Meri taza Ghazal
Posted: Wed Jun 17, 2009 8:01 am
Koyii bhi kise se bhi besh.o.kum nahiN hota
Kaash is zamney meN yeh sitam nahiN hota
milteeN beTiyaaN usko gar bajaye beToN ke
boRhe baap ka deedah roz num nahiN hota
bekasoN pe tum itna zulm gar nahiN Dhaate
unke haath meN shayad aaj bum nahiN hota
maGribee mumalik meN usko beTa kahte haiN
jisko maaN ke marne ka koyee gham nahiN hota
jis ne dard baKhsha hai de nah woh shifa jab tak
charagar ke nusKhoN se dard kum nahiN hota
Khud hi qafila hooN main khud hi ik musafir hooN
mera hum nafas bhi ab hum qadam nahiN hota
jaur-e yaar per Jawaid kis liye ho tum HairaN
dil na jis ka paththar ho woh sanam nahiN hota
Aapki aara ka muntazir
Jawaid Badauni