Koyii bhi kise se bhi besh.o.kum nahiN hota
Kaash is zamney meN yeh sitam nahiN hota
milteeN beTiyaaN usko gar bajaye beToN ke
boRhe baap ka deedah roz num nahiN hota
bekasoN pe tum itna zulm gar nahiN Dhaate
unke haath meN shayad aaj bum nahiN hota
maGribee mumalik meN usko beTa kahte haiN
jisko maaN ke marne ka koyee gham nahiN hota
jis ne dard baKhsha hai de nah woh shifa jab tak
charagar ke nusKhoN se dard kum nahiN hota
Khud hi qafila hooN main khud hi ik musafir hooN
mera hum nafas bhi ab hum qadam nahiN hota
jaur-e yaar per Jawaid kis liye ho tum HairaN
dil na jis ka paththar ho woh sanam nahiN hota
Aapki aara ka muntazir
Jawaid Badauni
Meri taza Ghazal
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Meri taza Ghazal
Last edited by jawaid badauni on Wed Jun 17, 2009 7:47 pm, edited 1 time in total.
- munir-armaan-nasimi
- -
- Posts: 460
- Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
- Location: INDIA
- Contact:
Re: Meri taza Ghazal
Mohtarmee, kya zabardast ghazal pesh ki hai aapne... puri ghazal padhte waqt har ek sher main kahin waah aur kahin aah...... be-sakhta moonh se nikal raha tha. Shairi main "aamad" shayad aisi hi rawaan ghazal ko kehte hain.... Masha'Allah har ek sher apni misaal aap hai.. kis ki tareef karoon. Sirf ek sher agar chun na ho to main esko muntakhib karoonga kyon keh yeh haalaat-e-hazrah ki akkasi kar raha hai. Magar Jawaid ji, maghribee mumalik main to betiyaaN bhi betoN ki tarah.. sarphiree hoti hain...
maGribee mumalik meN usko beTa kahte haiN
jisko maaN ke marne ka koyee gham nahiN hota
Daad ke dher saare phool pesh-e-khidmat hain, qobool karein.
Taalib-e-dua,
Munir Armaan Nasimi
maGribee mumalik meN usko beTa kahte haiN
jisko maaN ke marne ka koyee gham nahiN hota
Daad ke dher saare phool pesh-e-khidmat hain, qobool karein.
Taalib-e-dua,
Munir Armaan Nasimi
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: Meri taza Ghazal
munir-armaan-nasimi wrote:Mohtarmee, kya zabardast ghazal pesh ki hai aapne... puri ghazal padhte waqt har ek sher main kahin waah aur kahin aah...... be-sakhta moonh se nikal raha tha. Shairi main "aamad" shayad aisi hi rawaan ghazal ko kehte hain.... Masha'Allah har ek sher apni misaal aap hai.. kis ki tareef karoon. Sirf ek sher agar chun na ho to main esko muntakhib karoonga kyon keh yeh haalaat-e-hazrah ki akkasi kar raha hai. Magar Jawaid ji, maghribee mumalik main to betiyaaN bhi betoN ki tarah.. sarphiree hoti hain...
maGribee mumalik meN usko beTa kahte haiN
jisko maaN ke marne ka koyee gham nahiN hota
Daad ke dher saare phool pesh-e-khidmat hain, qobool karein.
Taalib-e-dua,
Munir Armaan Nasimi
Mohtarmee Munir Arman Nasimi SaaHab
aadaab
aap ki dilchusp.o.purKhulooS daad ke liye aap ka beHud mamnoon hooN. aap ke giraNqadr tabsarey se meri bahut himmat afzaaayee huuwee hai. Jazak Allah. Ummid hai aaindah bhi apnee aara se mujhe nawazte raheNge.
Nacheez, Jawaid