Posted: Fri Mar 04, 2005 11:44 am
najm wrote:Yaaraan-e-bazm, aadaab-o-tasleemaat.
aik natamaam Ghazal lae kar Hazir hovaa hooN. ummeed hai k aap ko pasand aaYe gii. aap ki aaraa ka muntazir.
moKhlis: Najm
moHtaram janab-e-Najm saaHeb
Aadaab-o-tasleemat,
aap kee yeh natamaam ghazal waqai meN na-tamaam hai iss liye ke yeh zameen itnee zarkhez hai ke filbadeeh hee meN ne 10 ashaar likh daale aur aap ne shayed jald hee himmat choR dee :? khair ...
Ghazal
maiN sadaa i'shq k geet gaataa rahaa
ashk peetaa rahaa muskaraataa rahaa
matlah acha hai
mere aaNgan na utr'ii jo ko'ii kiran
chaaNd suuraj sitaaraYe bujhaataa rahaa
hunmmmmmm khayaal khoob hai bohat meHnat ke baad samajh aaya hai
zindagii KhooN.chuukaaN th'ii sar-e-raah.guzar
maiN Ghazal ki rivaaYat nibhaa,taa rahaa
mashaAllah bohat khoob
shehr-e-YaaraaN meiN Hasrat barastii rah'ii
maiN KhayalooN ki duniyaa sajaataa rahaa
bohat achaa kyaal hai
ab rag-e-jaaN mirii rashk-e-shaaKh-e-gulaab
phool khiltaYe rahe zaKhm khaataa rahaa
wah bohat ache
mere aHbaab ko ab gila mujh se hai
kyooN taQaazaYe wafaa k nibhaataa rahaa
maqtaa tu bohat hee khoob hai
meree janib se ek kamiyaab takhleeq par dilee daad qubool keejiye.
khair andesh
Zahida Raees :Raji: