yeh pata naheeN chalta keh kaon :shukr wird-e-Zabaan: rakhta hai. agarcheh aap kee muraad mumin ya'nee SaaHib-e-eemaan shakhS muraad hai. lekin yeh WaZ^aHat miSra' meN az khud maojood hona laaZamee hai. so yeh Surat ho saktee hai.
"Gham kee shaorish meN bhee yeh mard-e-HaQ"
=============================
meree jaanib se is Ghazal par dilee kee gehraai'yooN se daad aor mubarak baad qubool keejiye. meHfil meN kalam a't^aa farmaane par bhee mamnoon hooN.
Wassalam
Muzaffar AHmad Muzaffar
Re: taazah ghazal
Posted: Sun Dec 21, 2008 1:44 am
by afzalshah
tahira Masood wrote:salaam
aik taazah ghazal aap ki nazr.
aara ki mutaZir rehoN gee.
wassalam
justju-e-jehaan rakhtaa hai
Azm insaaN mahaan rakhtaa hai
khaak kaa putlaa aur yeh aizaaz
raabtay aasmaan rakhtaa hai
tund khuee maiN bhool jaaey bashar
jaan hai tau jehaan rakhtaa hai
bhool jaata hai josh maiN isnaaN
faani woh jism-o-jaan rakhtaa hai
faqr maiN bhi hai ro'ab momin kaa
shaahi yeh aan baan rakhtaa hai
gham ki shorish ho yaa dukhoN kaa hujoom
shukr wird-e-zabaan rakhtaa hai
muhatarmah tahira masood sahibah
taslimaat!
kia kehnay
bohut khoob
aadmi hai wahi Khudaa ko pasand
jo keh achaa gumaan rakhtaa hai
bohut achi ghazal paRhnay ko milii
dhairoN daad haazir hay
qubool kijiay
andaaz bhi khoob hay
aor
bayaan bhi khoob hay
mukhlis
afzal shah
Re: taazah ghazal
Posted: Mon Dec 22, 2008 5:55 am
by sbashwar
Mohtarama Tahira Masood Sahiba
bhool jaata hai josh maiN isnaaN
faani woh jism-o-jaan rakhtaa hai
Ek achchi koshish aapne ki hai.
Muzaffar Saheb ka tabsira bhi pasand ayaa.
Meri daad aur mubarakbaad qubool farmayega.
Mukhlis
Salem Bashwar
Re: taazah ghazal
Posted: Thu Dec 25, 2008 10:31 am
by tahira Masood
munir-armaan-nasimi wrote:Mohtarma Tahira Masood Saahiba,
Aapki aamad faal-e-nek hai hamare 'urdubandhan' ke liye.. aap ki ghazal bohat dilkush hai, pasand aayi. Ghazal ke wazn, behr ke baare main meri jaankari sifar hai phir bhi do ek baat jo mujhe aapki ghazal main lagi wohh likh deta hoon... Khata Gunaah Muaf Hum DeewaanoN ka........!!
justju-e-jehaan rakhtaa hai
Azm insaaN mahaan rakhtaa hai
matla to bohat khoob hai magar misra-e-sani main mujhe "insaaN mahaaN" ek saath.... achcha nahin lag raha hai. Kya koi aur tarteeb nahin ho sakti hai???
bhool jaata hai josh maiN isnaaN
faani woh jism-o-jaan rakhtaa hai
Sher bohat pyara hai bas typo ho gaya hai... insaaN ki jagah 'isnaaN' ho gaya hai... waise hamare India main hindi main isnaaN - Ghusal karne ko, Nahane ko kehte hain
faqr maiN bhi hai ro'ab momin kaa
shaahi yeh aan baan rakhtaa hai
Sher haqeequat ke qareeb hai magar Moumeen kabhi Shaahi aan-baan nahin rakhte aur na Ro'ab dikhaate hain. Aazeezi inksaari hi unka shewa hai.
gham ki shorish ho yaa dukhoN kaa hujoom
shukr wird-e-zabaan rakhtaa hai
Puri ghazal ki jaan hai yeh Maqtaa... Masha'Allah bohat pyara sher ban gaya hai. Daad qobol kiziye.
Armaan
Shukeriyah Armaan Saheb
salaam
aap kaa tabSirah pasand aaya
. ghazal pasand karne kaa shukeriyah
typo per ma'zerat khawaah hoN Inshallah theek kerdoNgi
aayndah bi apni qeemati raaey se nawaazte rehiyee gaa
Re: taazah ghazal
Posted: Thu Dec 25, 2008 10:48 am
by tahira Masood
Re: taazah ghazal
Posted: Thu Dec 25, 2008 10:52 am
by tahira Masood
afzalshah wrote:tahira Masood wrote:salaam
aik taazah ghazal aap ki nazr.
aara ki mutaZir rehoN gee.
wassalam
justju-e-jehaan rakhtaa hai
Azm insaaN mahaan rakhtaa hai
khaak kaa putlaa aur yeh aizaaz
raabtay aasmaan rakhtaa hai
tund khuee maiN bhool jaaey bashar
jaan hai tau jehaan rakhtaa hai
bhool jaata hai josh maiN isnaaN
faani woh jism-o-jaan rakhtaa hai
faqr maiN bhi hai ro'ab momin kaa
shaahi yeh aan baan rakhtaa hai
gham ki shorish ho yaa dukhoN kaa hujoom
shukr wird-e-zabaan rakhtaa hai
muhatarmah tahira masood sahibah
taslimaat!
kia kehnay
bohut khoob
aadmi hai wahi Khudaa ko pasand
jo keh achaa gumaan rakhtaa hai
bohut achi ghazal paRhnay ko milii
dhairoN daad haazir hay
qubool kijiay
andaaz bhi khoob hay
aor
bayaan bhi khoob hay
mukhlis
afzal shah
bohat bohat shukeriyaH Afzal Saheb
maiN aap k in qahsaasat k liye teh-e-dilse mamnoon hoN
aayndah bhi apni qeemati raaey se nawaazte rehiye gaa
khush rehaiN
Re: taazah ghazal
Posted: Thu Dec 25, 2008 10:55 am
by tahira Masood
sbashwar wrote:Mohtarama Tahira Masood Sahiba
bhool jaata hai josh maiN isnaaN
faani woh jism-o-jaan rakhtaa hai
Ek achchi koshish aapne ki hai.
Muzaffar Saheb ka tabsira bhi pasand ayaa.
Meri daad aur mubarakbaad qubool farmayega.
Mukhlis
Salem Bashwar
mohteram
Ghazal ko seraahen kaa bohat bohat shuekriyah
aur mashere kaa bhi
Jazaak Allah
Re: taazah ghazal
Posted: Sun Dec 28, 2008 9:46 pm
by haamidbaaqri
Assalaam o alaikum
behan tahira masood saahibah
aapki is ghazal per hum pehlay bhi kisee mehfil meiN daad day chukay haiN.
yahaaN dobaarah daad haazir kar rahay haiN.
ahbaab kay tabcray bahut dilchasp rahay aapki ghazal per.
allah(sbhnwt)karay zory qalam aur ziyaadah
aapkka bhaaii
haamid
Re: taazah ghazal
Posted: Fri Jan 09, 2009 8:58 pm
by tahira Masood
haamidbaaqri wrote:Assalaam o alaikum
behan tahira masood saahibah
aapki is ghazal per hum pehlay bhi kisee mehfil meiN daad day chukay haiN.
yahaaN dobaarah daad haazir kar rahay haiN.
ahbaab kay tabcray bahut dilchasp rahay aapki ghazal per.
allah(sbhnwt)karay zory qalam aur ziyaadah
aapkka bhaaii
haamid
bohat bohat shukeriyah hamid bha'ee
khush rehaiN