aaj musalmaan kyuN piT raha hai?

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
ismail ajaz
-
-
Posts: 436
Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm

aaj musalmaan kyuN piT raha hai?

Post by ismail ajaz »

aaj musalmaan kyuN piT raha hai?

wajah tum jaanna chaahte ho
musalmaan kyuN hai zaleel o ruswa
jawaab itna sa mera sunn lo
keh aaj muslim ka jurm yeh hai
woh apni raah se bhaTak gaya hai
bhulaa ke Allah rasool o deeN ko
woh bandah khwaahish ka bann gaya hai
woh apnee duniya meiN jee raha hai
usse ko'ee Gharz abb naheen hai
khilaaf e deeN sabb ki zindagii hai
khilaaf e sunnat guzar rahii hai
woh apnee khushiyoN meiN dekho shaamil
har ek ko hii tow kar raha hai
siwaa'ay Allah rasool ke bass!
siwaa'ay deen o usool ke bass!
khuda se har shaKhS laR raha
yuN kahiye keh jang kar raha hai
ilm hai par amal naheeN hai
kitaab muslim kalaam muslim
Khitaab muslim hai phir kitna kharaab muslim
woh paihle jabb baa amal huwaa tha
nizaam e qudrat badal gaya tha
zameen o aasmaaN mein har soo
woh amn ke roop meiN Dhal gaya tha
usse Khilaafat bhii dii ga'ee thii,kuchh yaad aaya?
usse Hifaazat bhii dee ga'ee thii,Ghalat kaha kya?
phir uss ke chaahne peh duniya
musaKKhar kuchh aise kii ga'ee thii
keh chaand sooraj sitaare saagar
sabhee ishaaroN peh chal rahe the,hai sach yehii naa?
hawa'aiN jaNgal o SeHraa saare
unnhee kii raahoN peh chal rahe the,kyuN yaad aaya?
unnheiN tow manzil pukaartii thii
khud qismat unn ko saNwaartii thii
bataa'uN tum ko maiN aur kya kya
tumheiN tow azbar HikaayateiN haiN
phir kis liye yeh shikaayateiN haiN
tum Khud hii socho keh jurm kya hai?
yeh bandah mo'min kyuN piT raha hai?
thii unn peh jo meharbaan qudrat
"khayaal" eemaaN kii thii Haraarat

taalib e duaa
Ismail ajaz khayaal
Attachments
musalmaaN kyuN piT raha hai.gif
musalmaaN kyuN piT raha hai.gif (48.26 KiB) Viewed 270 times

محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا

muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

Ismail Ajaz Khayaal

(خیال)
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Re: aaj musalmaan kyuN piT raha hai?

Post by munir-armaan-nasimi »

Bohat Khoob Ismail Aijaz "Khayaal" Saaheb... waqai bohat umdaa khayaal hai aur behad aham mauzoo pe aapne qalam uthaaya hai magar......... hum logoN jaage jaage soye huye hain... jo aadmi gehrii neend main ho usko ek do aawaaz lagaao.... ya phir zor se chillao to hadbada ke uthh jaata hai, magar jo shaksh jaan boojh kar aankhein band kiye hoye sone ki adakaari kar raha ho... wohh jitni bhi aawaaz lagaao.... nahin uthh ta hai.

Yahi haal hamara hai, hamaree Qaum ka hai... Alla'h ki sab se behtareeN, Aala kitaab Quraa'N Majeed hamare liye Hamare Pyaare Nabi (SAS) le kar aaye magar hum............

Jitni der akhbaar padhne main bitaa dete hain.. utni der agar QuraaN Shareef padh lete to aaj hamara yeh Hashr nahin hota.

Baharhaal bhai jaan, ummeed pe duniya Qaayam hai. Suna hai "Taareekh apne aap ko Dohraati hai"... 1460 saal pahle kii tarah aaj hum bhi apni ladkiyoN ko.... zinda dafan kar rahe hain (Maa ke pet main hi maar dete hain agar jaan lete hain keh beti hai)....... Ho sakta hai woh daur bhi laut aaye jab.... har taraf DEEN ka bol bala ho aur Kuffar o Mushrakeen ka moonh Kala.

Ek behtareen kaavish pe meri taraf se dheroN Daad qobol kiziye.

Aapka apna,

Munir Armaan
Khurshidul Hasan Naiyer
-
-
Posts: 96
Joined: Thu Mar 20, 2008 8:23 am

Re: aaj musalmaan kyuN piT raha hai?

Post by Khurshidul Hasan Naiyer »

muHtaram Khyaal Sb

Allah aap kee fikr ko jilaa de, or parwaan chaRhaae,y azaad shaae'ree meree dastras se bahar hai waise paaband shaae'ree bhee jaisi hai woh aap ke saamne hai.

aap ne achhe khyalaat ka iz^haar kiyaa hai so daad qubool farmaaeN yahaaN mujhe apnee ek Ghazal kaa she'r yaad aa rahaa hai, shaayad keh aap ko pasaNd aaye

kyuN nah aGhayaar kee woh loqma-e-tar bantee jaae,y
baat hee baat peh jis qoam meiN khanjar nikle


aap kee intahaahee umdah fikr par
do barah daad pesh hai

khaiuraNdesh

Khurshidul Hasan Naiyer
User avatar
ismail ajaz
-
-
Posts: 436
Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm

Re: aaj musalmaan kyuN piT raha hai?

Post by ismail ajaz »

munir-armaan-nasimi wrote:Bohat Khoob Ismail Aijaz "Khayaal" Saaheb... waqai bohat umdaa khayaal hai aur behad aham mauzoo pe aapne qalam uthaaya hai magar......... hum logoN jaage jaage soye huye hain... jo aadmi gehrii neend main ho usko ek do aawaaz lagaao.... ya phir zor se chillao to hadbada ke uthh jaata hai, magar jo shaksh jaan boojh kar aankhein band kiye hoye sone ki adakaari kar raha ho... wohh jitni bhi aawaaz lagaao.... nahin uthh ta hai.

Yahi haal hamara hai, hamaree Qaum ka hai... Alla'h ki sab se behtareeN, Aala kitaab Quraa'N Majeed hamare liye Hamare Pyaare Nabi (SAS) le kar aaye magar hum............

Jitni der akhbaar padhne main bitaa dete hain.. utni der agar QuraaN Shareef padh lete to aaj hamara yeh Hashr nahin hota.

Baharhaal bhai jaan, ummeed pe duniya Qaayam hai. Suna hai "Taareekh apne aap ko Dohraati hai"... 1460 saal pahle kii tarah aaj hum bhi apni ladkiyoN ko.... zinda dafan kar rahe hain (Maa ke pet main hi maar dete hain agar jaan lete hain keh beti hai)....... Ho sakta hai woh daur bhi laut aaye jab.... har taraf DEEN ka bol bala ho aur Kuffar o Mushrakeen ka moonh Kala.

Ek behtareen kaavish pe meri taraf se dheroN Daad qobol kiziye.

Aapka apna,

Munir Armaan
lowgoN ke diloN meiN dhaRkne waale diloN par raaj karne waale bhaai munir armaan

aap pe salaamtii ho

aap ke moNh meiN ghee shakar,insha Allah taareekh apne aap ko dohra'ay gee

Allah rabbul izzat ne nizaam e fitrat jo taKhleeq e insaanii ke ain mutaabiq banaaya hai jis ka naam Islaam hai,pooree dunya meiN raa'ej karna hai jabb kaheeN ja kar Khlaafat aur Khalifatullah bani nao insaaN ka maqsad e takhleeq paya takmeel ko pohNchta hai.

maiN aap ka beHad mamnoon hooN ke aap ne merii Hausla afza'ee farma'ee

taalib e duaa

Ismail ajaz khayaal

محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا

muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

Ismail Ajaz Khayaal

(خیال)
User avatar
ismail ajaz
-
-
Posts: 436
Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm

Re: aaj musalmaan kyuN piT raha hai?

Post by ismail ajaz »

Khurshidul Hasan Naiyer wrote:muHtaram Khyaal Sb

Allah aap kee fikr ko jilaa de, or parwaan chaRhaae,y azaad shaae'ree meree dastras se bahar hai waise paaband shaae'ree bhee jaisi hai woh aap ke saamne hai.

aap ne achhe khyalaat ka iz^haar kiyaa hai so daad qubool farmaaeN yahaaN mujhe apnee ek Ghazal kaa she'r yaad aa rahaa hai, shaayad keh aap ko pasaNd aaye

kyuN nah aGhayaar kee woh loqma-e-tar bantee jaae,y
baat hee baat peh jis qoam meiN khanjar nikle


aap kee intahaahee umdah fikr par
do barah daad pesh hai

khaiuraNdesh

Khurshidul Hasan Naiyer

moHtaram janaab Khurshidul Hasan Naiyer SaHab

salaam arz hai

aap tamaam aiHbaab aihl e ilm zindah lowg haiN, so'ee hu'ee murdah qaumoN meiN bedaaree har daur meiN shua'raa adeeboN daanishwaroN mufakkiroN ne apnee khudadaad SalaahiyatoN ke zariye payeda farma'ee,jis ka pata humeiN ja baja tareeKh meiN milta hai,masha Allah aap aur tamaam aihl e ilm aiHbaab ka shumaar unn lowgoN meiN hota hai jinhuN ne apnee unthak kaavishoN se lowgoN kii soch ko naya ruKh diya ,na'ee raaheiN sujha'iiN,Ghafalt meiN Doobe huwe lowg naabeena haiN aur aap aiHbaab beena o daana haiN,zindagii tow barf kii taraaH ghultii ja'ay gii pighaltii ja'ay gii,laikin iss ke zariye jo raushnee aap ke paas hai doosroN tak pohNch ga'ee tow unheiN bhii apnee manzil aur uss kii raaheiN mil ja'aiN gii

Allah humeiN meiN hidaayat ata farma'y aur lowgoN kii hidaayat ka zariya bana'y (aameen)

maiN aap ke beHad mamnoon hooN keh aap ne mujhe paRha aur apne khoobSoorat khayaalaat aur pazeeraa'iyoN se nwaaza

bohot bohot shukriyah

Ismail ajaz khayaal

محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا

muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

Ismail Ajaz Khayaal

(خیال)
Post Reply