'allama Iqbaal kii ek nazm ba'onvaan-e-"gul-e-rangiiN&q

Allamah Iqbaal kii shakhsiyat unki shayeri falsafe aur mazmoon aapke yaa kisi aur ke mazameen se iqtibaas

Post Reply
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

'allama Iqbaal kii ek nazm ba'onvaan-e-"gul-e-rangiiN&q

Post by Hashmat Usmani »

salaam dosto,

aap Hazraat o Khawaateen ke mizaaj kaise haiN?

aaj 'allaamah Iqbaal kii ek nazm ba-'onvaan-e-"gul-e-raNgeeN" pesh kar rahaa hun...ummeed hai ki pasand aayegii. to nazm mulaahIzah farmaaiye:


1.
tu shanaasaa-e-Kharaash-e-oqda-e-mushkil nahin
ai gul-e-raNgeeN! tire paihloo meN shaayad dil nahiN
zaib-e-maihfil hai, shareek-e-shorish-e-maihfil nahiN
ye faraaGhat bazm-e-hasti meN mujhe haasil nahiN

is chaman meN maiN saraapaa soaz_o_saaz-e-aarzoo
aur teri zindagaani be-gudaaz-e-aarzoo

2.
toR lena shaaKh se tujhko mira aayiN nahin
yeh nazar Ghair az nigaah-e-chashm-e-soorat_beeN nahiN
aah! yeh dast-e-jafaa_joo ai gul-e-raNgeeN nahiN
kis tarah tujhko yeh samjhaauN ki maiN gul_cheeN nahiN

kaam mujhko deeda-e-hikmat ke uljheRoN se kia
deeda-e-bulbul se maiN karta huN nazzaarah tira

3.
sau zabaanoN par bhi Khaamoshi tujhe manzoor hai
raaz vo kia hai tire seene meN jo mastoor hai
meri soorat tu bhi ik barg-e-riyaaz-e-toor hai
maiN chaman se door huN, tu bhi chaman se door hai

mutma'in hai tu, pareshaaN misl-e-boo raihtaa huN maiN
zaKhmi-e-shamsheer-e-zauq-e-justuju raihtaa hUn maiN

4.
yeh pareshaani miri saamaan-e-jammeeyat na ho
yeh jigar_soazi charaaGh-e-Khaana-e-hikmat na ho
naa_tawaani hi miri sarmaayaa-e-quwwat na ho
rashk-e-jaam-e-jam mira aaeena-e-hairat na ho

yeh talaash-e-muttasil shamm-e-jahaaN_afroaz hai
tu sin-e-idraak-e-insaaN ko Kharaam_aamoaz hai
Image
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

Assalam-o-a'laikum,

moHtarami Hashmat bahi SaaHib, aadaab :-)
kaise haiN aap ?

maiN ma'zirat chaahtaa hoN k itnee der lagaadee aane maiN,
bahut mamnoon hoN , jo aap ne Hazrat-e-iqbaal ki itnee khoobSoorat nazm paish kee , bahut bahut shukriya

moKhliS: Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Post Reply