guzaarish #50 ke liye meree koshish

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Khurshidul Hasan Naiyer
-
-
Posts: 96
Joined: Thu Mar 20, 2008 8:23 am

guzaarish #50 ke liye meree koshish

Post by Khurshidul Hasan Naiyer »

muHtarmeen

adaab

t^rHee Ghazal pesh khidmat hai

dard-o-Gham, ranj-o-alam, Harmaai,yaaN
zindagee in sab ki hai parchhaai,yaaN

ho gai, rukhSat muHabbat bazm se
nafrtoN kee baj raheeN shahnaai,yaaN

khoaf kaisaa ho mujhe dushnaam kaa
i'shq meiN purkaif haiN ruswaai,yaaN

she'r goi, kaa hunar usne diyaa
saath hee woh de geyaa tanhaai,yaaN

faSl-e-gul aai, to yaad aai, mujhe
mehrbaaN teree karam farmaai,yaaN

qaid haiN sab waqt kee zanjeer meiN
jalwae, jaanaaN hoN ke ra'naai,yaaN

ghaT gayaa ab dard-e-dil i'shq-o-t^alab
baRh gai,N par anjuman aaraai,yaaN

dil kaa hay yeh ma'mlah :Naiyer: miyaaN
kuchh nah kaam aae,Ngee yaaN daanaai,yaan

Allah Hafiz^

Khurshidul Hasan Naiyer
[/size]
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: guzaarish #50 ke liye meree koshish

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Naiyar SaHib aadaab!

Ummeed hai bakheriyat hooN ge. guzashtah mushae'irah ke liye aap kee dilpazeer Ghazal ka'ee baar dekhee hai. aor har baar lut^f de gaee. maiN nihayat sharmindah hooN keh kuch muddat se maSroofiyat ke bai'c mehfil meN naheeN aasakaa. jis ke baae'ic is khubSurat Ghazal par raae' bhe nah pesh kar sakaa.

Ghazal bilashubah dilkash hai. khubSuratee se asha'aar meN dil kee baat baRe u'mdah peraae meN ada kar dee gaee hai. jo laai'q-e-daad hai. mujhe qawee ummeed hai keh aap yooN apnee haseeN takhleeqaat se nawaazte raheeN ge. inshAllah!

Muzaffar AHmad Muzaffar
Post Reply