Taza Ghazal aap ki nazr...................
Posted: Thu Jun 24, 2010 9:16 am
Yeh jo thoda sa dil meN eemaan bacha ke rakhkha hai
Such poocho tou baKhshish ka saamaan bacha ke rakhkha hai
Darya meN utra bhi hooN maiN aur mujhe malum bhi hai
Mere falak ne mere liye t'oofaan bacha ke rakhkha hai
Such poocho tou HaiwaanoN se behter hai is daur meN bhee
Jis ne apne dil meN ik insaan bacha ke rakhka hai
Iklaute beTe ke aage baap ne haath na phailaya
Haath hai Khali phir bhee apna maan bacha ke rakhkha hai
Taza hawa ke saath bahut see Khaak bhi ghar meN aayegee
Main ne hawa se apna raushandaan bacha ke rakhkha hai
Isee liye sub rishtedaaroN se rishte ab tak qaiim haiN
Bahkaane waaloN se maiN ne kaan bacha ke rakhkha hai
Hasrat wasrat Khuwahish woahish sub se door hooN ai :Jawaid:
Yeh such hai dil meN bus ik armaan bacha ke rakhkha hai
JAWAID BADAUNI