maiN sadaa i'shq k geet gaataa rahaa

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Post by Raji »

najm wrote:Yaaraan-e-bazm, aadaab-o-tasleemaat.
aik natamaam Ghazal lae kar Hazir hovaa hooN. ummeed hai k aap ko pasand aaYe gii. aap ki aaraa ka muntazir.

moKhlis: Najm

moHtaram janab-e-Najm saaHeb
Aadaab-o-tasleemat,

aap kee yeh natamaam ghazal waqai meN na-tamaam hai iss liye ke yeh zameen itnee zarkhez hai ke filbadeeh hee meN ne 10 ashaar likh daale aur aap ne shayed jald hee himmat choR dee :? khair ...


Ghazal
maiN sadaa i'shq k geet gaataa rahaa
ashk peetaa rahaa muskaraataa rahaa
matlah acha hai

mere aaNgan na utr'ii jo ko'ii kiran
chaaNd suuraj sitaaraYe bujhaataa rahaa
hunmmmmmm khayaal khoob hai bohat meHnat ke baad samajh aaya hai :-)

zindagii KhooN.chuukaaN th'ii sar-e-raah.guzar
maiN Ghazal ki rivaaYat nibhaa,taa rahaa
mashaAllah bohat khoob

shehr-e-YaaraaN meiN Hasrat barastii rah'ii
maiN KhayalooN ki duniyaa sajaataa rahaa
bohat achaa kyaal hai

ab rag-e-jaaN mirii rashk-e-shaaKh-e-gulaab
phool khiltaYe rahe zaKhm khaataa rahaa
wah bohat ache

mere aHbaab ko ab gila mujh se hai
kyooN taQaazaYe wafaa k nibhaataa rahaa
maqtaa tu bohat hee khoob hai


meree janib se ek kamiyaab takhleeq par dilee daad qubool keejiye.

khair andesh

Zahida Raees :Raji:


Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
naheedv
-
-
Posts: 163
Joined: Sat Dec 18, 2004 3:53 am
Contact:

Post by naheedv »

janaab Nazm saahab,
aadaab,

aap kee ye kaavish aaj hee nazaroN se guzaree.
aap ne buhat khoob likhaa hai, 3rd she'r dil ko bhaayaa

zindagii KhooN.chuukaaN th'ii sar-e-raah.guzar
maiN Ghazal ki rivaaYat nibhaa,taa rahaa

iss khobsoorat she'r kee ghazal par daad paish karti hooN.

mukhliS
Naheed
Post Reply