Taza Ghazal aap ki nazr...................
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Taza Ghazal aap ki nazr...................
Yeh jo thoda sa dil meN eemaan bacha ke rakhkha hai
Such poocho tou baKhshish ka saamaan bacha ke rakhkha hai
Darya meN utra bhi hooN maiN aur mujhe malum bhi hai
Mere falak ne mere liye t'oofaan bacha ke rakhkha hai
Such poocho tou HaiwaanoN se behter hai is daur meN bhee
Jis ne apne dil meN ik insaan bacha ke rakhka hai
Iklaute beTe ke aage baap ne haath na phailaya
Haath hai Khali phir bhee apna maan bacha ke rakhkha hai
Taza hawa ke saath bahut see Khaak bhi ghar meN aayegee
Main ne hawa se apna raushandaan bacha ke rakhkha hai
Isee liye sub rishtedaaroN se rishte ab tak qaiim haiN
Bahkaane waaloN se maiN ne kaan bacha ke rakhkha hai
Hasrat wasrat Khuwahish woahish sub se door hooN ai :Jawaid:
Yeh such hai dil meN bus ik armaan bacha ke rakhkha hai
JAWAID BADAUNI
- sbashwar
- -
- Posts: 1654
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
- Do you know URDU language?: Yes
- Location: Hyderabad, India
- Contact:
Re: Taza Ghazal aap ki nazr...................
MoHtaram Jawaid Badauni Saheb
Aapki ye ghazal bohat zyada pasand aayi hai.
Yeh jo thoda sa dil meN eemaan bacha ke rakhkha hai
Such poocho tou baKhshish ka saamaan bacha ke rakhkha hai
eeman aur bakhshish alfaz is sheir ko dobala kardiya hai.
Darya meN utra bhi hooN maiN aur mujhe malum bhi hai
Mere falak ne mere liye t'oofaan bacha ke rakhkha hai
Subhan-Allah, bohat khoob
Such poocho tou HaiwaanoN se behter hai is daur meN bhee
Jis ne apne dil meN ik insaan bacha ke rakhka hai
Wah, achcha sheir hai.
Iklaute beTe ke aage baap ne haath na phailaya
Haath hai Khali phir bhee apna maan bacha ke rakhkha hai
Ye sheir bhi bohat pasand aayaa
Taza hawa ke saath bahut see Khaak bhi ghar meN aayegee
Main ne hawa se apna raushandaan bacha ke rakhkha hai
Bohat umda sheir hai
Isee liye sub rishtedaaroN se rishte ab tak qaiim haiN
Bahkaane waaloN se maiN ne kaan bacha ke rakhkha hai
Allah har ek yahi taufeeq de. bohat khoob
Hasrat wasrat Khuwahish woahish sub se door hooN ai :Jawaid:
Yeh such hai dil meN bus ik armaan bacha ke rakhkha hai
Hasrat wasrat
khuwahish woahish
Aam bol chaal mein ye aam hai. Mere liye pehla ittefaq hai shayeri mein paRhne ka. Achcha laga.
Meri dheRh sari dili daad qubool farmayeN.
Mukhlis
Salem Bashwar

سالم احمد باشوار
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: Taza Ghazal aap ki nazr...................
Behud mamnoon hooN Salem Bhaii. Aajkal sabhi Urdu sitesbahut sust chal rahee haiN. Ummid hai aap se rabt rahega.
Khair andesh,
Jawaid
Khair andesh,
Jawaid
- munir-armaan-nasimi
- -
- Posts: 460
- Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
- Location: INDIA
- Contact:
Re: Taza Ghazal aap ki nazr...................
Such poocho tou HaiwaanoN se behter hai is daur meN bhee
Jis ne apne dil meN ik insaan bacha ke rakhka hai
Kya Baat hai Jawaid Saheb... daur-e-haazir ki saheeh akkasi karti hoyi aapki yeh ghazal aur uska ek ek sher dil ko chooooo gaya.... Bohat hi jaandaar aur shaandaar ghazal share kii hai aapne. Shukriyaa...!!
aapka apna,
munir armaan