maiN tujh ko abb na pukaaruN ga kisii shaam ke baad

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
ismail ajaz
-
-
Posts: 436
Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm

maiN tujh ko abb na pukaaruN ga kisii shaam ke baad

Post by ismail ajaz »

maiN tujh ko abb na pukaaruN ga kisii shaam ke baad
na tera chehra saNwaaruN ga kisii shaam ke baad

maiN tere saath guzaare huwe saare lamHaat
bikher dooN ga ujaaRun ga kisii shaam ke baad

tujhe Ghuroor o takabbur kii woh saza dooN ga
maiN apnii jaan ko haaruN ga kisii shaam ke baad

maiN raastoN se nishaaN apne sab miTa dooN ga
maiN naqlii chehra bigaaRuN ga kisii shaam ke baad

tu aa'ay dostii karne kii aarzoo meiN Khud
taRap woh dil meiN ubhaaruN ga kisii shaam ke baad

terii nazar mujhe DhooNde gi be kalii kii taraaH
tera sukoon ujaaRuN ga kisii shaam ke baad

maiN nafratoN se Hiqaarat se tujh ko dekhuN ga
"khayaa" dil se utaaruN ga kisii shaam ke baad

Ismail ajaz khayaal
Attachments
maiN tujh ko abb na pukaaruN ga kisii shaam ke baad.gif
maiN tujh ko abb na pukaaruN ga kisii shaam ke baad.gif (27.83 KiB) Viewed 118 times

محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا

muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

Ismail Ajaz Khayaal

(خیال)
Post Reply