A'alami Mushae'irah GuZarish#51 ke liye meree Ghazal

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Khurshidul Hasan Naiyer
-
-
Posts: 96
Joined: Thu Mar 20, 2008 8:23 am

A'alami Mushae'irah GuZarish#51 ke liye meree Ghazal

Post by Khurshidul Hasan Naiyer »

aHbaab-e-anjuman

adaab

Ghazal pesh khidmat hai

acar uske qalam kaa kuchh zamaane tak naheeN pahuNchaa
meraa ranj-o-alam jiske fasaane tak naheeN pahuNchaa

chalaa to khoob doar-e-jaam mae,khaane meiN par mujh tak
koi,y ek jaam mere loat aane tak naheeN pahuNchaa

kaheeN ho jaae,y naa saamaan-e-ruswaai,y jahaaN bhar mieN
"Haqeeqat ko Haqeeqat rakh fasaane tak naheeN pahuNchaa

huwaa jaataa hai tarkash teer se khaalee magar abtak
koi,y ek teer bhee uskaa nishaane tak naheeN pahuNchaa

bahut dekar lahoo seeNchaa hai maiN ne is gulistaaN ko
yuNhee gesu-e-gul baRh kar ke shaane tak naheeN pahuNchaa

rahaa maiN laakh tashnah lab magar taareekh shaahid hai
liye kashkoal saaqee badaa khaane tak naheeN pahuNchaa

use ma'loom tha keh lazzat-e-aazaar kiyaa shai,y hai
so maHfil meiN meree dil bhee dukhaane tak naheeN pahuNchaa

yahee raah-e-muHabbat hai kabhee is raah mieN :Naiyer:
gaNwaane ke siwaa koi,y bhee paane tak naheeN pahuNhaa

Allah Hafiz^

Khurshidul Hasan Naiyer
[/color]
Post Reply